Brahma Kumaris 16-05-2020 Murli Manthan
"मीठे बच्चे - अभी ड्रामा का चक्र पूरा होता है, तुम्हें क्षीरखण्ड बनकर नई दुनिया में आना है, वहाँ सब क्षीरखण्ड हैं, यहाँ लूनपानी हैं”प्रश्नः-
तुम त्रिनेत्री बच्चे किस नॉलेज को जान कर त्रिकालदर्शी बन गये हो?
उत्तर:-
तुम्हें अभी सारे वर्ल्ड की हिस्ट्री-जॉग्राफी की नॉलेज मिली है, सतयुग से लेकर कलियुग अन्त तक की हिस्ट्री-जॉग्राफी तुम जानते हो। तुम्हें ज्ञान का तीसरा नेत्र मिला कि आत्मा एक शरीर छोड़ दूसरा लेती है। संस्कार आत्मा में हैं। अब बाप कहते हैं - बच्चे, नाम-रूप से न्यारा बनो। अपने को आत्मा अशरीरी समझो।
Mujh Aatma Ka Murli Manthan
Gyan
Aaj baba Kahte hai mithe bacche yeh drama ka chakra pura hota hai. Yeh jo 5000 sal ka chakra hai, yeh aab pura hota hai. Baba issi chakra ko firane bar bar kahte hai ki apne ko yaad karo, ki tum kya the aur abhi kya ban gaye ho. Aur aab baba mila toh kya ban rahe ho. Isliye aab baba aaye hue hai na, toh ek dum kshirkhand(milk and suger jaisa) raho, lunpani(milk and salt) nahi. Kisi se koi ladai jhagda nahi. Ekdum sabse pyar se raho. Taki tum kahi se bhi gujro toh log tumhare drishti se parmatma ka sachhkshatkar kare. Aur unke muh se nikale, koi devta hai devi hai. Tumse unko shanti aur sukh ki bhasna aaye. Yeh kab hoga jab pavitra rahege.
Phir baba kahte hai ki tum bacche trinetri, tumhare tisra buddhi rupi netra khul gaya hai. Tum trinetri ban gaye ho. Pehle kuch pap karte the, kaise lifestyle thi. Wahi sahi lagta tha. Usme kuch jyada nahi sochte the. Lagta tha yahi dunia hai. Ise zine ka yahi tarika hai. Lekin aab wo suksham pap bhi baba realize karwate hai. Apne tisre buddhi rupi netra se ham dekhte hai. Aur usse completely remove karne ka purushart karte hai. Baba kahte hai tum trinetri baccho ko baba trikaaldarshi bana dete hai. Tumeh apni 5000 saal ke kalap ki puri history, geography pata chal gaya hai.
नई दुनिया सो पुरानी, पुरानी सो नई दुनिया फिर बनेगी। इसको दुनिया का चक्र कहा जाता है जो फिरता रहता है।
Baba kahte hai, bhakti ka connection rawan ke sath hai, aur gyan ka connection ram ke sath hai. Aisa baba ne kyo kha. Dukh me sumiran sab kare, sukh me kare na koi. Aisa kyo kha jata hai. Kyoki, jab aatmaye dukhi hoti hai aur rawan(kam, krodh, lobh, moh, ahankar) ke zanjir me bandh jati hai, aur bhagwan ko pukarti hai. Iska matlab bhagwan nahi hai waha, isliye unko pukara ja raha hai ki aao aur aakar patit se pawan banao. vishay vikar mitao pap haro deva. Aisa aisa kahkar unko pukarte hai. Wo jab aate hai toh aatmao ko agyanta(andhkar) se nikal kar prakash(gyan) ki aur le jate hai. Aur is tarah yeh srishti parivartan hota hai.
वहाँ तो सारा विश्व एक के हाथ में रहता है। वह सिर्फ सतयुग-त्रेता में ही होता है। यह बेहद की हिस्ट्री-जॉग्राफी अभी तुम्हारी बुद्धि में है।
Yaha baba kah rahe hai ki bacche, abhi dekho pura viswa kitna bat chuka hai, har chote chote desh, prant me bate hue hai. Sab jagah ka rajya adhikari alag alag hai. Waha toh aisa nahi hota hai. Waha satyug+treta(1250+1250=2500) saal tak pura viswa ek ke hatho me rahta hai. Koi fhut nahi hota hai kisi me. Sabki mat ek jaisi hoti hai. Waha koi ladai jhagde ki baat nahi hai. Waha sab kshirkhand(milk suger) ke jaise rahte hai. Yaha dekho sabki mat alag alag hai. Mat alag hone ke karan har jagah ladai jhagda hota rahta hai. Ek ghar me bhi abhi toh bhai bhai ki mat nahi milti jisse jhagda hota rahta hai.
Hamlog ne suna tha ki iss dunia me sab bhagwan hi karate hai, sukh bhi wahi dete hai aur dukh bhi wahi dete hai. Bhagwan kahte hai ki aisa nahi hai, koi pap karta hai toh yeh kaam mera nahi hai dekhna. Wo jaisa karam karta hai waisa usko phal mil jata hai. Mera kaam bus iss srishti ko parivartan karne ka hai. Main bus kalyug ke ant me aakar iss srishti ko parivartan karta hu.
Kahte hai shankar dwara vinash. Baba kahte hai, kisi ko prerna dena ki isko maro, yah bhi pap hai. Agar shankar aisa kare, toh wo bhi phas pade.
Atma aur parmatma ka milan toh abhi sangamyug me hota hai. Yeh asli mela hai. Issi mele me yeh rawan rajya parivartan hokar ram rajya ho jata hai.
Geet bhi gaate hai na, aho prabhu teri lila aparampar hai. Kiski lila aur kaun si lila ki baat chal rahi hai. Yahi lila ki purani dunia(narak, tamopradhan) ko nayi dunia(swarg, heaven) banane ki lila.
Sanyas - Panch Vikaro ka
Vairagya - Sari Purani Dunia se
Baba kahte hai, jo bache bhagwan ke sathi hote hai, wo problem se kinara nahi karte hai balki uska saamna baap ki madad se karte hai. Himmat e bacche, madad e baap. Sabka sahyogi bante hai. Problem ka saamna karte hue behad ke vairagi hote hai.
Jab shiv aur shankar ek hi hai, toh kyo kahte hai shankar dwara vinash. Kya bhagwan vinash karate hai? Bhagwan kabhi dukh nahi dete hai. Yeh toh drama me nundh hai. Shankar ka toh koi role hi nahi hai. Shankar toh janam maran se nyara hai. isliye bhakti me dono ko mila diya hai.
Yog
Kai bacche murli toh padh lete hai, lekin baap ko yaad nahi karte hai. Yad nahi karege toh vikaram vinash kaise hoga. Yaad se hi toh janam janam ke pap katege. Yaad se hi jo purane sanskar sub conscious mind me bhare pade hai, wo nikal jayege. Aur naye sanskar bhar jayege. Jo sub conscious mind me hota hai wahi toh sapne me bhi dekhte hai. Mind still works in sleep. Lekin kabhi kabhi aap dekhte hai ki gahri nind hoti hai toh koi sapne bhi nahi aate. Hai Wo kaun si stage hai nind ki. Wahi nind honi chahiye, ekdum uthne ke baad relaxed.
Baba kahte hai mujhe yad karte raho toh unch pad payege. Tumahare sare pap bhasam ho jayege. Tum unch pad paoge.
Phir baba aaj yaad ki points batate hai, ki mount abu me aaye ho toh 2 baje uth kar yaad me baith jao. Yaha toh koi kam nahi hai. Jaldi so jao aur jaldi uth jao. Centre me toh 2 baje ja nahi paoge. Yaha yeh aabhyas karo. Swayang baap dada aa jayege tumeh yog karane. Yaha tumeh yeh feeling aayegi. Bacche ghar me alash aur alvelapan me aakar subah uthte nahi hai, isliye baba kahte hai ki yaha madhuvan me tumeh extra madad milegi. Madhuvan me jakar bhi sote rahoge kya. Himmat toh badhao baap ki puri madad milegi.
Dharna
1) अभी सृष्टि बदलने की लीला चल रही है इसलिए स्वयं को बदलना है। क्षीरखण्ड होकर रहना है।
2) सवेरे उठकर एक बाप की याद में बैठना है, उस समय और कोई भी याद न आये। पुरानी दुनिया से बेहद का वैरागी बन 5 विकारों का सन्यास करना है।
Naam rup se nyara bano, apne ko ashariri samjho. Deh ko nahi dekho. Sabko aatma dekho. Yahi abhyas bhi chal raha hai.
Swadarshan chakra firate raho toh chakravarti raja ban jayege. Tumeh kitna khusi ho dekho tum pura history geography jan gaye. Abhi tumko satopradhan banna hai. Yeh khayal rakhna hai. Yaad se vikaram vinash honge aur satopradhan ban jayege. Sato banoge ya satopradhan? Sato Banoge, hamesha ladte rahoge apne purane sanskaro se toh treta me kshatriya ban jaoge. Sada ekras, ab ladai nahi. Jo purane sanskar de diya baba ko wo wapas nahi lena hai. Abhi bhi jo purane patit gande sanskar hai wo sab baba ko arpit kar do. Yeh sab baba aapka, Agar wapas aaye toh phir kar do ki dekhiye baba yeh aapko diye the na, wapas aa raha hai. Isko thik se pakadiye.
हर कर्म करते हुए, सामना करते हुए, सहयोगी बनते हुए बेहद की वैराग्य वृत्ति में रहते हैं।
Ek baap ki company me raho, aur kahi nahi. Aur baap ko companion banao.
Sewa
हमेशा किसको भी समझाओ तो पहले स्थापना, विनाश फिर पालना कहना है। जब स्थापना पूरी होती है तब फिर विनाश शुरू होता है, फिर पालना होगी।
वरदान:-
किनारा करने के बजाए हर पल बाप का सहारा अनुभव करने वाले निश्चय बुद्धि विजयी भव
स्लोगन:-
एक बाप की कम्पन्नी में रहो और बाप को ही अपना कम्पैनियन बनाओ।
Om Shanti
Wah Baba wah
Mithe baba pyare baba
Thank You baba
Thank You my loukik, aloukik parivar(brahman pariwar)
Thank You India
Thank You all people who has helped me in all birth
Extremely sorry to all (in all birth)
I Forgive to all( in all birth)
Check out these godly contents
Brahmacharya Benefits - Purity
Is celibacy important in spirituality? What do all religions say about this?
Achieving Happiness Through Rajyoga Meditation
No comments:
Post a Comment