Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 08 May 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 08 May 2020

"मीठे बच्चे - बाबा आया है तुम बच्चों को अविनाशी कमाई कराने, अभी तुम ज्ञान रत्नों की जितनी कमाई करने चाहो कर सकते हो”

प्रश्नः-

आसुरी संस्कारों को बदलकर दैवी संस्कार बनाने के लिए कौन-सा विशेष पुरूषार्थ चाहिए?

उत्तर:-

संस्कारों को बदलने के लिए जितना हो सके देही-अभिमानी रहने का अभ्यास करो। देह-अभिमान में आने से ही आसुरी संस्कार बनते हैं। बाप आसुरी संस्कारों को दैवी संस्कार बनाने के लिए आये हैं, पुरूषार्थ करो पहले मैं देही आत्मा हूँ, पीछे यह शरीर है।



Mujh Aatma Ka Murli Manthan

Iss Knowledge (srimat) se devta bante ho, manushaya mat se toh devta nahi bante hai, aur hi rawan ban jate hai. Baba aaj hame kamai karne ka bata rahe hai. Wo loukik kamai hai jo ham loukik jevan me karte hai. Aur yaha ham sangam yug me pavitra banne ki kamai karte hai. Yeh abhinashi dhan hai jo hame waha swarg me 21 janko tak pura kaam aate hai aur pure kalp me hame koi chiz ki kami nahi hoti hai. Waha ka purusharth abhi ham kar rahe hai. Isliye Baba kah rahe hai, abhi kamai ka samay hai. Sone ka nahi hai. Isliye geet bhi baja tune raat gawai sokar. Hame aise samay nahi wyart jane dena hai. Sangam ka ek ek second kimti hai. Ek ek second ham waha ke law bana rahe hai. Praja bana rahe hai, apne bhakt bana rahe hai. Ham gayan aur pujan yogya ban rahe hai. Yeh sab kamai ham abhinashi gyan dhan se kar rahe hai. Yeh dhan hame baba khud hi dete hai, jab baba iss dharti par aate hai. Koi manushya toh de nahi sakta hai. Waha loukik kamai me toh limitation hoti hai, lekin yaha sangam yug me jitna kamai kar sakte ho utna kar sakte ho. Koi limitation nahi hai, jitna chaho utna kar sakte ho. Isliye subah murli ke through hi baba hamse baat karte hai aur abhinashi dhan se hamari jholi bharpur karte hai. Aur hame kya karna hai, dinbhar wo murli bhul jana hai? Nahi dinbhar wo gyan ka manan, chintan aur manthan karte rahna hai. Hame murli se kuch points nikal lene hai, aur dinbhar hame uss par manthan karna hai. Jaise cow ek baar kha leti hai, aur dinbhar jugali karti hai. 

Hame gyan lekar bhul nahi jana hai. Gyan hai  hi manan karne ke liye. Jitna manthan karege utna wo gahra hota jayega aur abhinashi hota jayega. wo gyan hamare sub-conscious mind me chala jayega aur phir wo sada hara bhara rahega. Kabhi bhulega nahi. B

Dehi abhimani practice kharab sanskar bhasam karne ke liye baba ne bataya hai. Baba aaj yaad par bal dete hue kahte hai, ki bacche yog nahi yad me rahna hai. Kya dinbhar yog me rahte ho? yog toh bhakti marg ka word hai. Jaise apne loukik bacche ya ma ko yaad karte hai, ek aashik apne masuk ko yaad karta hai. Toh yaad toh nirantar bani rahti hai. Usko yog toh nahi kahte. Baba kahte hai muj ashik ko bade pyar se yaad karo. Yaad se vikaram vinash honge. Yaad se hi kade se kade sanskar parivartan ho jayege. Kisi ke bahut kade sanskar hai, aur bahut salo se nahi chhut rahe hai toh wo sanskar bhi yaad se parivartan ho jayege. Baccho ko dehi abhimani stage ki practice karni hai. Aur dinbhar main aatma hu, iss sharir se alag hu, ka abhyas karna hai. Deh bhan me aakar koi pap nahi karna hai. Deh bhan hi kharan hai pap karne ka. Deh bhan me aate hai toh aasuri sanskar emerge ho jate hai aur phir pap kar baithte hai. Vikar me jana hi pap Hai. Patit karma hai. Patthar buddhi ho jate hai jab deh abhiman me jate hai.

tum ahinsak sena hai, rajya lete ho ahinsa se, baba aaj hame kah rahe hai, jab main aata hu toh tumeh gyan ratno se bharpur karta hu aur tum ban jate ho hinsak se double ahinsak. Double ahinsak matlab ek toh kam katari khatam aur dusra marna-pitna khatam. Toh ban gaye na double ahinsak. Kam katari chalana sabse badhi hinsa hai. kahte hai ham ahinsak hai, aur chalate hai kam katari. Yeh nahi jante ki kaam katari chalana bhi hinsa karna hi hai. Aaj toh baba kahte hai wyarth samay aur wyarth sankalp chalana hi apavitrata hai. Pavitrata ki badi suksham paribhasha hain. Bada attention rakhna hai. Maya ghadi ghadi aakar attack karti hai aur bacche uss samay maya ke vash ho jate hai. Baba ghadi ghadi aakar nali se, daldal se nikalta hai, aadha dur nikalta hai, bacche phir haat chhodkar gir jate hai. Baba toh sath ka hath de rahe hai, lekin bacche hi baba ka hath chhod dete hai.

2 types hinsa: kam katari, marna-pitna. Check karo, ham kitna hinsa karte hai. Kam katari chalana hinsa hai. Bahut sare jeevanu mar jate hai. Uske maarne ke nimit kaun bana? Isliye check karo, kya ham yeh pap kar rahe hai? Kade sanskar hai? Baba kahte hai isse dehi-abhimani sthithi se khatam kar sakte ho. Hamesha yeh mehnat karo, aapne ko aatma aabhyaas karo.

Main aatma hu
yugal atma hai
bhai aatma hai
bahan aatma hai
beti aatma hai
beta aatma hai
bahu aatma hai
niece aatma hai
ma aatma hai
papa aatma hai
sas aatma hai
sasur aatma hai etc

Sab parampita parmatma ki santan hai. Brahma baba ke santan hai, aur sabhi bhai-bahan hai. Bus yahi rista hai. Vinash samne khada hai, ab sabhi ko ghar jana hai.

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) एक बाप से अव्यभिचारी प्रीत रखते-रखते कर्मातीत अवस्था को पाना है। इस पुरानी देह और पुरानी दुनिया से बेहद का वैराग्य हो।

2) कोई भी कर्तव्य बाप के डायरेक्शन के विरूद्ध नहीं करना है। युद्ध के मैदान में कभी भी हार नहीं खानी है। डबल अहिंसक बनना है।

वरदान:-


अपनी रूहानी लाइटस द्वारा वायुमण्डल को परिवर्तन करने की सेवा करने वाले सहज सफलतामूर्त भव

स्लोगन:-


व्यर्थ बातों में समय और संकल्प गँवाना - यह भी अपवित्रता है।

Om Shanti
Thank You Baba
Mithe Baba, wah baba

Check out some contents which has been written in the remembrance of Shiv Baba:

https://medium.com/@mylifeinsuranceforelderly

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.