Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 02 June 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 02 June 2020

"मीठे बच्चे - तुम सारे विश्व पर शान्ति का राज्य स्थापन करने वाले बाप के मददगार हो, अभी तुम्हारे सामने सुख-शान्ति की दुनिया है''

Baba aaj kahte hai murli me mithe bacche tum baap ke madadgar bane ho pure viswa me shanti ke sthapna me ke karya me. Pure duniya me log shanti ke liye kya kya karte hai. Phir bhi shanti nahi hai. Duniya me shanti ke liye log bada bada program karte hai aur prize bhi lete hai phir bhi shanti toh nahi aaya. Baba kahte hai mithe bacche tum brahman bacche baap ke sath madadgar ho duniya me shanti ki sthapna me. Tumhare aankho ke samne kya hai, kya dikhta hai, sukhdham-shantidham. Baba ne hame chuna hai shanti sthapna ke karya me.

प्रश्नः-

बाप बच्चों को किसलिए पढ़ाते हैं, पढ़ाई का सार क्या है?

उत्तर:-

बाप अपने बच्चों को स्वर्ग का प्रिन्स, विश्व का मालिक बनाने के लिए पढ़ाते हैं, बाप कहते हैं बच्चे पढ़ाई का सार है दुनिया की सब बातों को छोड़ दो, ऐसे कभी नहीं समझो हमारे पास करोड़ हैं, लाख हैं। कुछ भी हाथ में नहीं आयेगा इसलिए अच्छी रीति पुरूषार्थ करो, पढ़ाई पर ध्यान दो।

Baba ke bacche bahut baar murli miss kar dete hai, murli me ras nahi aata hai. Murli me samay nahi dete hai. Murli manthan nahi karte hai. Baba aaj samjhate hai ki tum murli kisliye padhte ho, iss padhai ka sar kya hai. Baba kahte hai mithe bacche tum baap aap logo ko padha raha hai, wo aapka teacher bhi aur guru bhi hai. Shiv Hi guru hai kahte hai na. 

Kehte toh hai lekin samajhte nahi hai. Baba kahte hai tum baccho ko baba swarg ka prince, pure viswa ka mailk banane ke liye padhate hai. Tumhara lakshya hi hai nar se narayan aur nari se lakshmi banne ka. Baba se padhai padh rahe ho toh dunia ke sab bato ko chhod do, vairagya aana chahiye. Vairagya matlab yeh nahi ki kuch mat karo. Sab karam karna hai karamyogi bankar. Baap ke srimat ka palan karte hue karam karna hai. 

Jaise bahut sare bhai puchte hai kya kare baba hamko paisa toh khilana padta hai, bhrashtrachar hai. Aur bhi field me sochte hai yeh toh karna padta hai nahi toh paisa band ho gayega. Baba kahte hai srimat ka palan karo, apne aap sab thik ho gayega. Bus srimat ka ullanghan nahi hona chahiye. Yukti se sabko positive vibrations dete hue uss bandhan se nikalo. Baba kahte hai koi bhi karam ko bandhan nahi samjhne, usse sewa samjh kar karo. Karane wala kara raha hai. Ham toh nimit hain. Baba ko jo karana hoga wo kara lenge. Nimit bankar rahe.

गीत:-

आखिर वह दिन आया आज........

Aaj baba murli me drama ke bare me bhi bataye. Ki drama me pehle se sab nundh hai. Drama tumko purusharth karate rahte hai. Tum purushart karte raho. Banega wahi jo pehle bane the. Isliye kabhi bhi koi bhi baat me munjhana bhi nahi hai. Bus purushart karte rahna hai. Jaise road par gadi chalti hai toh kuch na kuch problem aati rahti hai, jaise fuel lena hai, hawa bharana hai aur koi technical problem aati rahti hai. Iska matlab kya hai, ki ham gadi ko chalaye hi nahi. Nahi! Aisa nahi karna hai. 

Baba kahte hai, pure world ki history, geography toh tumeh hi pata hai, baba tumeh batate hai. Aur koi ko pata nahi hai. Loukik padhai me History, geography ko bahut padhe hai, yeh behad ki history, geo kisi ko pata nahi hai. Jise swadarshan chakra kahte hai. 

Baba kahte hai aaj main koi kisi ki thought read nahi karta hu, Main toh aata hi hu patito ko pawan banane. Har 5000 ke sal ke baad ate hai. Baba kehte hai ki drama me mera bhi part hain. Mera kaam hai baccho ko padhan aur pavitra banana.n Unko main 21 janko ki badshadhi de deta hum.

Log kah dete hai ki ek patta bhi hilta hai wo bhagwan ke marji ke bina nahi hota. Baba kahte hai mera part toh tumeh pawan banane ka. Main aata hu tumeh padhane aur padhakar 21 janko ki swarg ki badshahi de deta hu. Main kisi ko thought read nahi karta. Isliye bhagwan kahte hai ki roj apna potamail bhejo mujhe. Jo jo bacche likhkar ya man-buddhi se bhejte hai unka potamail baba padhkar baccho ko uchit ray dete hain.

Phir aaj baba subah subah uthkar sair karne ke liye bol rahe hai. Bacche subah subah uthte hai aur nind me rahte hai, unka yog thik nahi hota. Baba kehte hai tum chhat par ya kahi bahar chale jao. Waha tum baba ki yaad me rahkar sair karo. Baithna koi jaruri nahi hai. Jab bilkul fresh lage toh baithkar ham yaad kar sakte hain. Baba kahte hai baithkar yaad karna koi jaruri hai kya. Tum subah subah bahar sair karte hue mujhe yaad kar sakte ho.

Baba kahte tum yaad me 1 ghanta bhi chaloge toh thakoge nahi.

Yaad ke point baba batate hai, ki budhi matao ko kuch yaad nahi rahta hai. Toh tum sirf mujh baap ko yaad karo. Waise bhi hey ram toh kahte hai na. Tum mujhe yaad karo toh tera beda par ho jayega. Apne ko aatma samjhkar baba ko yaad karo toh baba se jarur varsha milega aur tumhare sare pap kat jayege.

Sewa ke points me aaj baba ne kha ki 

प्वाइंट्स मिलती हैं जो कोई को भी समझा सकते हो। बहुत मिठास से समझाओ। शिवबाबा जो पतित-पावन है, कहते हैं मुझे याद करो तो पावन बन पावन दुनिया का मालिक बन जायेंगे। युक्ति से समझाना है। तुम चाहते हो ना-गॉड फादर लिबरेट कर स्वीट होम वापिस ले जाए। अच्छा, अब तुम्हारे ऊपर जो कट (जंक) चढ़ी हुई है उसके लिए बाप कहते हैं मुझे याद करो। अच्छा।

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) सवेरे-सवेरे उठ पैदल करते बाप को याद करो, आपस में यही मीठी रूहरिहान करो कि देखें कौन कितना समय बाबा को याद करता है, फिर अपना अनुभव सुनाओ।

2) बाप को पहचान लिया तो फिर कोई बहाना नहीं देना है, पढ़ाई में लग जाना है, मुरली कभी मिस नहीं करनी है।

वरदान:-

रीयल्टी द्वारा हर कर्म वा बोल में रायॅल्टी दिखलाने वाले फर्स्ट डिवीजन के अधिकारी भव

स्लोगन:-

श्रेष्ठ कर्मो का खाता बढ़ाओ तो विकर्मो का खाता समाप्त हो जायेगा।

Om Shanti
Thank You Mere Pran Pyare Baba

Check out these contents 


No Tobacco Day – 31st May – Time To Change

Negative Effects Of Social Media On Students Academic Performance

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.