Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 01 June 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 01 June 2020

"मीठे बच्चे - जब तक जीना है तब तक पढ़ना और पढ़ाना है, खुशी और पद का आधार है पढ़ाई''

Baba kahte hai mithe mithe bacche tumeh jab tak jeena hai padhai par attention dete rahna hai. Padhai roj padhna hai, manan chintan karna hai. Kehte hai baba gyan sunte hai phir bhul jate hain. Baba kahte hai bacche murli revise karte raho. Aur Murli ko aapna bana lo, gyan ko visualize karne se yeh hamesha ke liye buddhi me chhap jate hain. Jaise loukik me padhai koi rat lete hai aur koi bhi samjh kar usko hamesha ke liye apna bana lete hain. Jo gyan ko rat leta hai wo kuch din me wo bhul jata hain. Isliye baba kahte hai gyan murli ka manan chintan dinbhar karna hai. 

Jab tak jeena hai padhna hain aur padhana hain. Jitna padhege utna khushi hogi aur unch pad ka aadhar hai. Unch padh milega. Bina padhe kaun hai jo kuch bana ho. Loukik me bhi jo padhte hai usko bade bade post milte hain. 

प्रश्नः-

सर्विस की सफलता के लिए मुख्य गुण कौन-सा चाहिए?

उत्तर:-

सहनशीलता का। हर बात में सहनशील बनकर आपस में संगठन बनाकर सर्विस करो। भाषण आदि के प्रोग्राम लेकर आओ। मनुष्यों को नींद से जगाने के लिए अनेक प्रबन्ध निकलेंगे। जो तकदीरवान बनने वाले हैं वह पढ़ाई भी रूची से पढ़ेंगे।

Baba aaj kahte hai mithe bacche, service ki safalta ke liye kaun sa gunn hona chahiye. Baba kahte hai service me safal hona chahte ho toh sahanshilta ka gunn toh bahut jaruri hain. Aaapas me sangathan me ek dusre ka madadgar bankar, sahanshil bankar sabki madad karni hain. Bada uncha post chahiye toh gyan, yog, dharna aur sewa jaruri hain. Wahi takdirwan hote hain. Sewa ke bahut sare prakar aane wale samay me nikalege.

गीत:-

हमें उन राहों पर चलना है .......

Yeh geet ke bol bade sunder, hame unn raho par chalna hain. Mind hamara dost bhi hai aur dusman bhi hai. Mind ka malik main aatma raja aur man mantri. Raja jo order kare wahi mind ko karna Hain. Raja jo order karta hai mantri wahi karta hain.



Aaj baba sewa ke bare me kahte hai, apne se poochna chahiye ki dekho kaun mila hai aur kisne tumeh chuna hai sewa ke liye. Dekho baap ke messenger bane hain? Kitno ko baap ka parichay diya hain. Kitne ko aap saman banaya hain. 

Dusro ke dukho ko dur kiya hai? Dusro ko mukti, jeevan mukti ka rasta bataya hain? Dusro ko yeh 84 ke chakra ka gyan diya hain? Apne ko dekho kya the, aur kya ban gaye hai... Toh dusro ko yeh rasta batakar baap saman banana hain. Iss aashant aur dukhi duniya me jisme sabhi aatmaye shanti aur pyar ki pyasi hain, tum baccho ko baba ne nimit banaya hai unhe ek bund shanti ki dene ke liye. Ek bund se bhi wo pyasi aatmaye tript ho jayegi.

Baba aj yaad par attention dilaye hai, yaad me rahte hai toh ekdum chadhti kala me chale jate hain, heaven me chale jate hain. Aur yaad me nahi rahte hai toh ekdum niche gir padte hain. Yaad par hi madar hain. Sab smiriti ka hi toh khel hain. Isliye mann me bahut aache sankalp chalne chahiye aur sabko ruhaniyat ki drishti se dekhna hai. Dusro ke prati aapke mann me aache sankalp aane chahiye. Yaad me rahege toh aache sankalp aayege aur deh ko dekhege toh bure sanklp chalege. Hamesha soul conscious me rahna hain.

Baap ko yaad nahi karege toh sudharege kaise.


धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) समय निकाल एकान्त में अपने आपसे बातें कर अपने को उमंग में लाना है। आपसमान बनाने की सेवा के साथ-साथ साक्षी होकर हर एक के पार्ट को देखने का अभ्यास करना है।

2) बाप को याद कर अपने आपको सुधारना है। अपनी दिल से पूछना है कि मैं मैसेन्जर बना हूँ, कितनों को आप समान बनाता हूँ?

वरदान:-

साइलेन्स की शक्ति द्वारा विश्व में प्रत्यक्षता का नगाड़ा बजाने वाले शान्त स्वरूप भव

स्लोगन:-

जीरो बाप के साथ रहने वाले ही हीरो पार्टधारी हैं।

Om Shanti
Thank you Baba
Mithe Baba, Wah Baba, Pyare Baba, Mera Baba



Check out this content 


No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.