Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 09 June 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 09 June 2020

"मीठे बच्चे - सदा खुशी में रहो कि हमें कोई देहधारी नहीं पढ़ाते, अशरीरी बाप शरीर में प्रवेश कर खास हमें पढ़ाने आ`ये हैं''

Baba kahte hai mithe bacche sada khushi me raho, kyo khush raho ki hame koi dehdhari nahi padhate ho. Wo nirakar baap, jo ashariri hai aur hame padhane aaye hai. Brahma baap ka sharir loan lete hai aur loan lekar brahma mukh kamal se hame padhate hail. Isliye gawmukh ka gayan hain.

Gyan ka tisra netra mila hai hame. Ab iss sthool netro ka sahara nahi. Ab baba ne aloukik ankh di hai. Isse kya dekhna hai? Hame isse shantidham aur sukhdham ko hi dekhna hai. Hamesha iss smriti me rahna hai ki main aatma, light swarup. Search light, light house bhrakuti ki kutia me virajman. Mujh aatma se prakash hi prakash nikal raha hai aur puri dunia me phail raha hai. Main jaha jaha ja raha hu, mujhe pavitra aatma se pavitrata ki light nikalkar pure environment me phail rahi hai aur sabka jagah shanti hi shanti, pavitrata hi pavitrata phail rahi hain.

प्रश्नः-


तुम बच्चों को ज्ञान का तीसरा नेत्र क्यों मिला है?


उत्तर:-


हमें ज्ञान का तीसरा नेत्र मिला है अपने शान्तिधाम और सुखधाम को देखने के लिए। इन आंखों से जो पुरानी दुनिया, मित्र-सम्बन्धी आदि दिखाई देते हैं उनसे बुद्धि निकाल देनी है। बाप आये हैं किचड़े से निकाल फूल (देवता) बनाने, तो ऐसे बाप का फिर रिगार्ड भी रखना है।


Baba kehte hai mithe bacche tum bachco ko abhi tisra netra kyo mila hai? bhagwan jab aate hai iss dhara par toh brahmano ki rachna karte hai brahma sharir me pravesh karke. Toh ham brahmano ka tisra netra khol dete hain isse hame shantidham aur sukhdham ko dekhne ke liye. Brahmano ko sabko issi netra se dekhna hai. Sthool ankho se dekhte hue nahi dekhna hai. Khud ko aatma samjhna hai aur dusre bhi aatma dikhaye dene chahiye. Baba kisliye aate hain? Baba aate hain ham bachho ko kichad se nikal phool banane. Kante se phool bana dete hain. Toh hame apne baap ka kitna regard rakhna chahiye. Baap par toh pura kurban jana chahiye. Ham toh jee rahe the kichad me, lekin hame wahi thik lag raha tha, hame pata tak nahi tha ki aisi nirwikari life bhi hoti hain. Baba ko regard dene ka matlab unke ek ek srimat ka palan karna hai. aur kabhi bhi maya ke chakkar me srimat ka ullanghan nahi karna hai. Kisi bhi halat me, kaisi bhi paristhithi me srimat ka palan karna hi hain. Ham brahmano ka yahi rule hain. Ham bhagwan ki srimat ka palan kare. Baba ne hame suksham se suksham srimat diye hue hain. Hame sabka palan karna hai. Yahi hai baba ko respect dena. Jaise loukik me bhi ma-baap kuch instruction dete hai toh bacche uska palan karte hai. Agar palan nahi kare toh kya hoga, bolege ki respect nahi hai.

Baba ne kha aatmaye aur parmatma abhi hi milte hain. Yeh tum mat bhulo. Abhi sangam yug me bhi aatmao ka milan ek parmatma se hota hain. Abhi hi bhagwan aakar ham aatmao ka bhagya banate hain.

Baba kah rahe hai ki yeh nasha rahna chahiye na ki bhagwan hame padhate hain. Ham bhagwan se padh rahe hai. Jara ek second soche ki ham bahut bade scientist se tuition pad rahe hai. Kitna nasha rahta hai. Toh jab hame khud bhagwan aakar padha rahe hai toh kitna nasha rahna chahiye.

Baba hame kichad se nikal ekdum pavitra bana dete hai, pavitrata hi sabse bada gunn hai devi-devta banne ka. Aur baba hame sabse pahla sringar pavitra ka hi karte hain. Toh unko kitna yaad karna Chahiye. Batao, kitna nasha chadhna chahiye.

धारणा के लिए मुख्य सार:-


1) विकर्मों से बचने के लिए बुद्धि की प्रीत एक बाप से लगानी है, इस सड़ी हुई देह का अभिमान छोड़ देना है।


2) हम वारियर्स हैं, इस स्मृति से माया रूपी दुश्मन पर विजय प्राप्त करनी है, उसकी परवाह नहीं करनी है। माया गुप्त रूप में बहुत प्रवेश करती है इसलिए उसे परखना और सम्भलना है।


वरदान:-


ज्ञान कलष धारण कर प्यासों की प्यास बुझाने वाले अमृत कलषधारी भव


स्लोगन:-


एडॅजेस्ट होने की कला को लक्ष्य बना लो तो सहज सम्पूर्ण बन जायेंगे।


Om Shanti Baba
Mera Baba, Pyara Baba, Mitha Baba

Thank You Baba

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.