Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 20 June 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 20 June 2020

"मीठे बच्चे - तुम्हारा टाइम बहुत वैल्युबुल है, इसलिए फालतू बातों में अपना टाइम वेस्ट मत करो''

Baba kahte hain bacche yeh time bahut hi valuable hai, isse kabhi bhi phaltu ki bato me waste mat karna. Isse hame samjhna hai ki yeh time bahut hi jyada, jitna ham soch bhi nahi sakte hain, usse bhi jyada valuable hain. Yeh sangam yug hain, iska 1 sec 1 saal ke barabar hain. Ek ek second brahmano ka kimti hota hain. Jo samay ka respect karega uska samay bhi respect karega. Jab baba gyan sunate hain toh baccho ka mann bhatakta rahta hain, wo bhi time waste ho gaya. Isliye padhane se pehle baba yog karate hain. Mann me uthne wale sankalpo ko kam kiya ja sake. Aur mann puri tarah se ekagra ho jaye.

प्रश्नः-

मनुष्य से देवता बनने के लिए बाप की कौन-सी श्रीमत मिली हुई है?

उत्तर:-

बच्चे, तुम जबकि मनुष्य से देवता बनते हो तो कोई आसुरी स्वभाव नहीं होना चाहिए, 2. कोई पर क्रोध नहीं करना है, 3. किसको भी दु:ख नहीं देना है, 4. कोई भी फालतू बातें कान से नहीं सुननी हैं। बाप की श्रीमत है हियर नो ईविल. . . .।

Hamara lakshya kitna mahan hai, ham nar se sri narayan aur nari se sri lakshmi ban rahe hain. Ham aatmao ko baba padhate hain. Kuch na kuch banne ke liye padhai ki jati hain na. Iss padhai ka lakshya bahut hi mahan hain. Jab lakshya itna mahan hain, toh lakshan kaisa hona chahiye. Toh tum manushya se devta ban rahe ho toh kabhi bhi aasuri chalan nahi chalna hain. Kabhi gussa nahi karna, kabhi kisi ko dukh nahi dena. Kabhi phaltu bate inn kano se nahi sunna. Sirf gyan ratan jo baba sunate hain, wahi sunna aur gyan se related bate hi sunna. Isliye baba srimat dete hain, hear no evil. 

Baba aaj aisi baat bataye aur kha ki isko ganth bandh lena chahiye. Ki tum mujhe yaad karo toh tumhare vikaram vinash ho jayege aur tum agle 21 janam tak kabhi rogi nahi banoge. 21 janam tak nirogi rahoge.

Chadhti kala, tere bhane sabka bhala. Ham brahman jab purushart karte hai aur hamesha chadhti kala me hote hain toh hamare chalte bahut sari aatmao ka bhala ho jata hai yaha tak ki 5 tatwo ka bhi bhala ho jata hain. Sabko ham brahmano se positive vibration milte hain aur unko aache anubhaw hote hain.

Ham brahmano ke sath toh sab chiz gupt hain, bhagwan jab gupt rup se aate hain toh hame gupt rup se hi 21 janam ki badshahi de dete hain. Yeh sab gupt hote hain, kisi ko pata nahi chalta hain. Baba example dete hain jaise kanyadan gupt kiya jata hain. Sabse bada daan bhi gupt hi gaya gya hain. Daan karne ke baad batate nahi hain. Nahi toh usko value kam ho jati hain.

Baba kahte hain tum ho gyan sager ke bacche bhagyashali aatmaye. Hamesha baap se gyan ratan hi milte rahte hain. Ager gyan ko chhodkar aur kuch bate ki toh wo hain patthar fekne ke saman. Isliye baap se jo milta hain wahi daan karo. Hamesha gyan ratan hi bato. 

Ishwariyan santan - PHD
Daivi Santan - MCA

Matlab waha degree kam ho jati hain. Abhi ham direct ishwar se padhte hain. Yeh hamari degree bahut unchi hain.

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) ज्ञान की बातों के सिवाए और कोई बात मुख से नहीं निकालनी है। झरमुई-झगमुई की बातें कभी नहीं सुननी है। मुख से सदैव रत्न निकलते रहें, पत्थर नहीं।

2) सर्विस के साथ-साथ याद की यात्रा में रह स्वयं को निरोगी बनाना है। अविनाशी सर्जन स्वयं भगवान हमें मिला है 21 जन्म के लिए निरोगी बनाने.. इसी नशे में वा खुशी में रहना है।

वरदान:-

याद के जादू मंत्र द्वारा सर्व सिद्धियां प्राप्त करने वाले सिद्धि स्वरूप भव


बाप की याद ही जादू का मंत्र है, इस जादू के मंत्र द्वारा जो सिद्धि चाहो वह प्राप्त कर सकते हो। जैसे स्थूल में भी किसी कार्य की सिद्धि के लिए मंत्र जपते हैं, ऐसे यहाँ भी अगर किसी कार्य में सिद्धि चाहिए तो यह याद का महामंत्र ही विधि स्वरूप है। यह जादू मंत्र सेकण्ड में परिवर्तन कर देता है। इसे सदा स्मृति में रखो तो सदा सिद्धि स्वरूप बन जायेंगे क्योंकि याद में रहना बड़ी बात नहीं है, सदा याद में रहना-यही बड़ी बात है, इसी से सर्व सिद्धियां प्राप्त होती हैं।

स्लोगन:-

सेकण्ड में विस्तार को सार रूप में समा लेना अर्थात् अन्तिम सर्टीफिकेट लेना।

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.