Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 09-05-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 09-05-2020

"मीठे बच्चे - तुम आत्माओं का प्यार एक बाप से है, बाप ने तुम्हें आत्मा से प्यार करना सिखलाया है, शरीर से नहीं”

प्रश्नः-

किस पुरूषार्थ में ही माया विघ्न डालती है? मायाजीत बनने की युक्ति क्या है?

उत्तर:-

तुम पुरूषार्थ करते हो कि हम बाप को याद करके अपने पापों को भस्म करें। तो इस याद में ही माया का विघ्न पड़ता है। बाप उस्ताद तुम्हें मायाजीत बनने की युक्ति बताते हैं। तुम उस्ताद को पहचान कर याद करो तो खुशी भी रहेगी, पुरूषार्थ भी करते रहेंगे और सर्विस भी खूब करेंगे। माया-जीत भी बन जायेंगे।




Mujh Aatma ka Murli Manthan

Baba kahte hai mithe bacche, mere pyare bacche, sikiladhe bacche, baba apne baccho ko namaste pahle karte hai. Baba bahut pyar se apne baccho ki palna karte hai. Baba mera bada rahamdil hai, sabko raham karna hai. Koi pap aatma bhi hai toh usse bhi raham dil ban subh bhawna aur subh kamna dete jana hai.

Kam vikar - subh bhawna aur subh kamna
krodh vikar - shitla devi ban jana hai
Lobh vikar - santoshi mata ban jana hai
Moh vikar - shudh snehi ban jana hai aur rahadil 
Ahankar vikar - sabko baba ka baccha dekhna hai. Apne ko aatma samjhna hai, aur sabhi aatmao ko bhai bhai

Aaj Baba kahte hai, tum aatmao ka pyar ek baap se hai. Tum bacche ek baba se hi pyar rakhte ho. Baba aate hai tab ham aatmao ko sikhlate hai ki mithe bacche pyar ek aatma se karna hai sharir se nahi. Sharir se pyar karoge toh 5 vikaro ke gatar me girte chale jaoge. Aur dukh ashanti zindagi me aati jayegi. Isliye sabhi ko aatma dekhna hai, jyoti bindu dekhna hai, aur bindi swarup me rahna hai. Yahi aant samay ka purusharth hai. Ant samay me avyakt ke sath sath bindi ka abhyas karna hai. Main bindi, baap bindi aur drama bindi. Baba kahte hai isliye sabko bindi dekho. Sabhi bindi udkar ja rahe hai apne desh. Aur apne aaspas ke sabhi rishtedaro ko dekho wo bhi sath me bindi bankar ja rahe hai. Sabhi paramdham me apne baap se combined ho gaye hai. Waha main aatma paramdham me ek baap jo pavitrara, gyan, sukh, shanti, prem, anand, shakti ke sager hai unme main aatma samata ja raha hu. Samane ke shakti mujhe bhar gayi hai. Ant samay se pahle main aatma pura baap me samata ja raha hu. Sabhi aatmaye waha mere sath baithe hai bindi rup me. Wo mera apne ghar hai. Mujhe aab wahi jana hai. Main aaya tha waha se part play karne, aab yeh 84 ke chakra khatam hota hai, mujhe wahi jana hai. Main toh waha pahuch chuka hu, wahi baitha hu baap ke sath nirsankalp. Koi sankalp nahi, silence hi silence feel ho raha hai. Mera baba sab aatmao ko charge kar rahe hai. Sabhi aas pas ke sabhi rishtedar, society ke logo ko, pura shahar ke logo ko baba charge kar rahe hai. Baba ke bacche, satyug me part play karne aa rahe hai. Jaha pavitrata hi pavitrara hai. Sabhi pavitra devi devtaye waha part play kar rahe hai. Mujhe yaad aa raha hai. Maine 5000 saal pehle bhi part play kiya tha. Ab phir se kar raha hu.

Baba aaj question pooch rahe hai ki bache purushart karna chahte hai lekin kyo nahi kar pa rahe hai. Maya dushman , rawan, nali ka kida ke saman maya piche pad raha hai. Maya bhi kahti hai, ki main kya karu, aapke bacche hi mera aawahan karte hai. Mujhe jana padta hai.  Baba kahte hai main ustad tumeh yukti bata raha hu.

बाप उस्ताद तुम्हें मायाजीत बनने की युक्ति बताते हैं। तुम उस्ताद को पहचान कर याद करो तो खुशी भी रहेगी, पुरूषार्थ भी करते रहेंगे और सर्विस भी खूब करेंगे। माया-जीत भी बन जायेंगे।

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) श्रीमत पर चल बादशाही लेनी है। चावल मुट्ठी दे 21 जन्मों के लिए महल लेने हैं। भविष्य के लिए कमाई जमा करनी है।

2) गृहस्थ व्यवहार में रहते इस पुरानी दुनिया से ममत्व मिटाकर पूरा पावन बनना है। सब कुछ करते बुद्धि बाप की तरफ लगी रहे।

Aaj ki murli se yeh 2 dharna aaj ke aaj hi karna hai. Hame hamesha srimat par chalkar baba se badshahi le leni hai. Baba kahte kitna aacha aur bhola vyapari hai baba dekho, ek muthhi chawal ke badle pura 21 janam ki badshahi de deta hai. Abhi samgam yug kamai ka samay hai, isliye jama kar lo. Jama kaise karoge?

Baba ki yaad karte hai? - jama hota hai
Gyan sunte hai - Jama hota hai
Gyan manan, chintan, manthan karte hai - jama hota hai
Kisi ke liye subh sankalp karte hai - jama hota hai
kisi ko regard dete hai - jama hota hai
Kisi ko pyar, ruhani sneh dete hai - jama hota hai
kisi ko palna pyar se karte hai - jama hota hai
Nimit bankar karmayog - jama hota hai
Kisi ki help karte hai - jama hota hai
Murli ki points dharan karte hai - jama hota hai
Nihswarth sewa karte hai - jama hota hai

वरदान:-


हजार भुजा वाले ब्रह्मा बाप के साथ का निरन्तर अनुभव करने वाले सच्चे स्नेही भव

स्लोगन:-


अशरीरी स्थिति का अनुभव व अभ्यास ही नम्बर आगे आने का आधार है।

Om Shanti
Thank You Baba
Mithe Baba, Wah baba wah


Ek aatma bhai ne bheja

Wonderful morning to all...Devine Angels . always create pure positive thought to change the nature and the whole world .👍👍👍👍😃👌👌🤘👌🤘🥦Mere Baba mithe Baba pyara Baba...wah wah drama..wah wah sangamyug..wah wah tera sadagati karne ke lila..wah. wah wah Bhagban Shiv ka aap ham savi nureratan ko dil se koti koti badhai ho ..pranam ho...Mere Baba aap savi Hovanhar Dev deviyo dwara bahut jaldi pratyakhhsa honewala hai...kamal hai Mere Baba.. Baapdada...wah wah wah ka sada geet gate rahana hai..raat ka rahi thak mat jana subah ka manjil dur nahi hai..Sukh ka pahar ..bahut jaldi anewala hai...sada ishi mauj aur khushi me rahana hai...aur sabse khushi batna hai... Mahaveer ka yaadgar ishliye hai...👍👍👍👍👍🤘🤘🤘🤘🤘🤘🤘🤘🍍🍒👌👍

🌷 *आज का सुगन्धित पुष्प* 🌷
*09 मई 2020*

आप अशरीरी (शरीर से अलग आत्मा) स्थिति का अनुभव व अभ्यास करते हो।

आप नम्बरवन पुरुषार्थी हो। 😊

*ओम शान्ति* - *ब्रह्माकुमारीज़*

🌷 *FRAGRANT FLOWER FOR TODAY* 🌷 
*09 May 2020*

You practise and experience the bodiless stage (of being a soul distinct from the body).

You are a number one effort-maker! 😊

*Om Shanti* - *Brahma Kumaris*

Check out some contents which has been written in the remembrance of Baba

Stay Positive In A Negative Work Environment

True Friendship – Sachha Dost

GOD OF GODS FULL HINDI MOVIE @FILMS DIVISION OF BRAHMA KUMARIS



Brahma Kumaris Traffic Control App All Settings




1 comment:

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.