Amazon

इंसानियत के धर्म - मानव धर्म - Ek Dharam - Ek Rajya - Ek Bhasha - Ek Matt

इंसानियत के धर्म - मानव धर्म - Ek Dharam - Ek Rajya - Ek Bhasha - Ek Matt

Ek hamare sir hai jo loukik me muslim dharam se hain and lekin unki soch toh bahut badi hai. Wo hamesha dharam se upper ki baat karte hain. Dekhe yeh facebook post by Md Shamim:




Bilkul Sahi kahe hai sir. Yeh samay pehle tha isliye ham phir se aisa chahte hai. Kahi na kahi memory me hai aur samay ki pukar hai. Ab wo samay aa gaya hai.

Anubhaw: Ek din ham kahi ja rahe the, aur achanak andhi tufan varish hone laga, toh waha kuch bhi nahi tha chupne ka, kewal ke chota sa dispensary tha, jaha dekhe ki sabhi dharmo ke log ek jagah chup gaye varish se bachne ke liye. Ham sochne lage aur mujhe bhagwan dwara diye gaye gyan yaad aa gaye. Ki sabhi dharmo ki aatmaye ek chhat ke niche. Ek din aayega jab sabhi puri dunia me ek dharam, ek rajya, ek bhasha aur ek matt hoga. Sabhi ek sanskar ek jaise honge. Kisi ki bhi matt different nahi hogi. Usse ham swarg kah sakte hain. Jaha pyar hi pyar aur shanti hi shanti hote hain. Sabhi aatmaye 16 kala sampuran hote hain. 



Toh ab wahi samay aaya hai jab iski jarurat aan padi hai. Dharam ki glani ho rahi hai. Dharam ke naam par ladai. Jo bhai bhai the, wo kya ban gaye hai. Bhagwan, GOD, khuda hi hai jo iss kaam ko kar sakte hai. Isliye wo ham jaise baccho ko apna madadgar banate hai. Bhagwan aise dharam ki sthapna karte hai jaha sukh hi sukh hota hai. Ek dharam, ek rajya, ek bhasha, ek matt hote hai. Naam hai swarg/paradize/jannat/heaven kahte hai. Waha srishti ekdum satopradhan pavitra hoti hai, sreshtachari hote hain.

Aisi hi dunia banana bhagwan start kar diye hai. Isliye bhagwan ka slogan hai swa parivartan se vishwa parivartan. Ham shant honge toh pura world shant hoga. Hame apne aap me swa parivartan karna hai bhagwan ki yaad se, dekhna hai ki hamare ander koi durgun toh nahi. Check and change. 

Phir ham nimit banege pure vishwa ka parivartan karne me. Sending positive vibes to the whole world. Sankalp se srishti. Isliye ke liye hamne sabse pehle apne ko aatma/ruh samajhna hai aur khuda, bhagwan ko yaad karna hai jisse hamare sare vikram vinash ho. Aur ham 16 kala sampuran ban jayege. Jaha sabhi aatmaye 16 kala ho jayegi. Wahi toh bhagwan abhi kar rahe hai jaha aatmao me shakti(power) bhar rahe hai.  

Taki aatmao ki shakti badhe. Shakti badhne se hi toh aatmao ko gyan, pavitrata, sukh, shanti, prem, anand aur shakti ke gunn bharte jate hain. Aur aatma satoguni ban jati hain. Sabhi aatmaye sabko sukh hi sukh dete hai kyoki sabse pehle toh khud khus hote hain tabhi toh dusro ko bhi sukh dete hain.

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.