Aaj ki murli me geet baja "Om Namah Sivay"
Baba ne kha Shiv baba ke mahima ka geet suna, kiski mahima ho rahi hain,
ओम् शान्ति। मीठे-मीठे सिकीलधे बच्चों ने महिमा का गीत सुना। किसकी महिमा? ऊंचे ते ऊंचे भगवान की। जिसको पतित-पावन, दु:ख हर्ता सुख कर्ता भी कहते हैं। सुख देने वाले को याद किया जाता है।
Shiv baba Ki Mahima:
Shiv baba ki mahima : Shiv baba jo gyan, pavitrata, sukh, shanti, aanand, prem, shakti ke sager hain. Patit pawan, dukh harta, sukh karta, sadgati data hain. Mukti aur jeevan mukti ke data hain. Shiv baba ke bhakti me bahut sare naam pade hai jo unki mahima me bhakt bolte hain. Unke kartavyon ke anusar hi shiv baba ke bahut sare naam pade hain.
Jaise parasnath, jo patthar ko paras banate hain. Jab shiv baba sangam yug me aate hain toh patthar buddhi ko gyan ke pavitra jal se paras buddhi banate hain. Isliye shiv baba ko parasnath kahte hain. Aise hi bahut sare naam hain shiv baba ke, aur sabka ek rahashya hain.
Shiv baba, jo patito ko pavaan banate hain, isliye unko patit-pavan kahte hain. Wo jab aate hain toh hame hamare 84 janmo ki kahani batate hain. Wo hame rachna ke aadi-madhya-aant ka gyan dete hain. Isliye unko rachaita kahte hain. Wo sab aatmao ke pita hain. Wo hamare mata hai, pita hai, teacher, satguru, bandhu, sakha, bacha hain.
07-11-2023(Murli) Se Shiv Baba Ki Mahima
Patit - Pawan, saviour, World Almighty authority, sarwa shaktivan, badrinath, amarnath, chaitanya beej,
No comments:
Post a Comment