Amazon

क्या परमात्मा हमारा भाग्य लिखते हैं?

 क्या परमात्मा हमारा भाग्य लिखते हैं?


Kya Parmatma hamara bhagya likhte hain? Ham bhi pehle sochte the jab mujhe gyan nahi tha ki bhagwan hi dukh diye hai wahi dur karege. Lekin jab ham brahma kumaris ke 7 days ke foundation rajyoga meditation course ko kiye toh pata chala aur realize hua ki ha yeh baat sahi hain ki bhagwan hame dukh nahi dete hain. Bhagwan hamare parampita hain, god father hain toh ek father aapne bacche ko dukh kaise de sakte hain. Father toh hamesha apne bacche ko sukh hi dete hain, wo kaise dukh de sakte hain. Ham agar loukik me dekhe ki kya koi ma-baap apne bacche ko dukh dete hain, yaha tak ki dusre ke bacche ko bhi itna pyar se dekhte hain, toh apne bacche ko kaise dukh de sakte hain.

Phir hame yeh gyan hua ki bhagwan hamara bhagya likhne ki kalam hamare hatho ne de dete hain. Bhagwan aakar hame padhate hain aur srimat anusar karam karne ki shiksha dete hain. Aur hamare karam hi hamara bhagya likhte hain. Suppose, morning walk karna ek karam ka example liya jaye, toh yeh aacha karam hain, iske kaphi benefits hain, jo aage jakar hame benefits hi denge, nuksan nahi hain. Toh yeh karma ham agar roj roj karte hain, toh yeh hamare sanskar me aa jate hain aur isme impact aache hote hain. Lekin yahi agar morning walk jakar subah subah sote rahna aur late tak sona aur yeh karam bhi ham roj roj repeat kar rahe hai toh yeh bhi sanskar ban rahe hain jo aage jakar hamare liye thik nahi hain. Yeh nuksan hi karege. Ek decision, jo hamare destiny likhte hain. Ek morning walk me jane ka decision hamara aacha bhagya likh diya. Aise hi bahut sare aise karam hai jo ham srimat anusar kare toh hamara bhagya ujjwal banta hain.

Iss gyan se mujhe realize ho gaya ki baat me dam hain. Yeh baat meri aatma ko touch kar rahi hain. Yeh BK shivani didi jee ka video dekhe aur bhi clarity aa jayegi.

Karm Aur Bhagya : BK Shivani



अपने भाग्य को कैसे बदले?:: बी0 के0 शिवानी




भाग्य हाथों की लकीरों में नहीं, भाग्य लिखने की कलम आपके हाथों में हैं... | BK Shivani (Hindi)



No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.