Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 07 May 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 07 May 2020


"मीठे बच्चे - श्रीमत ही तुमको श्रेष्ठ बनाने वाली है, इसलिए श्रीमत को भूलो मत, अपनी मत को छोड़ एक बाप की मत पर चलो”

Mujh Aatma Ka Murli Manthan

आत्मा बने हैं? 
कितना बाप को याद करते हैं? 
कितना हम स्वदर्शन चक्रधारी बनते हैं? 
कितना समय ईश्वरीय सर्विस में रहते हैं? 
कितने पाप कटते जा रहे हैं? 
अपना पोतामेल रोज़ देखो। कितना पुण्य किया, कितना योग में रहा? 

कितने को रास्ता बताया? 

Aise hi bahut sare question aaj baba ne pucha murli me aur check karne ke liye khate hai. Baba kahte hai mithe bacche srimat se hi tum pavitra banoge, sresth devi devta banoge, isliye issi ko follow karo. Ek Baap ki hi mat par chalo. Baap ki hi mat sresth mat hai. Isliye hemsha unko hi follow karo. Baap hamara sathi hai. Baba kahte hai himmte marda madad e baap. Himmat ka ek kadam toh badhao, baap 1000 bhujao sahit sath hai. Unka sath hamesha hai hi.

कख का चोर सो लख का चोर Ki Meaning

आज भगवान मुरली में कहते हैं कि मीठे बच्चे कहा जाता है - कख का चोर सो लख का चोर। पूछना चाहिए - हम कितना पुण्य आत्मा बने हैं? Aaj baba chori ke bare me bata rahe the. Yeh bhi kuch logo ke sanskar hote hai jo yagya se bhi chori karte hai. Isse bahut pap ka bhagi ban jate hai. Chori ke aise sanskar hote hai jisme insan ek sui bhi chori kare toh wo chori hi kahlata hai. Jo chor sui chori kar sakta hai wo bade se bada chori bhi kar sakta hai. Isliye yeh sanskar khatam karo. Aise sanskar mat banao. Bhagwan ke ghar se aisa karne ka khayal bhi na aaye nahi toh bahut bada hisab ban jayega. Toh apne se pucho, ham kitna pap karte hai dinbhar? Jab checking karege tabhi change kar payege.

Never think of stealing something from God’s home. That habit is very dirty. It is said: One who steals a straw can also steal one hundred thousand. Ask yourself: How charitable have I become?

पुण्य आत्मा बनने की युक्ति क्या है?

उत्तर:-


पुण्य आत्मा बनना है तो सच्ची दिल से, प्यार से एक बाप को याद करो। 2. कर्मेन्द्रियों से कोई भी विकर्म न करो। सबको रास्ता बताओ। अपनी दिल से पूछो - यह पुण्य हम कितना करते हैं? अपनी चेकिंग करो - ऐसा कोई कर्म न हो जिसकी 100 गुणा सजा खानी पड़े। तो चेकिंग करने से पुण्य आत्मा बन जायेंगे।

Aaj baba punya aatma banne ki yukti bata rahe hai. Baba kahte hai ki ek baap ko yaad karo sachhe dil se toh punya atma ban jayege. Ek baap dusra na koi. Yaad me rahoge toh koi vikaram bhi nahi hoga. Yaad matlab yaad. Mix yaad nahi. Mix yaad me koi vikaram vinash nahi honge. Matlab yaad baap ko karne baithe aur soch kuch aur rahe hai. waisi sthithi banani hai jisme kewal ek baap hi yad rahe. Tabhi punya aatma ban sakege. Sabko rasta batana hai mukti aur jeevan mukti ka. Checking karte rahna hai ki kya ham koi pap karam toh nahi karte hai. Checking karke turant change. Checking karege toh punya aatma ban jayege.

अब बाप सत्य बात सुनाते हैं। अब अपने अन्दर देखो - हम कहाँ तक श्रीमत पर चल सतोप्रधान अर्थात् पुण्य आत्मा बन रहे हैं? सतोप्रधान को पुण्य आत्मा, तमोप्रधान को पाप आत्मा कहा जाता है। विकार में जाना पाप है। बाप कहते हैं अब पवित्र बनो। मेरे बने हो तो मेरी श्रीमत पर चलना है। मुख्य बात है कोई पाप नहीं करो। नम्बरवन पाप है विकार में जाना।

Phir baba kahte hai ki apne ander dekho ham kitna satopradhan bane hai. Koi pap toh nahi karte hai. Sabse number one pap hai vikar me jakar patit banna. Kam vikar ke vash me hue, pap aatma bane. Phir punya aatma nahi kahege. Vikar me jana pap hai. Baba kahte hai pavitra bano. Mere bane ho toh pavitra bano. Koi pap mat karo. Number one pap hai vikar me jana. Baba phir batate hai ki baap jani jananhar nahi hai. Tum chori karoge ya vikar me jaoge toh 100 guna dand ke bhagi ban jaoge. Jaisa karoge waisa milega. Jitna karoge utna 100 guna badhakar milega. Kyoki yeh sangamyug hain. Yaha jo bhi karam kare chahe punya ya pap, dono me padamguna phal milta hai. 

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) बाप जो अविनाशी ज्ञान रत्नों का ख़ज़ाना देते हैं उसका कदर करना है। बेपरवाह बन पाप कर्म नहीं करने हैं। अगर निश्चय है भगवान हमको पढ़ाते हैं तो अपार खुशी में रहना है।

2) ईश्वर के घर में कभी चोरी आदि करने का ख्याल न आये। यह आदत बहुत गंदी है। कहा जाता कख का चोर सो लख का चोर। अपने अन्दर से पूछना है - हम कितना पुण्य आत्मा बने हैं?

वरदान:-


पुरूषार्थ और सेवा में विधिपूर्वक वृद्धि को प्राप्त करने वाले तीव्र पुरूषार्थी भव

स्लोगन:-


स्वच्छता और सत्यता में सम्पन्न बनना ही सच्ची पवित्रता है।

Om Shanti Baba
Pyare Baba
Mithe Baba
Wah Baba
Thank You Baba

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.