Brahma Kumaris Murli Manthan 13 May 2020
"मीठे बच्चे - अमृतवेले अपने दूसरे सब संकल्पों को लॉकप (बंद) कर एक बाप को प्यार से याद करो, बाप से मीठी-मीठी रूहरिहान करो”प्रश्नः-
तुम बच्चों की हर बात में अर्थ है, अर्थ सहित शब्द कौन बोल सकता है?
उत्तर:-
जो देही-अभिमानी है, वही हर बोल अर्थ सहित बोल सकता है। बाप तुम्हें संगम पर जो भी सिखलाते हैं, वह अर्थ सहित है। देह-अभिमान में आकर मनुष्य जो कुछ बोलते हैं वह सब अर्थ के बिना अनर्थ है। उससे कोई फल नहीं निकलता, फायदा नहीं होता।
Mujh Aatma Ka Murli Manthan
Baba aaj baccho se kah rahe hai mithe bacche amritbele baap ko yaad karne ki kya yukti hai. Subah subah amritvele sare bahri sankalpo ko lock kar do. Aur sirf ek baap ko bade pyar se yaad karo. Baap se mithi mithi bate karo, ruhrihan karo. Subah ka watawaran bahut aacha rahta hai jab baap khud aate hai baccho ke pass. Baap ke aane se kaisa watawaran ho jata hain. Baap se jo bolege subh sankalp wo puran ho jata hai. Baba kahte hai jo dehi abhimani hokar kuch gyan samjhate hai usi ka arth nikalta hai, baki jo deh abhiman me aakar bolte hai toh wo wyarth hai. Uska koi arth nahi nikalta hai.Baba daily kuch na kuch gyan, yog, dharna, sewa se related murli chalate hai.
Gyan
Aaj baba gyan ke points sunate hai ki bache jo dehi abhimani hai wahi kuch arth sahit baat bol sakta hai. Baba phir kahte hai ki bache bhakti marg me kitni taklif hai. Baba aakar un taklifo se chhuda dete hai. Bhagwan aakar khud apne parichay sunate hai. Aur hame isse chhudakar hamara mukti aur jeevanmukti ka marg bahut sahaj kar dete hai. Bhagwan ko prapt karne ke liye bhakti karte hai na, kabhi char dham yaatra me jate hai kasht uthakar, utna der line me lagte hai. Bimari ki awastha me hi tirath yatra me jate hai. Ghar me bade bade yagya, jagran, festival karte hai, kitna kharcha karte hai. Jab se baba mila, koi kharcha hi nahi. Sab chhut gaya hai. Ab koi kharcha hi nahi hai. Sare chizo se baba ne chhudwa diya hai.Phir baba kahte hai, baba aakr hame bandhano se chhudwa dete hai, satyug me koi bandhan nahi hota hai. Yaha toh dekho kitna bandhan mahsus karte hai. Issi bandhano se mukt hone ke baad hi mukti milti hai.
Baba kah rahe hai mithe bacche, tumne bahut bhakti ki hai. Tumne shuru shuru me sirf shiv ki bhakti karte hai. Only shiva. Lekin baad me bahut sare devi devtao ki bhi bhakti karne lage. Jo tumhare dukh ka karan hain. Jiski bhakti tum shuru me karte the, wahi aaya hua hai abhi tumeh apna khud ka parichay dene. Jis samay tum sirf shiv ki bhakti karte the, us samay bahut sukhi the.
Baba aaj hame bata rahe hai ki mahalakshmi kaun hai? wahi jagatamba jo satyug me radhe banti hai aur swayambar ke baad mahalakshmi ban jati hain.
Baba ne kha ki tum sab shiv shaktiyan, shiv se shakti lete hai, kaise? yog-bal se shakti lete ho. Baba kahte hai vikaram toh aatma par chadte hai, sharir par nahi. Sharir par chadte toh sharir ko jalane ke baad vikaram vinash ho jate. Log sochte hai sharir ko khatam kar lenge toh pap nash ho gayege. Lekin pap aur aage aatma ke sath carry forward ho jata hai, us kiye gaye pap ka phal agle janam me bhogna padta hai. Phir sharir ke jalne se pap kha khatam hua.
Baba ne kha ki pehle aatma ka realization karate hai. Kyoki aatma hi sab janti hai. Yeh srishti chakra kya hai, yeh kitne varsho ka hai etc.
Yog
Yog ke points me baba ne kha ki mithe bache:
* Amritvele baap ko bade pyar se yaad karo, bina koi sankalp kiye. Sare sankalpo ko lock karke. Koi khayal na aaye.
* बाप ने कहा है हमको याद करो, अन्तर्मुखी हो बाप को ही याद करना है, तो बाप प्रतिज्ञा करते हैं तुम्हारे पाप भस्म हो जायेंगे। यह है योग अग्नि, जिससे तुम्हारे विकर्म विनाश हो जायेंगे फिर तुम वापिस चले जायेंगे। हिस्ट्री रिपीट होती है। Baba baccho se pratigya karte hai ki bacche tum mujhe yaad toh karo, tumahare sare vikaram vinash ho gayege. Yeh yog agni hai sare pap bhasam ho jayege.
* सबसे अच्छी मत मिलती है मनमनाभव। दूसरा कोई बोल न सके। कल्प-कल्प यह मत मिलती है - तमोप्रधान से सतोप्रधान बनने की। बाप सिर्फ कहते हैं मामेकम् याद करो। इसको कहा जाता है - वशीकरण मंत्र, अर्थ सहित याद करने से ही खुशी होगी।
* बाप कहते हैं अव्यभिचारी याद चाहिए। जैसे भक्ति में एक शिव की पूजा अव्यभिचारी है फिर व्यभिचारी होने से अनेकों की भक्ति करते हैं।
* Tum Shiv se shakti lete hai yog-bal se. Shiv baba ko yaad karte raho, aur shakti lete raho.
* बाप को जितना याद करेंगे उतना विकर्म विनाश होंगे। विकर्म विनाश होने पर ही आधार है तुम्हारे भविष्य का। Baba aaj vikaram vinash par jor dete hue kahte hai ki tumhare bhawishya(future) ka aadhar kya hai, wo hai vikaram vinash. Jitna yaad karege utna vikaram vinash aur utna bhawishya sunder. Aur khushi ka para chadhta hi jayege din par din. Baccho gyan toh sun lete hai, gyan sunate bhi hai. Lekin yog ka or yaad ka chart kamjor honne ke karan khushi ka para hamesha low dikhta hai.
* बाप तुम्हारा टीचर भी है, गुरू भी है तो उनको याद करना चाहिए। सबसे प्रिय बाप, टीचर और गुरू ही होते हैं। उनको तो याद करना चाहिए। Baba se sambandh jodege toh unko yaad karna aasan ho jayega. Baba kahte hai, sabse priy baap, teacher aur guru hi hote hai. Unko toh yaad karna chahiye.
Dharna
Jitna Padhege aur pass honge, nahi toh muh nicha karna hoga, pachchtana hoga
1) पुरूषार्थ कर अपनी भविष्य कमाई में लग जाना है, ड्रामा में होगा तो कर लेंगे, यह कहकर पुरूषार्थ हीन नहीं बनना है।
2) सारे दिन में जो भी पाप होते हैं या किसी को दु:ख देते हैं तो नोट करना है। सच्चाई से बाप को सुनाना है, साफ दिल बन एक बाप की याद से सब हिसाब चुक्तू करने हैं।
Sewa
Sewa, shiv ka chitra par samjhana hai, yeh gyan ka sager, patit pawan hai, unko yaad karna hai. Baba hamko viswa ka malik bante hai. Unki srimat par chalna hai.Purushart toh karna hi hai, aisa nahi drama me hoga toh karege, purushart bina toh khana bhi nahi mielga.
Phir yeh samjha sakte ho ki ek sadi sanatan devi devta dharam tha jo aab praylop ho gaya hai. Samjhana hai ki yeh hindu dharam kya hai?
Baba kahte hai ki tum sadhu-santo ko bhi nimantaran karna chahiye.
Baba aaj khusi ka daan karne ke liye kahe hai.
वरदान:-
हर संकल्प वा कर्म को श्रेष्ठ और सफल बनाने वाले ज्ञान स्वरूप समझदार भव
यह स्वास्तिका, स्व स्थिति में स्थित होने और गणेश नॉलेजफुल स्थिति का सूचक है।
स्लोगन:-
ब्राह्मण जीवन की विशेषता है खुशी, इसलिए खुशी का दान करते चलो।
Om Shanti
Thank You Baba, Pyare Baba
Mithe Baba
Check out some contents which has been written in the remembrance of GOD
No comments:
Post a Comment