Amazon

YOG SE SIDDHI - BK Shivani - Brahma Kumaris

YOG SE SIDDHI - BK Shivani - Brahma Kumaris


20-06-2020

वरदान:-

याद के जादू मंत्र द्वारा सर्व सिद्धियां प्राप्त करने वाले सिद्धि स्वरूप भव

बाप की याद ही जादू का मंत्र है, इस जादू के मंत्र द्वारा जो सिद्धि चाहो वह प्राप्त कर सकते हो। जैसे स्थूल में भी किसी कार्य की सिद्धि के लिए मंत्र जपते हैं, ऐसे यहाँ भी अगर किसी कार्य में सिद्धि चाहिए तो यह याद का महामंत्र ही विधि स्वरूप है। यह जादू मंत्र सेकण्ड में परिवर्तन कर देता है। इसे सदा स्मृति में रखो तो सदा सिद्धि स्वरूप बन जायेंगे क्योंकि याद में रहना बड़ी बात नहीं है, सदा याद में रहना-यही बड़ी बात है, इसी से सर्व सिद्धियां प्राप्त होती हैं।

YOG SE SIDDHI

Aaj Ka Topic bhi hai Yog se Siddhi - Yog mana connection jaise sanyog, viyog(connectionless). Yog kisse rakhna hai, sabhi aatmao ko parmatma se. Unse yog lagaye toh sabhi bato me siddhi prapt hoti hain. Manmanabhaw ho jaye aur mann ka connection uss paramtma se lagana hai. Tab mann me uthne wale ek ek sankalp srimat aur gyan ratan honge. Usme fark karna hota hai, ki jo sankap aaye wo kha se aaye. Uss samay parmatma se yog tha ki nahi.

Yog word bhi nahi ab, aab bade pyar se apne baap(godfather) ko yaad karna hai, yahi mahamantra hai, jo baba hame vardan me diye aaj. Issi mahamantra se hi sada ke liye siddhi swarup ban jayege. Loukik(sthul) me bhi hota hai, ki koi siddhi(success) pani hoti hai toh mantra jaap karte hain. Yaha gyan marg me, baba ki yaad hi sabse bada mahamantra hain Jisse ham sarwa siddhiyan prapt karte hain.

International YOG Day(Brahma Kumaris) -  Every Third Sunday

21 June 2020, International YOGA Day. Aur hamara third sunday bhi hai. Ham Brahman bacche, Brahma Kumaris me har tisre sunday ko International YOG day manate hain. Jisme Pure world ke Brahma Vatsa Numasam ke baad 6.30 se 7.30 pm tak pure world ko silence ka daan dete hain. Ek sath pure world ke Brahma Kumaris centres, sabhi brahman parivar apne apne gharo me rajyog karte hain. Ham prakirti ko silence, peace, power, purity ka mahadaan(mansa shakti ka daan) karte hain. 

International YOGA DAY

21 June Ko Pura World International YOGA day manate hain jisme pure viswa ki aatmaye apne apne families ke sath yoga karte hain.

Aur pure viswa ko apne positive vibrations dwara yog ka daan dete hain. Hamara desh Bharat nimit bana hai pure viswa me YOG ka prachar aur prasar karne me. Aaj pura viswa me yog ka prachar ho chuka hain. Aur pura viswa yog ke mahatwa ko jaan chuka hain.

21 June ko Brahma Kumaris ke taraf se 5 hours event rakha gaya hai jo Awakening TV par sham 5 pm to 10 pm prasaran kiya jayega. 


No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.