Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 15 May 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 15 May 2020

"मीठे बच्चे - तुम्हारा मुख अभी स्वर्ग की तरफ है, तुम नर्क से किनारा कर स्वर्ग की तरफ जा रहे हो, इसलिए बुद्धि का योग नर्क से निकाल दो”

प्रश्नः-

सबसे ऊंची और सूक्ष्म मंजिल कौन-सी है, उसे पार कौन कर सकते हैं?

उत्तर:-

तुम बच्चे स्वर्ग की तरफ मुँह करते, माया तुम्हारा मुँह नर्क की तरफ फेर देती है, अनेक तूफान लाती है, उन्हीं तूफानों को पार करना - यही है सूक्ष्म मंजिल। इस मंजिल को पार करने के लिए नष्टोमोहा बनना पड़े। निश्चय और हिम्मत के आधार पर इसे पार कर सकते हो। विकारियों के बीच में रहते निर्विकारी हंस बनना - यही है मेहनत।

Mujh Aatma Ka Murli Manthan

Baba kahte hain mithe bacche tumhara muh abhi swarg ki taraf  hai. Narak se apna dhyan hata do. Tum narak me pade the, tumeh aakar main tumhara muh swarg ki taraf kar deta hu. Lekin Maya aisa karne nahi deti hai. Kamjor baccho ko hi pakadti hai. Isliye nishchay aur himmar rakhkar nasthomoha bano toh swarg me bhi uncha pad payege.

Baba kahte hai bacche swarg ki tarf muh karte hai, aur maya ghadi ghadi narak taraf le jati hai, maya ke tufan aate hai aur bacche udd jate hai narak ki taraf par. Issi tufano ko paar karna hai. Yahi sukshm manjil hai, isse hi par karna hai. Lekin kaise? Baba ne kha ki bacche nishchay aur himmat se nashtomoha bane toh isse asani se par kar sakte hai.

Baba ne kha hai, vikariyon ke bich rahkar nirwikari hansh banna hai, yahi toh mehnat hai. Ghar grishth me rahte hue kamal phool saman banna hai.

Baba kahte hai, kaam mahashatru hai, yeh tumeh narak me dhakelta hai. Isse toh tumeh nafrat aani chahiye. Lekin bacche maya ke vash hokar issi se pyar kar baithte hai, baba se pyar kam ho jata hai. Baba ko bhul jate hai kya? Aisa kya ho jata hai ki ek brahmachari maya ke vash hokar vikar me chala jata hai. Vikar aacha lagta hai ki baba? Phir bolte hai baba kya kare ho gaya. Aree, bhakti marg me bhi tum kitna bhakti karte the, shudh pavitra rahte the, kitna pavitra tarike se mujhe bhog lagate the. Brahmacharya ka palan karte the. Ek aacha sadhak ki tarah mere naam ka maala jaap karte the. Abhi toh tumeh baba mila, swayang parampita parmatma se direct padh rahe ho. Ab kya hua?

Tum toh ek vishesh aatma ho, ager vishesh aatma nahi ho toh socho baba ne tumeh apna kyo banaya? vishestha dekhoge toh vishesh atma ban jaoge. Apne ko vishesh aatma samjhte ho na?

Baba aaj draupdi ke bare me bata rahe hai, draupdi ne pukara baba ko ki bachao. Baba kahte hai yeh sab kaam vash hi aatmaye vikaro me ja rahe hai. Yeh hai hi hell. Phir bhi log maanne ke liye tayar nahi, ki yeh narak hai. Isse toh tumeh nafrat aana chahiye.

Aaj baba phir bole ki roj raat ko apna chart dekho, ki kisi ko dukh toh nahi diya? Baba ne baat lagatar murli me kah rahe hai, aur baccho ka chart strong kar rahe hai. Apna chart daily likhte ho? Baba ko potamail dete ho?

Iss purani dunia ka antt hona hai, bus baba par puran rup se surrender ho jao. Yeh sharir bhi tumhara nahi. Tum aatma ho. Apne ko aatma samajh kar mujhe yaad karo. Mamekam yaad karo. Tumesh isska kitna nasha rahna chahiye. Tum narak se swarg me ja rahe ho. Lakshmi narayan lakshya hai tumhara. Tum devi-devta the, aur abhi phir se ban rahe ho. Kya tum khaini, gutkha, tambaku, sharab etc ka nasha karoge? Tum toh devi-devta ho.

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) इस पुरानी दुनिया का अन्त है, बाप डायरेक्ट आया है तो एकदम सरेन्डर हो जाना है, बाबा यह सब आपका है... इस युक्ति से पुण्यात्मा बन जायेंगे।

2) मुरली कभी भी मिस नहीं करना है, मुरली में लापरवाह नहीं रहना है। ऐसे नहीं, हमने नहीं पढ़ी तो क्या हुआ। हम तो पार हो गये हैं। नहीं। यह देह-अभिमान है। मुरली जरूर पढ़नी है।

वरदान:-

निश्चय के आधार पर विजयी रत्न बन सर्व के प्रति मास्टर सहारे दाता भव

May you be a master bestower of support for all by being a victorious jewel on the basis of faith.

स्लोगन:-

नि:स्वार्थ और निर्विकल्प स्थिति से सेवा करने वाले ही सफलता मूर्त हैं।

Only those who serve with their selflessness and stage that is free from any sins are embodiments of success.

Om Shanti
Wah Baba Wah
Wah Mithe Baba wah

Check out 

अति किसी भी वस्तु की हो, दुखदायी ही होती है।


No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.