Amazon

Brahma Kumaris Avyakt Murli Manthan 13-01-86 Revised 17 May 2020

Brahma Kumaris Avyakt Murli Manthan 13-01-86 Revised 17 May 2020

ब्राह्मण जीवन - सदा बेहद की खुशियों का जीवन

Aaj Baba kahte hai mithe bacche, tum visesh atma ho, tum khushnasib aatma ho, hamesha khush rahne wale. Brahman aatma mana hi hamesha khush rahne wale. Kabhi khushi gayab nahi ho sakti. Khushi gayab hoti hai iska matlab abhi bhi nishchay me kami hai. 

Choti choti sthul chizo me toh khushi nahi dhudhte ho. Wo Khushi hi kam samay ki hoti hai. Hamesha khushi nahi ho sakti. Khushi toh avinashi hai brahmano ki. Brahman mana jiska mann hamesha brahm me rahta ho. Jiska man hamesha brahm me hoga unki chahre ki khushi kaise gayab ho sakti hai. Khushi jaisi khurak nahi. Hamesha dilkhushi mithao khao aur khilate raho. Aaj baba makar sankranti ki badhai bhi de rahe the vidai ke samay. Baba kahte mithe bacche til ka mithai banate hai, kewal til ka laddu banate toh kadwa lagta hai, isliye usme mitha milate hai. Toh tum bhi hamesha vyarth ko samet kar til ke jaisa aur usme prabhu pyar aur sneh mila kar khub mithai khao aur dusro ko bhi khilao. Brahman matlab hamesha khush rahne wale aur dusro ko khusi dene wale. Brahman aatmao ka chahra koi dekhe toh unhe direct bhagwan ka sakshatkar ho. Hamesha khusi. Hamesha khilta hua chehra, yeh bhi bahut badi sewa hai. Jisse ham brahmano ko dua kamane milta hai. Jaisi anu didi se jab pehli baar mile, didi bade pyar se khush hokar boli - om shantiiiiiiii. Mujhe wo chehra hamesha yaad rahta hai. Mujh aatma ne yeh gunn grahan kar liya aur dusri aatmao se bhi issi tarah se om shanti bolta hu. Aur log bhi bahut khush hote hai. Ek aatma ne kah diya, ki aap kitna pyar se kahte hai kha se aata hai ye. Aapse milkar ham khush ho jate hai. Uss din baba pratyaksh ho gaya. Kyoki wo aatma ko sandesh toh mila lekin anubhaw nahi tha. Baba ne yeh karke dikhaya jab sakar me the. Mujhe 100% baap saman banna hi hai. Main nahi toh kaun banega? Main vishesh aatma hu. Meri soch, bol, drishti, karam sab baap saman. Ek ek sankalp baap saman.

Gyan

अगर खुशी नहीं तो अवश्य कोई अपवित्रता अर्थात् संकल्प वा कर्म यथार्थ नहीं है तब खुशी नहीं है। अपवित्रता सिर्फ 5 विकारों को नहीं कहा जाता। लेकिन सम्पूर्ण आत्माओं के लिए, देवात्मा बनने वालों के लिए अयथार्थ, व्यर्थ, साधारण संकल्प, बोल वा कर्म भी सम्पूर्ण पवित्रता नही कहा जायेगा।

Baba aaj kah rahe hai ki bacche khusi gayab toh kahi na kahi koi apavitratra hai. Apavitrata kewal 5 vikar nahi balki koi bhi tarah ka agyanta, wyarth sankalp, kisi tarah ka sadharan sankalp bol, karam yeh sab apavitrata hain. Isliye check karo, pavitra rahte hai ki apavitra. Bhakti ki pavitrata aur gyan ki pavitrata me anter hain. Yaha se yeh aspast hota hai. Gyan me pavitrata ki kitni sukshm paribhasa hain.

Baba ne kha ki pehle apni swa sthithi aur behad ki khushi dekho, kitni bhi badi sewa ho agar usse sthithi par asar pade, aisa nahi karna.

Yog

Dharna

व्यर्थ और साधारण कर्म न हों इसमें भी चेकिंग और चेन्ज चाहिए। जितना समर्थ और श्रेष्ठ संकल्प, बोल और कर्म होगा, उतना सदा खुशी की झलक, खुशनसीबी की फलक अनुभव होगी और अनुभव करायेगी। 

सभी ब्राह्मण बच्चों का ब्राह्मण जीवन धारण करने का लक्ष्य ही है सदा खुश रहना।

कुछ भी हो जाए- हद की प्राप्ति का त्याग भी करना पड़े, कई बातों को छोड़ना भी पड़े, बातों को छोड़ो लेकिन खुशी को नहीं छोड़ो। जिसके लिए आये हो उस लक्ष्य से किनारे न हो जाओ।   

Sewa

कोई भी कर्म करो, चाहे कितनी भी बड़ी सेवा का काम हो लेकिन जो सेवा आन्तरिक खुशी, रूहानी मौज, बेहद की प्राप्ति से नीचे ले आती है अर्थात् हद में ले आती है, आज मौज कल मूंझ, आज खुशी कल व्यर्थ उलझन में डालती है, खुशी से वंचित कर देती है, ऐसी सेवा को छोड़ दो लेकिन खुशी को नहीं छोड़ो। सच्ची सेवा सदा बेहद की स्थिति का, बेहद की खुशी का अनुभव कराती है। अगर ऐसी अनुभूति नहीं है तो वह मिक्स सेवा है। सच्ची सेवा नहीं है। यह लक्ष्य सदैव रखो कि सेवा द्वारा स्वउन्नति, स्व प्राप्ति, सन्तुष्टता और महानता की अनुभूति हुई? जहाँ सन्तुष्टता की महानता होगी वहाँ अविनाशी प्राप्ति की अनुभूति होगी। सेवा अर्थात् फूलों के बगीचे को हरा-भरा करना। सेवा अर्थात् फूलों के बगीचे का अनुभव करना न कि कांटों के जंगल में फंसना।

अपने हर्षितमुख चेहरे से सर्व प्राप्तियों की अनुभूति कराना - सच्ची सेवा है।

वरदान:-

सदा भगवान और भाग्य की स्मृति में रहने वाले सर्वश्रेष्ठ भाग्यवान भव

स्लोगन:-

अपने हर्षितमुख चेहरे से सर्व प्राप्तियों की अनुभूति कराना - सच्ची सेवा है।

International Yog Day Brahma Kumaris 17 May 2020 Third Sunday


सूचनाः- आज अन्तर्राष्ट्रीय योग दिवस तीसरा रविवार है, सायं 6.30 से 7.30 बजे तक सभी भाई बहिनें संगठित रूप में एकत्रित हो प्रभु प्यार में समाने का अनुभव करें। सदा इसी स्वमान में बैठें कि मैं आत्मा सर्व प्राप्तियों से सम्पन्न सर्वश्रेष्ठ भाग्यवान आत्मा हूँ। प्यार के सागर बाप के प्यार की किरणें निकलकर मुझ आत्मा में समाती जा रही हैं। वही प्यार के वायब्रेशन चारों ओर वातावरण में फैल रहे हैं।

Om Shanti
Thank You Baba, Mithe Baba

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.