Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 13 June 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 13 June 2020

"मीठे बच्चे - बाप का प्यार लेना हो तो आत्म-अभिमानी होकर बैठो, बाप से हम स्वर्ग का वर्सा ले रहे हैं, इस खुशी में रहो''

Aaj Baba bole, mithe bacche baap ka pyar lena ho toh aatam abhimani hokar baitho, baap se ham swarg ka varsha le rahe hai, sada issi khushi me raho. Jab ham aatam abhimani hote hai tabhi hame baap ka pyar milta hain. Ham bacche baap ke mithe bacche ban jate hain aur pyar hi pyar milta hai aur pyar ke sager ke bacche master pyar ka sager ban jate hain. Jaha jate hain ham aatmao se bhi pyar hi pyar barasta hain aur charo taraf ham aatmao se pyar ke vibration failte rahte hain. Bacche jab baap ko varshe ko bhul jate hain toh chehre se khushi gayab ho jati hain. Isliye sada baap ko varshe ko yaad rakhna hai isse sada khushi bani rahegi.

प्रश्नः-

संगमयुग पर तुम ब्राह्मण से फ़रिश्ता बनने के लिये कौन-सी गुप्त मेहनत करते हो?

उत्तर:-

तुम ब्राह्मणों को पवित्र बनने की ही गुप्त मेहनत करनी पड़ती है। तुम ब्रह्मा के बच्चे संगम पर भाई-बहन हो, भाई-बहन की गन्दी दृष्टि रह नहीं सकती। स्त्री-पुरूष साथ रहते दोनों अपने को बी.के. समझते हो। इस स्मृति से जब पूरा पवित्र बनो तब फ़रिश्ता बन सकेंगे।

Aaj Baba farishta banne ki yukti bata rahe hai aur khaskar yuglo ko jo ghar grihasth me rahte hue pavitra bante hain. Unko baba aaj vishesh bata rahe hai ki kaise tum suksham vatan washi(farishta) banoge. Abhi tum purusharth kar rahe ho pavitra banne ki. Abhi tum pavitra brahman. 

Tum bacche pavitra banne ki gupt mehnat karte ho. Abhi sangam yug hain, jo ishwariya sampraday hai, jaha swayang shiv baba(god) brahma ke tan me madhyam se hame adopt karte hai, brahma mukh vanshawli banate hain aur ham sab aatmaye aapas me bhai-bahan(BK) ban jate hain. Toh Bhai-bahan ki kabhi gandi drishti rahegi? Kabhi nahi rah sakti hain. Stri-purush sath me rahte hai aur BK bankar bhai-bahan rahte hain. Toh apne aap ko dekhna hai, ki ham apne yugal ke sath rahte hain toh bhai-bahan ki drishti rahti hain? Bhai-bahan samjhege aur pavitra drishti rakhege aur pura pavitra banege toh farishta ban sakege.

Baba kahte hain issi me mahnat hain. Sabse jyada mehnat yuglo ko hoti hain jo stri-purush sath me rahte hain. Unko yeh mehnat karna pade tabhi farishta ban sakege. 

Jab stri purush sath me rahte hai toh purane sanskar vash hokar ek dusre ko chhune(Hath lagane) ki aadat hoti hain. Hat lagayege toh paap ki feeling aati hain. Aur Hath lagane ke chakkar me jakar maya ke chakkar (chakravyuh) me phas jate hain. Aur chakravyuh me phas jate hain toh nikalna mushkil ho jata hain.  Isliye Baba kahte hain hath hi nahi lagana hai. Baba ko yadd karna hain.

Tum toh pavitra brahma baap ke bacche pavitra bhai-bahan(BK) bane ho toh haath kaise laga sakte ho. Hath jab lagate hain jab bhul jate hain ki dono BK hain. Bahut badi manjil hain, Pavitra grishth ka palan karege tabhi farisha ban sakege aur dusro ko bhi pavitra bana sakege. Jab bahut yuglo ko pavitra bankar pavitra banayege tabhi uncha pad pa sakege. Baba kahte hai wo pavitra yugal number one me aa jate hain. फ़रिश्ता बनना है तो पवित्र रहना पड़े। ऐसी जोड़ी निकले तो नम्बरवन जाए।

Pavitra grihasth jeevan ki bate hamne shashtro me suni hain. Bharat me pehle pavitra grihasth jeevan hote the. Students Brahmacharya ka palan karte the aur unme se kuch pavitra jeevan jite the aur kuch pavitra grihasth jeevan jite the. Lekin ab aatmaye patit ban chuki hai aur bahut kam umar me patit ban rahe hain. Chote chote bacche galat sangat ke karan patit ban rahe hain.   

Phir aaj baba bole ki yeh bahut guhay gyan hain ki brahma so vishnu aur vishnu so brahma. Iss par aaj vichar sager manthan karne bole baba. Aur Sabko iska aarth samjhana hain.

Kisi Ko pata nahi hain ki Shiv - Brahma-Vishnu-Shankar me sambandh kya hain? Baba achi riti samjhate hain. 

Phir baba bole, ki mahabharat ki ladai abhi ki hai sangam par. Iss sangam yug me tum ho sabhi pandav jo bhagwan ke sath hain. Aur wo hain kaurav jo kalyug me hain. Tum ho ruhani yatri jo buddhi se ye yatra karte ho aur satya dharam ki sthapna karte ho. Yeh sangam yug bada gupt yug hain jiska koi shastro me koi varnan nahi hain. Issi yug me bhagwan aate hain satya dharam ki sthapna karne. Bhagwan jab aate hain tabhi batate hain hame iss yug ka rahasya.

सतयुग में देवी-देवतायें विष्णु सम्प्रदाय हैं। वहाँ चतुर्भुज की प्रतिमा रहती है, जिससे मालूम पड़ता है यह विष्णु सम्प्रदाय हैं। यहाँ प्रतिमा है रावण की, तो रावण सम्प्रदाय हैं।

यह टॉपिक बड़ी वन्डरफुल है, ब्रह्मा सो विष्णु, इनको कोई नहीं जानते। विष्णु की नाभी से ब्रह्मा दिखाते हैं। जैसे गांधी की नाभी से नेहरू।

अमरलोक में तुम अभी जा रहे हो। अमरपुरी के बादशाह बनते हो। अमरनाथ तुम पार्वतियों को सच्ची-सच्ची अमरकथा सुना रहे हैं। तुम जानते हो अमर बाबा है, उनसे हम अमरकथा सुन रहे हैं। अब अमरलोक जाना है। इस समय तुम हो संगमयुग पर। 

Special Vichar Sager Manthan : Brahma So Vishnu : Vishnu So Brahma

Baba kahte hai mithe bacche yeh topic le lo. Topic choose karna chahiye. Topic lekar gyan manan chintan karna chahiye. "Brahma So Vishnu Aur Vishnu So Brahma". Yeh topic diya baba ne hame aaj saturday ko aur iss par vichar sager manthan karne ko kha hai. Taki ham kisi ko bhi aache se samjha sake. Vishnu se Brahma Banne me 5000(Charo yugo ki aayu 1250-1250 saal) sal lag jate hain jisme pura 84 janam aa jate hain aur Brahma se Vishnu banna second ki baat hai. Kyo baba ne kha ki Brahma se vishnu banna second ki baat hain. Satyug ke pehle prince sri krishna hote hain jo 16 kala sampuran hote hain. Aur phir radhe krishna ka swayambar hota hain toh krishna se narayan aur radhe se lakshmi bante hain. Dono Swarg ke maharaja aur maharani hote hain. Lakshmi narayan ke combined swarup ko hi vishnu kahte hain. Phir Lakshmi narayan ka rajya chalta hain satyug me jisse ham swarg bhi kahte hain. Satyug me aatmao ki ek janam ki aayi 150 saal hoti hain. 

Phir khel shuru hota jata hain 84 janmo ke khel ka. Dono radhe krishna ka yeh pahla janam hota hain iss naye 5000 ke kalp ka.  Yeh srishti 5000 saal ki hain. Aur Nayi purani hoti rahti hain. Srishti ka vinash nahi hota, bus yeh chakra chalta hi rahta hain. Toh jab krishna apne last janam pahuch jate hain ghor kalyug rupi ratri me, tab Parampita parmatma, shiv baba, param jyoti, nirakar krishna ke 84ve janam ke bhi aant samay(vridh sharir) me swayang parampita pravesh karte hain aur unka naam Brahma rakhte hain. Aur phir se iss kalyugi rupi ghor ratri, narak, pap ki dunia, tamopradhan dunia, patit dunia ko nayi dunia, swarg, heaven, satopradhan dunia, paradize ki sthapna karte hain jaha sabhi aatmaye 16 kala sampuran(pavitra) hote hain.

Iss tarah se yeh 84 janam ka khel chalta rahta hai aur yeh dunia purani se nayi ban jati hain. Aur iss tarah vishnu se brahma banne me 5000 saaal lag jate hain. Phir jab Bhagwan Brahma Jee ke sharir me pravesh kar sabse pehle Brahma jee ko 16 kala sampuran banate hain aur phir sabhi devi-devta kul ki aatmao ko adopt karke inke jeevan ko bhi pavitra banate hain toh yeh aatmaye bhi pavitra banti hain lekin numberwar. Isliye Brahma jee ki aatma hi puran pavitra bante hain aur krishna ke sharir lete hain. Bhagwan kahte hain yeh toh numberwar hain, bhagwan kahte hain sabka lakshya lakshmi narayan banne ko hota hai lekin baat nishchay ki hoti hain. Isliye gayan hain raja janak ki second me mukti wa jeevanmukti. Sanskar parivartan karne me bhi aatmaye time lagati hain. Sabse pehle Brahma baba ki aatma hi puran pavitra aur karmatit banti hain. Aur Krishna ki sharir ko reserve karti hain. Isliye kaha jata hain Krishna aur radhe ka seat full ho chuke hain aur baki seat abhi niryan nahi hua hai. Isliye kehte hain second me jeevanmukti. Second me nishchay kare aur apna seat le. Isliye lakshya sabka ek hota hain. Taki uncha se uncha post mil sake. 

Baba kahte hian, Vishnu ki nabhi se brahma dikhate hain jaise gandhi ke nabhi se nehru.

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) विचार सागर मंथन कर "ब्रह्मा सो विष्णु'' कैसे बनते हैं, इस टॉपिक पर सुनाना है। बुद्धि को ज्ञान मंथन में बिजी रखना है।

2) राजाई पद प्राप्त करने के लिए ज्ञान और योग के साथ-साथ आपसमान बनाने की सर्विस भी करनी है। अपनी दृष्टि बहुत शुद्ध बनानी है।

वरदान:-

नाम और मान के त्याग द्वारा सर्व का प्यार प्राप्त करने वाले विश्व के भाग्य विधाता भव

जैसे बाप को नाम रूप से न्यारा कहते हैं लेकिन सबसे अधिक नाम का गायन बाप का है, वैसे ही आप भी अल्पकाल के नाम और मान से न्यारे बनो तो सदाकाल के लिए सर्व के प्यारे स्वत: बन जायेंगे। जो नाम-मान के भिखारीपन का त्याग करते हैं वह विश्व के भाग्य विधाता बन जाते हैं। कर्म का फल तो स्वत: आपके सामने सम्पन्न स्वरूप में आयेगा इसलिए अल्प-काल की इच्छा मात्रम अविद्या बनो। कच्चा फल नहीं खाओ, उसका त्याग करो तो भाग्य आपके पीछे आयेगा।

स्लोगन:-

परमात्म बाप के बच्चे हो तो बुद्धि रूपी पांव सदा तख्तनशीन हो।

Baba ham pratigya karte hai ki pura pavitra jarur banege aur karmatit awastha ko prapt karege. Hame baba aapke sath aana hai satyug me first me aapka dost bankar. Apne sabhi sanskaro khatam, aur sabhi karambandhano ko chuktu kar main aapke paas aa raha hu baba. Aaapke sath aapka hath pakadkar main aatma pura vishwa ki palna kar raha hu.

Om Shanti
Thank You Baba
Mithe Baba, Mera Baba

Check out the more contents:

Understanding Alcohol Abuse Addiction Experience: Emotional Effects

Understanding Healthy Relationships

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.