Amazon

The World Environment Day - The Spiritual Significance

The World Environment Day - The Spiritual Significance

Aaye aaj World environment day par har aatma ek-ek tree jarur lagaye. Yeh environment ka ultimatum hain

Om shanti to all divine brothers and sisters,

Aaj world environment day hai aur ham aaj celebrate kar rahe hai aur apne dharti ma ki care kar rahe hai. Yeh kaam hame daily karna hai aur apne dharti ma(prakirti) ko shanti ke vibration dene hai. 

Apne purity ke vibration dene hain. Isse pehle toh hame pehle shanti aur pavitrata ke vibration apne parampita(GOD) se leni hai aur phir environment me spread karna hai.


The World Environment Day - The Spiritual Significance 

Ab environment par bahut hi bhojh badh gaya hai aur environment bhi pure tarike se pradushit ho chuki hai aur hamse badla le rahi hai. Prakriti par kisi ka bhi vash nahi hai. Chahe aapke pass kitna bhi paisa ho. Prakirti ka hamne kaphi dohan kiya hua hai isliye toh abhi hame uske consequences dekhne ko mil rahe hai. Ham apne mann me ek sankalp bhi karte hai uska bhi consequenses hota jarur hai. Isliye hame apne mann ko positive vibration dena hai. Aur mann me uthane wale har sankalp par attention dena jarur hai. 

Related : Healthy Tips for Mentally ill Mind to Save yourself from negative thoughts

Ham ek sankalp bhi karte hai toh wo bhi environment me jati hai. Ham positive sankalp karte hai toh positive vibration jate hai environment hote hai aur hamare dharti mata ko bahut shanti aur sukun milta hai hamare positive thoughts se. Agar ham negative sankalp karte hai toh wo bhi sabse pehle toh wo negative thought hamare sharir me hi bimari create karti hai aur phir wo dushit vibration pure environment me phail jati hai aur environment ko bhi langda(dushit) banati hain. Hamare soch sabse pehle pure aur peaceful hone chahiye kyoki sankalp se srishti banti hain.

Hame aab aatamchintan karne ki jarurat hain. Main aatma hu, sharir nahi. First chapter of our holy books. Hamare holy books hame apne aap se hamko milwati hain. Hame yeh gyan lene aur hamesha soul conscisous hone ki kyo jarurat hai Kyoki aatma avinashi, yeh kabhi marti nahi hoti hai. 

Yeh universal truth hai. Lekin yeh sharir prakirti se bani hai aaj baccha ka sharir hai kal budha hokar isse mar jana hai. Jab ham soul conscious me hote hain toh hamare ander se pure vibration nikalte hai jo environment main jate hai aur environment ko bhi pure banane me help karte hain.

Iss environment day par hame apna pura sahyog dena hai, yeh bhul jana hai ki kaun kya kar raha hai. Iss par koi thought create nahi karne hai aur hame sirf yeh thought create karne hai ki aabhi ham kya kya kar sakte hain.

* Ham trees ko katne se bacha sakte hai.
* Ham apne thoughts ko positive bana sakte hain. Kyoki negative thoughts se bhi environment pollution hote hain. Change your thinking so that our environment can become pure.
* Jyada se Jyada tree laga sakte hain. Dusro ko bhi jagruk kar sakte hain tree lagane me. Ham lagayege toh hame dekh dusre bhi lagayege. Sirf aaj nahi, hamesha yeh hame karna hai. Jyada se Jyada. 
* Forests ko katne se bacha sakte hain.
* Phir se Hamare sanskar ko swachh aur hara-bhara bana sakte hain
* Paryawaran ko bachane ke liye koi bhi chiz ko shudh karke phir se use reusable banaye.
* Plastic aur poly thin  band hi kar de toh aacha.
* Koi Purana chiz ho usse environment me na pheke, uss kuch naya nirman karke aacha use ke layak banaye.
* Private vehicle me isstemal kam se kam kare, aur public transport jyada use kare
* cycle ka isstemal jyada kare
* ghar me electronic saman ka isstemal kam kare
* Solar energy ka isstemal jyada se jyada kare. Jyada se jyada urja ko bachaye
* Jeev-Jantu ko apne muh ke taste ke liye marna band kare. Pure veg satwik khana khaye.
* Prakirti ko positive vibration aapnaye.
* Apne Soch ko uncha rakhe(behad ki soch)
* Yogic kheti ko aapnaye, khet me yog ke prayog
* Pani ka use kam se kam kare, save water. Bathroom ya gharo se nikalne wale pani ko swachch karne ke machine lagaye aur wo pani mitti me jane de.
* Uphar ko kaise log bade care se rakhte hai. Yeh prakirti bhi hamare kiye uphar hai, save it.
* Harit urja ka isstemal Karna - वास्तव में हरित ऊर्जा प्राकृतिक अक्षय ऊर्जा स्रोतों जैसे सूर्य, पवन, जल, भूगर्भ और पादपों से उत्पन्न की जाती है। Taki environment ko kisi prakar ki kshati na pahuche.
* Behtar paryavaran ke liye wyarth sankalp samapt kare, kyoki yeh mann ka kachra hai
* kachara kam se kam kare, aur isse dispose kare uchit tarike se.
* Apne mann ko parivartan kare vishwa parivartan ho jayega
* Respect our earth
* Pradushan ko kam kare
* Har kisi ko ek ek tree jarur se jarur lagana hai. Yeh environment ka ultimatum samjhe ham.

Brahma Kumaris Kalptaruh Project



KalpTaruh is a key plantation project cum  mechanism of the Brahma Kumaris.
Stay tune with us to know more about the project.

🌱🌳🌴 - 1 People 1 Plant 1 Planet With the successful launch of the National Project KALPTARUH we have started our journey today. Let's make the journey a big Success for all of us as well as for Mother Earth.


Kuch Video share kar rahe hai jo world environment day par hai aur iss video se hame apne ander aatam chintan karne ke mouka milega ki hame ab kya karna hai apne dharti mata ke liye. Jarur Dekhe.

Call of Covid-19: Harmony with Nature | 5 June, 5pm | AwakeningTV | Brahma Kumaris



हमारी धरती माँ हमसे कुछ कहना चाहती है | World environment Day Special | Godlywood Studio |



Rajyog Meditation - Purifing Environment - BK Preeti





आइये इस पर्यावरण दिवस पर करें ये अनोखी पहल | World Environment Day Special | 5th June |




World Environment Day Special - 5th June | Brahma Kumaris



No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.