Amazon

Sab Bhai Bhai Hain - हिन्दू - मुस्लिम - सिख - इशाई

Sab Bhai Bhai Hain - हिन्दू - मुस्लिम - सिख - इशाई


Namaskar, Om Shanti All Divine Brothers and Sisters,


Iss post likhne aur apna life experience share karne ka purpose yeh hai ki aaj log brother's day celebrate kar rahe hai. Toh mujhe yeh khayal aaya ki ham aisa kyo bolte hai "HINDU-MUSLIM-SIKH-ISHAI APAS ME HAI BHAI-BHAI". 

Bhai sunne se mujhe yeh khayal aa raha hai ki aisa kyo kahte hai? Dharam toh bahut sare hain. Toh phir ek sawal ki sirf char dharam hi yaha kyo bolte hain. Iska jarur koi karan hoga. Aur sabhi dharmo ke log aapas me bhai-bhai kaise. Yeh toh bahut bada sawal ho jata hai ki bhai-bhai wahi ho sakta hai jiske father ke ho. 

Maine yeh sawal ka jawab dundha toh pata chala ki ham sab souls, ruh, energy, jeevan hai. Yeh sharir nahi. Aur aatma ka koi dharam nahi hota. Koi naam nahi hota. Wo toh abhinashi hain. Aur sabhi aatmaye hain. Aur ham aatmao ka, chahe hindu ho, muslim ho, sikh ho chahe ishai ho, sabhi aatmao ka father(pita) wo parampita parmatma(godfather, allah, bhagwan) hain. Jab sabhi ke father ek hai toh ham sab bhai-bhai hue na.

Aatma jyoti swarup, light, energy toh aatma ke father ka kya rup hoga. Toh wo bhi light, jyoti bindu, nurr, nirakar honge na. Jaisa father waise children.

Jyotirlingam
Allah Noor Hai
GOD is light
Ek Omkar nirakar

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.