Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 05 June 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 05 June 2020

"मीठे बच्चे - तुम्हें अभी ज्ञान की दृष्टि मिली है, इसलिए तुम्हारा भटकना बंद हुआ, तुम शान्तिधाम - सुखधाम को याद करते हो''

Aaj baba bole murli me mithe bacche tumeh gyan ka tisra netra mila hai, tumhara bhatakna abhi band hua hai. Main sochta tha jab main agyan nind me soya hua tha, ki akhir yeh tin ankho wale bhagwan kaun hain. Jaise durga jee ko tin netra dikhaye hai aur shankar jee ke tin netra dikhaye. 

Phir gyan me aane ke baad pata chala ki iske piche ka kya rahasya hai. Bhagwan kahte hai main tumeh gyan ki drishti deta hu. Buddhi rupi netra main gyan rupi drishti mila hain. Toh hamara bhatakna abhi band ho gaya hai. Hame abh wo netra aur drishti se shantidham aur sukhdham ko yaad karna hai. Yahi low of attractions hai. Jaha jana chahte hai usko yaad karna hoga. Unke bare me subh sankalp karna hoga. Waise hi tarage environment me jate hai aur prakirti hame wahi loutati hain.

प्रश्नः-

देवताओं में कौन-सी ताकत है और वह ताकत किस विशेषता के कारण है?

उत्तर:-

देवताओं में सारे विश्व पर राज्य करने की ताकत है, वह ताकत विशेष एक मत की विशेषता के कारण है। वहाँ एक मत होने के कारण वजीर आदि रखने की दरकार नहीं। देवताओं ने संगम पर बाप से ऐसी श्रीमत ली हुई है जो 21 जन्म राज्य करते हैं। वहाँ एक राजा की एक दैवी फैमिली होती, दूसरी मत होती नहीं।

Devi Devta jab ham ban jate hai toh hamare me wo takat aa jati hai ki ham pure viswa par rajya karte hain. Wo takat toh bharne ka samay abhi hai sangam par. Jab baba aate hai aur hame pawan banate hain. Devtaye-Deviyon ke Pavitrata ke karan hi unme yeh shakti aa jati hai jab sabke sanskar ek ho jate hai aur wo pure viswa par rajya karte hai. Jab wo rajya karte hai satyug ke shuru me, jan sankhya 9 lakh ke aaspas hoti hai aur satyug ke end tak 2 crore ke aaspas. Aur yahi sankahya treta yug ke end tak 33 crore ho jati hai.

Jab ham pavitra bante hai toh hamari buddhi ati nirmal ho jati hai aur buddhi itni pavitra ho jati hai, sresth ho jati hai ki ham apne nirnay khud hi karte hai aur bade aache se karte hai. Kabhi bhi nirnay par pachtawa nahi hota hain.

गीत:-

नयन हीन को राह दिखाओ प्रभू........

Yeh aankh hai lekin gyan nahi hai toh unko nayanhin hi kahege na. Aur jisse aankh nahi hai aur usse ander pura gyan hai. wo aankh na hote hue bhi prakash me hai.

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) इस बेहद की सरकार को मदद करने के लिए कम से कम 8 घण्टा याद में रहने का पुरूषार्थ करना है। याद में जो माया विघ्न डालती है उससे घबराना नहीं है।

2) इस पुरूषोत्तम संगमयुग पर ईश्वरीय सम्प्रदाय का बन, ईश्वर की मत पर चलना है। कर्म करते भी एक बाप की याद में रहने का अभ्यास करना है।

वरदान:-

बेगर टू प्रिन्स का पार्ट प्रैक्टिकल में बजाने वाले त्यागी वा श्रेष्ठ भाग्यशाली आत्मा भव

स्लोगन:-

सदा हर्षित रहने के लिए साक्षीपन की सीट पर दृष्टा बनकर हर खेल देखो।

Sada ham harshit rahna chahte hai toh kya kare. Bhagwan kahte hai ki hamesha sakshipan ki seat par drishta bankar har khel ko dekhte rakho. Jaise movie dekhte hai toh kya karte hain. Sakshi hokar dekhte hai.

In order to remain happy all the time, be seated on the seat of a detached observer and observe every game.

Swaman - Main nimit aatma hu

Jaisa chahte hai ki ho, wahi sankalp karne hai. 2 naw me nahi baithna hai. Ek baar me ek hi baithge na. Chahte hai naukri me safalta mile. Toh sankalp karna hoga "main mastersarwashaktiwan aatma hu" "main safal aatma hu" "safalta mera janamsidh adhikar hai".  Wacha ya karam se pehle toh sankalp hi karte hain na.

Om Shanti
Wah Baba, Mera Baba, Mitha Baba, Thank You Baba

Aaj World Environment Day hai, Iska alag se mujh aatma ne post likha hai.  Check out.

The World Environment Day - The Spiritual Significance

Aaj Bk Shivani Bahan, Baba Ramdev, Sadguru, Acharya Lokesh Spiritual Guru ek Manch par aakar World Environment Day par charcha kiye hain. Check out this video:

Sadhguru, Swami Ramdev, Acharya Lokesh & BK Shivani on Environment | 5 June, 8pm | Awakening TV



No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.