Brahma Kumaris Murli Manthan 22 May 2020
"मीठे बच्चे - एकान्त में बैठ अपने साथ बातें करो, हम अविनाशी आत्मा हैं, बाप से सुनते हैं, यह प्रैक्टिस करो”प्रश्नः-
जो बच्चे याद में अलबेले हैं, उनके मुख से कौन-से बोल निकलते हैं?
उत्तर:-
वह कहते हैं - हम शिवबाबा के बच्चे हैं ही। याद में ही हैं। लेकिन बाबा कहते वह सब गपोड़े हैं, अलबेलापन है। इसमें तो पुरूषार्थ करना है, सवेरे उठ अपने को आत्मा समझ बैठ जाना है। रूहरिहान करनी है। आत्मा ही बातचीत करती है, अभी तुम देही-अभिमानी बनते हो। देही-अभिमानी बच्चे ही याद का चार्ट रखेंगे सिर्फ ज्ञान की लबार नहीं लगायेंगे।
Mujh Aatma Ka Murli Manthan
"मीठे बच्चे - एकान्त में बैठ अपने साथ बातें करो, हम अविनाशी आत्मा हैं, बाप से सुनते हैं, यह प्रैक्टिस करो”
Baba kahte hai mithe bacche ekant me baitho aur apne se baate karo, ham avinashi atma hai, baap se sunte hai. Yeh gyan ka manan karo apne se ruh rihan karo. Mujhe baba swayang aaye hai padhane aur sabhi aatmaye hai. This is the practice. Yeh practice hame karni hain.
Baba kahte hai bacche gyan ki labar labar(gyan sunana kewal), karte rahte hai, yog ka chart hi nahi rakhte hai. Baba aaj prashn puchte hai jo bacche yaad me alvele hain unke bol kaise hote hain.
Wo bacche kahege ki ham toh hamesha baba ki yaad me hi rahte hai. Baba kahte hai yeh sab gapode hain. Subah subah yaad me baithna chahiye aur apne ko aatma samjh ke baithna chahiye. Aur baap ko yad karna chahiye. Subah subah apne se, baap se ruhrihan karna chahiey. Ham sab aatma hai, aatma hi sochti hai, dekhti hai, gyan aatma me hi hain. Abhi tum dehi abhimani bante ho. Aur Dehi abhimani bacche hi yaad ka pura chart rakhte hai. Baba ko batate hai pura potamail aur koi bhi galti hoti hai toh turant bata dete hain, chhupate nahi hain. Chhupane se aur hi jyada badh jata hain. Aise alvele bacche sirf gyan ka labar labar karte hai, yog ka chart nahi rakhte hain. Aise bacche gyan khub sunate hai, bade bade logo ko gyan sunayege lekin yaad ka chart nahi hain.
Aaj baba kahte hai murli me mithe bacche yeh purani duniya me sab patit hai. Sab tamopradhan hai. Main aata hi hu patit sharir me, patit dunia me. Isliye iss purani dunia se dil mat lagao. Tumeh apne swa sthithi se parithithi par jeet pani hai. Paristhithi kaisi bhi ho, uss par jeet pana hai. Parithisthi ko apne swasthithi se thik karna hai. Yeh parithithi kuch nahi bus yeh exam hai jo maya lene aati hai. Yeh exam nahi aaye toh tum class change kaise karoge. Tumeh toh exam dena hi hai aur full marks se pass hona hai. Jo aache students honge wo exam aache se pass karege. Padh kis liye rahe hai, kewal passmarks ke liye ya pass with honour ke liye. Bataye?
No comments:
Post a Comment