Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 11 June 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 11 June 2020

"मीठे बच्चे - यह रूद्र ज्ञान यज्ञ स्वयं रूद्र भगवान ने रचा है, इसमें तुम अपना सब कुछ स्वाहा करो क्योंकि अब घर चलना है''

Bhagwan kahte hai mithe bacche yah rudra gyan yagya swayang rudra bhagwan(shiva) ne racha hai. Ham toh jante the aur padhe the ki ham yagya rachte hai jisme kuch swaha kiya jata hain. Aur yagya karwaya jata tha toh asur log vighan bhi dalte the. 

Ab jab ham gyan me aaye aur brahma dwara bhagwan rudra ne hame adopt kiya, apna banaya aur gyanamrit pilaya tab hame pata chala ki yagya ka matlab kya hai aur hame usme kya swaha karna hota hain. 

Bhagwan jab iss dharti me aate hain toh rudra yagya rachte hai aur jisme sabhi brahman aatmaye apne vikaro ko usme swaha karte hain. Aur tab yagya ke baad shanti, pavitra rajya ki sthapna ho jati hain. Jisse ham swarg kahte hain. Issi ke yaadgar me ham yagya rachte hain, apne apne gharo me sukh shanti ke liye.

Bhagwan ne jo yagya racha hai usme kahte hai ki tum apna sab kuch isme swaha karo kyoki ab ghar chalna hai. Sab chiz lekar ghar thodi jana hai. Aatma ke jitne bhi bure sanskar hote hain un sabko pavitra bana dete hain bhagwan tab hame ghar le jate hain. Bina pavitra bane koi ghar nahi ja sakta hain. Pavitra toh 2 tarike se ban sakte hain, ek yog se dusra bhog se. Yog karke hamari aatma pavitra bante chali jati hain. Jo khud nahi bante hai, usse drama pavitra banati hain.

प्रश्नः-

संगमयुग पर कौन-सा वण्डरफुल खेल चलता है?

उत्तर:-

भगवान के रचे हुए यज्ञ में ही असुरों के विघ्न पड़ते हैं। यह भी संगम पर ही वण्डरफुल खेल चलता है। ऐसा यज्ञ फिर सारे कल्प में नहीं रचा जाता। यह है राजस्व अश्वमेध यज्ञ, स्वराज्य पाने के लिए। इसमें ही विघ्न पड़ते हैं।

Jab bhagwan aate hain sangam par aur hame pavitra banana chalu karte hain tabhi vighan padna chalu ho jata hain. Jaise uss yagya me hamne suna tha ki asur aakar yagya me vighan dalte the. Waise abhi jab ham brahman aatmaye jab yagya me apne vikaro ko swaha karte hai toh asur(maya or rawan) ke vighan padte hain. Yeh khel sangam par hi chalta hain. 

Aisa yagya sare kalp me phir kabhi nahi hota hain. Isse ham rajaswa ashwamedh yagya kahte hain. Rajaswa - raj dilane wala aur ashwamedh matlab khud ke ashwa(man rupi ghoda) ko control karne ke liye. Swarajya ki sthapna. Aatma ko toh swaha nahi karte hain, sharir swaha ho jata hain. Bhagwan kahte hain ki aisa bhi nahi kahte hain ki iss yagya ko maine racha hain. Yeh doh drama plain anusar tum baccho ko padhane ke liye racha gaya hain.

Gyan kya hai, gyan toh bahut easy hain bus swadarshan chakra ka gyan samjahana hain.

Baba kahte hain pavitra toh jarur banna hai. Aaj baba dharamraaj ka part bhi dikha rahe hain. Pavitra nahi banege toh pavitra dunia ke malik kaise banege. Jo drama anusar bane the wahi banege na. Tumhare me bhi numberwar hain. 

Kahte hai baba, maya hame thappad lag deti hain. Baba kahte hai, tum sab bacche ek baba ki kshatrachhaya me rahne wale ho. Lekin banege wahi jinki takdir me hoga. Baba kya kar sakte hain. Kshama ki koi baat nahi hai, baba kahte hain karam bandhan toh tumeh bhogna hi hoga, uske liye kshama ki koi baat nahi hain. Baba kahte hain, duaon ka bank balance badhao, yeh shuli se kanta ban jate hain.

उनका एक ही नाम चला आता है शिव और सबके नाम बदलते हैं, इनका नाम नहीं बदलता। बाकी भक्ति में अनेक नाम रख दिये हैं। यहाँ तो है ही शिवबाबा। शिव कल्याणकारी कहा जाता है।

अबलाओं पर अत्याचार होते हैं। द्रोपदी ने पुकारा है ना। वास्तव में तुम सब द्रोपदियाँ, सीतायें, पार्वतियाँ हो। याद में रहने से अबलायें, कुब्जायें भी बाप से वर्सा पा लेती हैं।

Baba kahte hain ki Jaisa Ham karege waise dekh dusre bhi wahi karege. Hama devi-devta ban rahe hai toh hamare chalan kaise royal honi chahiye. Bataye, jab ham koi IAS or doctor ki padhati padhte hain aur interview me jate hain toh kaise chalan hoti hain.

You called out to the Father to come and to make you pure and take you away from this dirty world. The Father has now come to take you back home. Many points are given to you children.

Baba says sweet children, I come to this earth and make you souls pure from impure souls. GOD has made this impure world to pure too and take us away from this dirty world to our own home called paramdham(muktidham, brahmlok, shantidham etc). There are many points are given to us to tell others. Sewa is very important which will give us the highest posts on heaven.

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) सच्ची कमाई कर 21 जन्मों के लिए अपनी तकदीर बनानी है। शरीर पर कोई भरोसा नहीं है इसलिए ज़रा भी चांस नहीं गँवाना है।

2) नष्टोमोहा बनकर अपना सब कुछ रूद्र यज्ञ में स्वाहा करना है। अपने को अर्पण कर ट्रस्टी हो सम्भालना है। साकार बाप को फालो करना है।

21 janam tak ham sukhi rahe hai, yeh pralabhdh hoti hai, jiske liye mehnat abhi hi toh karni hai. Toh mehnat karne se darte kyo hai ham. Kyo maya se haar jate hain. Takdir ban rahi hai tab kya. Loukik me bhi dekhte hai  ham jab dukan me jyada kamai hoti hain toh ham sab bhul jate hai aur dukan me aadhi raat tak bhi busy rahte hain. Toh yeh sharir par koi bharosa nahi hain isliye jara bhi chance nahi gawana hain.

Nashtomoha banna hi hain aur apna sab kuch yagya me swaha kar dena hain.

वरदान:-

ग्लानी करने वाले को भी गुणमाला पहनाने वाले इष्ट देव, महान आत्मा भव

स्लोगन:-

अपनी मन्सा वृत्ति सदा अच्छी पॉवरफुल बनाओ तो खराब भी अच्छा हो जायेगा।

Achha Baba, mera baba, pyara baba, mitha baba, mera baba
wah baba wah, wah loukik aloukik parivar wah, wah desh wah

Thank You

“Know Your Existence On Spiritual Journey” What Kind of Travel is this?

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.