Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 2 May 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 2 May 2020

"मीठे बच्चे - अभी तुम संगम पर हो, तुम्हें पुरानी दुनिया से तैलुक (नाता) तोड़ देना है क्योंकि यह पुरानी दुनिया अब खत्म होनी है”

प्रश्नः-

संगम की कौन-सी विशेषता सारे कल्प से न्यारी है?

उत्तर:-

संगम की ही विशेषता है - पढ़ते यहाँ हो, प्रालब्ध भविष्य में पाते हो। सारे कल्प में ऐसी पढ़ाई नहीं पढ़ाई जाती जिसकी प्रालब्ध दूसरे जन्म में मिले। अभी तुम बच्चे मृत्युलोक में पढ़ रहे हो अमरलोक के लिए। और कोई दूसरे जन्म के लिए पढ़ता नहीं।

Mujh Aatma Ka Manthan

Aaj baba murli me kahte hai baache yeh sangam yug hai, tum iss yug me ho, na kalyug main ho aur na satyug me. Iss sangam yug me ho, iss yug me khud bhagwan aate hai iss srishti par. Aisa samay aur sukh satyug me bhi nahi milta hai. Waha toh koi bhagwan ko yaad nahi karte hai. Wo yog pralabhdh ka hai. Uss yug me toh bhagwan ko bhul jate hai. 

Gyan bhi praylop ho jata hai. Isliye Yeh samgamyug ki badi mahima hai. Yahi yug hai apna 5000 saal ka bhagya banane ka. Aaap aapne agle 5000 sal ke kalp me kaisa zindagi jiyege, wo bhagya abhi banane ka hai. Samay aur Sankalp Abhi issi yug me safal karna hai. Jaise karege waisa milega waha. Baba kahte hai, loukik me toh koi aise nahi bol sakta hai aisa. Abhi sangam main baba kahte hai ki aur ham brahman bacche aisa kah sakte hai ki abhi padhai aache riti padho aur iska pralabhdh satyug me agle janam main milega. Baba kahte hai yeh sangam hai, toh aab purani dunia se nata tod ek baba se jod dena hai. Yeh purani dunia khatam honi hain.

Phir baba kahte hai ki mithe bacche, yeh gyan bahut bada hai. Iski pralabhdh tumeh satyug me milta hai. Yeh aisi padhai hai bhagya banane ka. Isliye samay ko safal karo, vyarth chintan se mukt bano aur ek baap ko hi yaad karo, tabhi vikaram vinash honge. Kewal ghar ko yaad karne se, vikaram vinash nahi honge. Bap ko yaad karna hi hai. Yeh samgam ka samay 1-1 second kimti hai. Lekin bacche vyart me chale jate hai aur deh abhiman main aa jate hai aur samay waste karte hai. Samay waste nahi karna hai. Attention rakho, Maya baap ki yaad bhula deti hai. Attention rakhge aur diary bana lenge ki baap ko kitna der yaad kiya. Dinbhar kya kya kiya toh maya nahi aayegi. Attention rupi guard ko duty me tainat rakhege toh kabhi bhi maya ander pravesh nahi karegi. 

Attention nahi rakhte hai toh tention me aa jate hai, aur buddhi ka switch off ho jata hai. Buddhi ka switch ko hamesha on rakhna hai. Buddhi me sara gyan hai lekin buddhi ka isstemal nahi karte hai bacche. Baba kahte hai maya aisi hai ki ulta karam karwa degi. Chori bhi karwa degi. Mann me aayega ki bina puche utha le, lekin buddhi kya bolti hai. Baba ne toh buddhi ko paras banaya. Buddhi rokegi ki kya karna hai, uthana hai ki nahi. Galat kya hai aur sahi kya hai. Koi galat karan kyo hota hai, buddhi ka switch off rahta hai purane sanskaro ke chalte. Isliye buddhi ka isstemal jyada se jyada kare tabhi ham maya se bacch sakege. Kyoki ki maya ka hathiyaar hi hai galat sankalp. Wo pura kosis karti hai ki baccho ko manmanabhaw nahi hone de aur bhatka de.

Phir baba kahte hai ki mithe bacche maya ke vash hokar koi galat karam nahi karna hai, baap ka naam badnam mat karna. Baba kahte hai yeh purani dunia khatam ho jayegi. Isliye jo samay mila hai pavitra bano, yogi bano. Baba kahte hai yog word bhi issstemal nahi karna hai. Baba ko bade pyar se yaad karna hai. Yeh dunia ka rawan ka desh, aur yaha sabhi vikari hai. Waha satyug me koi vikar nahi hota hai. Waha sab pavitra devi devta hote hai. Waha rawan nahi hota hai, waha baba bhi nahi hota hai. Kewal bacche hote hai. Rawan phir dwapar me aa jata hai.

Baba kahte hai ki yeh last chance hai, bus deri mat karo. Deri ki toh achanak hi mar jayege. Log kaise marte hai dekho. Koi achanak hi baithe baithe mar jata hai. Isliye marne se pehle yog karke thoda pralabhdh jama kar lo. Wahi kam aayega.

Dharna me baba kahte hai ki mithe bacche sari murli ka dinbhar manthan karo aur padhai aachi riti padho. Sangdosh me aakar loose nahi hona hai. koi alash aur alvelapan nahi. Deh abhiman me aakar koi galat karam nahi karna. 

घर की याद के साथ-साथ बाप को भी याद करना है। याद के चार्ट की डायरी बनानी है। नोट करना है - हमने सारे दिन में क्या-क्या किया? कितना समय बाप की याद में रहे?

Sabhi manushya toh kewal brahm ko yaad karte hai, isliye vikaram vinash nahi hote hai. Karam bhog ko bhogna hi hoga. Baba ko yaad karne se yeh shuli se kanta ho jata hai. Isliye ghar ke sath sath baba ko yaad karna hai. Dairy banana hai aur dinbhar note karte rahna hai ki kya kya kiya.

Vardan me baba kahte hai ki mithe bache, apne me guno ko dharan karke, guno ka daan karo aur adharmurat bankar uddharmurat bano.

महादानी फ्राखदिल बनना ही उदारचित आत्मा की विशेषता है 

स्लोगन:-

"आप और बाप” दोनों ऐसा कम्बाइण्ड रहो जो तीसरा कोई अलग कर न सके।

Om Shanti
Thank You Baba 
Mithe Baba, Pyare Baba, Mera Baba

Check out this awesome contents

नशा से मुक्ति संभव हैं। || आत्मिक बल से नशा छोड़ सकते हैं।

Nashe Se Mukti – Free From Addiction

Rajyoga Meditation For All To Cure Five Biggest Disease



No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.