Amazon

Brahma Kumaris Avyakt Murli 08-01-86 Revised 10 May 2020

Brahma Kumaris Avyakt Murli 08-01-86 Revised 10 May 2020

धरती के ‘होली’ सितारे

किसी न किसी गुण की, चाहे शांति की, चाहे शक्ति की विशेषता अपने में भरने की विशेष तीव्रगति की तैयारी करो। आप भी रिसर्च करो। सभी गुण तो हैं ही लेकिन फिर भी कम से कम एक गुण की विशेषता से स्वयं को विशेष उसमें सम्पन्न बनाओ।



Mujh aatma ka murli manthan

Baba aaj murli me kahte hai ki mithe bacche tum dharti ke holy sitare ho. Twinkle Twinkle little star, how i wonder what you are, up above the world so high, like a diamond in the sky.

Ek toh wo sitare hai, jiski khoj science wale kar rahe hai. Science wale naye naye khoj karte rahte hai. Aur unko un sitare aur ulkapindo se khatra hi rahta hai ki wo dharti ke taraf aa rahe hai. Kuch bhi vinash ho sakta hai. 

Lekin tum sab ruhani holy sitare bhi tayar ho rahe hai jo iss dharti par apne sukh aur shanti ek vibrations failaoge. Ek din tum sitaro par bhi wo research karege ki yeh sukh aur shanti ke vibrations kha se aa rahe hai.

सदा होली सितारे बन विश्व को सुख शान्तिमय बनाने वाले, मास्टर पारसनाथ बन पारस दुनिया बनाने वाले, सर्व को पारस बनाने वाले, सदा अनुभवों के सागर के तले में अनुभवों के रत्न स्वयं में जमा करने वाले, सर्चलाइट बन अज्ञान का पर्दा हटाने वाले - ऐसे बाप को प्रत्यक्ष करने वाले विशेष सितारों को बापदादा का यादप्यार और नमस्ते।

Toh sada issi tarah holy sitare ban sara viswa ko sukhmay aur shantimay banao. Puri dunia ko gold banane wale. Phir baba kahte hai ki bacche tum parasnath ke bacche master parasnath bacche ho. Yeh mat socho ki samne wala loha hai, but yeh socho ki tum paras ho. Tumahre sampark me aate hi wo bhi paras ban jayege. Toh puri dunia ko paras tum banate ho.

Abhi viswa me iss samay need hai aap holy sitaro ki hai
aab samay aisa aa raha hai jo aap holy sitaro ko dekhne ke liye sabhi ichchuk honge. Sabhi tumare darshan karne ke liye tumhare piche aayege. Toh check karo, holy sitare ho?

Baba kahte hai kewal murli mat suno, kewal yog uper uper mat karo. Uske tah me jakar anubhuti karo. Aap chahe sarwa gunnsampann ho lekin kisi ek gunn me aap vishes research karo. aap apne upper bhi research karo. Aur kisi ek gunn me specialized bano. Jaise doctors hote hai, unko knowledge toh sabki hoti hai, lekin kisi ek chiz me wo specialized hote hai. Waise anubhuti tum bacche karte ho. 

Phir baba kahte hai, mithe bache tum searchlight bano dusro ke liye. Dusro ko rasta batao. Searchlight ki roshni dur tak jati hai. Tumhari gyan roshni bhi dur tak jaye. Searchlight bankar rasta batakar baba ko pratayaksh karne wale bacche ho.

Phir baba golden jublee ke program ke liye instruction diye. Kaise program karo. Aisa program karo jise kewal bhasan nahi bhasna honi chahiye. Tum stage ke aage sabko baithao, bache, kumar, kumari, yugal, buddhe aur sabka anubhaw suno 3 minute. Isse vayumandal shaktishali banegi.  Jaisa vayumandal hota hai waise sab karte hai. Tum brahma kumaris dhire bolo toh dusre bhi dhire dhire bolege.

Phir baba bole na halchal me aao, na halchal me lao. Halchal machanewali prakirti hi bahut hain. Yah prakirti apna kam kar rahi hai, aur tum apna kaam karo.

Baba sabhi teachers baccho se baat kar rahe the, baba ne kha tum teacher bacche nayi dunia ke foundation ho, aagar foundation kachcha hoga toh kya hoga. Foundation hai naye yug ka pavitrara, pavitrara rupi foundation kamjor hoga toh ghar bhi kamjor hi banega na. 

वरदान:-

ईश्वरीय मर्यादाओं के आधार पर विश्व के आगे एग्जाम्पल बनने वाले सहजयोगी भव

विश्व के आगे एग्जाम्पल बनने के लिए अमृतवेले से रात तक जो ईश्वरीय मर्यादायें हैं उसी प्रमाण चलते रहो। विशेष अमृतवेले के महत्व को जानकर उस समय पावरफुल स्टेज बनाओ तो सारे दिन की जीवन महान बन जायेगी। जब अमृतवेले विशेष बाप से शक्ति भर लेंगे तो शक्ति स्वरूप हो चलने से किसी भी कार्य में मुश्किल का अनुभव नहीं होगा और मर्यादा पूर्वक जीवन बिताने से सहजयोगी की स्टेज भी स्वत: बन जायेगी फिर विश्व आपके जीवन को देखकर अपनी जीवन बनायेगी।

स्लोगन:-


अपनी चलन और चेहरे से पवित्रता की श्रेष्ठता का अनुभव कराओ।

Om Shanti
Thank You Baba, Mithe Baba, wah baba wah. 
Wah bharat wah, wah sangamyug wah, wah drama wah, waha bacche wah, wah yeh holyness wah, wah ruhani nain wah
wah mera loukik parivar wah

Check out some contents which has been written in the remembrance of shiv baba

Is celibacy important in spirituality? What do all religions say about this?

Achieving Happiness Through Rajyoga Meditation

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.