Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 03-06-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 03-06-2020

"मीठे बच्चे - तुम्हें श्रीमत पर सबको सुख देना है, तुमको श्रेष्ठ मत मिलती है श्रेष्ठ बनकर दूसरों को बनाने के लिए''

Aaj baba Kahte hai mithe bacche tumeh srimat ka palan karte hue sabko sukh dena hai. Kai bacche maya ke vash hokar choti choti sukh ke piche bhagte rahte hai. Aur sochte hai yahi sukh hai. Aur lachari me, agyanta vash choti choti sukh aur vishay vikar ke aage bhagte rahte hai. 

Baba aakar hame srimat dete hai, jo srimat ka ullanghan karte hai wo mansik rup se bahut pareshan hote hain. Koi bhi kaam me man nahi lagna aur sabse chidchida kar bat karna. Bahut sare chize uske chehre se najar aane lagte hai. Wo bacche ka phir murli me man bhi nahi lagta hai. Wo Bhagwan se dur hota jata hain. 

Isliye hamesha srimat ka palan karna hai. Pehle toh agyani the, toh agyanta vash vikaram karte the aur pata bhi nahi chalta the. koi realization nahi tha. Lekin ab toh hame nasha hai ki kya mila. Pehle kya the aur aab kya bane hai. Baba ne swayang hame chuna hai aur ham bacche koto me koi, koi me bhi koi hain. Hame baba dwara mile srimat ka palan bahut strictly karna hai. Jaise srimat mila hai ki murli miss nahi karni hai. 

Ek anubhaw sun rahe the, ki jagdish bhai ek din murli sunne ja rahe the, toh train hi chhut gaya, toh wo train ke piche doudne lage ki ek din mera murli chhuta toh phir kal bhi chhut gayega. Isliye wo murli chhodna nahi chahte the. Waise hi hame bhi karna hai. Hame baba ke ek-ek srimat ka palan bahut strictly se karna hai. Baba hame roj 4 page ki murli ke madhyam se baat karte hai aur srimat dete hai. 

Ham uss gyanamrit ko pikar vish ki aur dhyan dete hai. Baba kahte hai bacche ko nasha rahna chahiye. Bacche bhul jate hain. Isliye agar ham baba ke srimat ka palan karege toh sabko ham aatmao se sukh hi sukh milega. Kisi ko dukh nahi denge toh dukh milega bhi nahi. Kyoki jo ham dete hai wahi hame milta haii. Dukh denge toh dukh milega, sukh denge toh sukh milega. Regard denge toh regard milega. 

Baba kahte hai, tumko sresth se sresth matt milti hai, kyo milti hai? Kyo baba ne hame chuna hai? Kyo baba hame ye 4 page ki murli suna rahe hai daily. Swa parivartan se vishwa parivartan. Hame srimat ka palan karke pehle khud sresth banna hai aur phir dusro ko banana hain. Sresth matlab hamara lakshya hi hai nar se narayan aur nari se lakshmi banne ka. 

Hamare naam ke aage sri lagta hai lekin iss ghor kalyug me koi bhi sresth nahi hai, sabme 5 vikaro ne ghar kar rakha hain. Hamare naame ke aage se sri hat jata hain jab ham devi-devta se vaam marg me jate hain. Aur ham vikaro ke sang me chale jate hai. Deh bhan me chale jate hain. Phir bhi log sri aur srimati likhte hi hain. Hame pata nahi hota ki iss sri ka akhir matlab kya hota hain. Ab bhagwan hame sresth matt isliye dete hai ki ham sri layak bane aur devi-devta ban jaye. Taki phir se ham 16 kala sampuran ban jaye.

प्रश्नः-

रहमदिल बच्चों के दिल में कौन-सी लहर आती है? उन्हें क्या करना चाहिए?

उत्तर:-

जो रहमदिल बच्चे हैं उनकी दिल होती है-हम गांव-गांव में जाकर सर्विस करें। आजकल बिचारे बहुत दु:खी हैं, उनको जाकर खुशखबरी सुनायें कि विश्व में पवित्रता, सुख और शान्ति का दैवी स्वराज्य स्थापन हो रहा है, यह वही महाभारत लड़ाई है, बरोबर उस समय बाप भी था, अभी भी बाप आया हुआ है।

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) सदा यह निश्चय रहे कि हम ईश्वरीय औलाद हैं, हमें श्रेष्ठ मत पर चलना है। किसी को भी दु:ख नहीं देना है। सबको सुख का रास्ता बताना है।

2) सपूत बच्चा बन बाप पर कुर्बान जाना है, बाप की हर कामना पूरी करनी है। जैसे बापदादा निर्मान और निरहंकारी है, ऐसे बाप समान बनना है।

वरदान:-

कल्याणकारी बाप और समय का हर सेकण्ड लाभ उठाने वाले निश्चयबुद्धि, निश्चितं भव

स्लोगन:-

बाप के संग का रंग लगाओ तो बुराईयां स्वत: समाप्त हो जायेंगी।

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.