Amazon

Brahma Kumaris Avyakt Murli 15-01-86 Revised 24-05-20

Brahma Kumaris Avyakt Murli 15-01-86 Revised 24-05-20

सस्ता सौदा और बचत का बजट

Aaj Baba Murli me bole mithe bacche kitna bada souda hain. Aaj baba souda ke bare me bol rahe hai. Kaun sa sauda baap se kiya hain. Ham baccho se baba pooch rahe hai, tum bacche bhole bhandari baap ki santan bhole. Tum bache baap se kitna aacha souda karte ho. Baap ko apne 5 vikar rupi kichda de dete ho aur badle me 21 janko ki swarg ki badshahi le lete ho. Yaha tak ki abhi ka itna aacha bhagya banate ho ki dwapar me bhakti ke samay bhi tum baccho ko koi chiz ki kami nahi hoti. Kalyug me ant me bhi bharpur rahte ho. Iss dunia me kitni vibhinnta dekhne me aati hain. Ek taraf se wo bhikari(beggers) aur dusri taraf wo sahukar. Numberwar log yaha rahte hai. Kya karan hai? Jab devi devta jaise bachche hote hai toh kahte hai jarur koi aacha karam kiya hai. Jab kharab sanskar wale bacche hote hai toh bolte hai koi kharab karam kiya hoga. 

Baba kehte hai tum bacche abhi apna bhagya bharpur karte ho. Abhi kamai ka samay hai. Jitna kamaye aur bachayege wo waha pure kalp me milega. Ham hamesha bharpur rahege. kitna aacha souda hai, souda 1 janam aur 21 janam sukhi ho jate hai.

Toh baba puchte hai, souda karne me kitna samay lagta hai. 1 second ki baat hai. 1 second se jyada toh nahi lagta hai.

दिल से माना मेरा बाबा। इस एक बोल से इतना बड़ा अनगिनत खजाने का सौदा कर लेते हो। सस्ता सौदा है ना। न मेहनत है, न मंहगा है। न समय देना पड़ता है।  

Toh check karo, kitna kamai karte hai, kharcha kitna hota hai aur jama kitna hota hai. Dinbhar maya hamse vibhinn tariko se kharcha karwati hain.

Sankalp ka kharcha, bol ka kharcha, karam ka kharcha, samay ka kharcha. Agar thoda bhi sadharan sankalp hai toh samjho kharcha ho raha hai. Inn shaktiyon ki jitna karya me lagayege utna shakti badhegi. Attention rupi guard kam karta rahe. Attention toh kabhi duty se hataye nahi. 

Phir baba ne kha jaise loukik dunia me vip ki list banate ho. Waise hi baba vvip baccho ki list banate hai. 
परमात्म डायरेक्टरी के विशेष वी.आई.पी. हम हैं इसलिए ही गायन है भोलों का भगवान।
आज की दुनिया में धन भी है और भय भी हैं। जितना धन उतना भय में ही खाते, भय में ही सोते। और आप बेफिकर बादशाह बन जाते। निर्भय बन जाते हो। भय का भी भूत कहा जाता है। आप उस भूत से भी छूट जाते हो। छूट गये हो ना? कोई भय है? जहाँ मेरापन होगा वहाँ भय जरूर होगा। "मेरा बाबा”। सिर्फ एक ही शिवबाबा है जो निर्भय बनाता है। 

ईश्वरीय बजट ऐसा बनाओ जो विश्व की हर आत्मा कुछ न कुछ प्राप्त करके ही आपके गुण गान करे। सभी को कुछ न कुछ देना ही है। चाहे मुक्ति दो, चाहे जीवनमुक्ति दो। मनुष्य आत्मायें तो क्या प्रकृति को भी पावन बनाने की सेवा कर रहे हो। ईश्वरीय बजट अर्थात् सर्व आत्मायें प्रकृति सहित सुखी वा शान्त बन जावें।

गुप्त पुरुषार्थ और चीज है लेकिन उमंग-उत्साह छिप नहीं सकता है। चेहरे पर सदा उमंग-उत्साह की झलक स्वत: दिखाई देगी। बोले न बोले लेकिन चेहरा ही बोलेगा, झलक बोलेगी। ऐसे सेवाधारी हो?

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.