Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 27-07-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 27-07-2020

"मीठे बच्चे - अपने ऊपर आपेही रहम करो, बाप जो श्रीमत देते हैं उस पर चलते रहो, बाप की श्रीमत है - बच्चे, टाइम वेस्ट न करो, सुल्टा कार्य करो''

Aaj Mithe Mere pyare baba, gyan ke sager, pavitrata ke sager, ruhani baba, shiv baba, parampita parmatma, pran pyare baba, jyotibindu, nirakar, nirhankari ham baccho se kahte hain mithe bacche apne upper hi raham karna hain. Baccho kahi phas jate hain toh baba se kahte hain, bhakti ke sanskar anusar, baba mujhe iss taklif se bachao. Baba se raham mangte hain. Baba uska jawab dete hain ki mithe baccho, tumeh apne uper aap hi raham karna hain. Main raham nahi deta hu. Main toh srimat deta hun, jispar chalkar tum pavitra bante hai. Isliye hame hamesha srimat ka palan karna chahiye. Srimat ka palan karte karte maya ke vash ho jate hain. Maya ko balshali bana dete hain. Maya badi hai baap. Iska pura nishchay aur nasha hona chahiye na. Isliye baba kahte hai, mann aur buddhi ko pavitra banao, hamesha isse busy rakho. Aur attention rupi guard ka pahra laga do. Har pal attention. Isme koi badi baat nahi hain. Koi mehnat nahi. Bus ek second ki baat hain. Second ki baji hain. Second me sanskaro ko parivartan karne wale kalp kalp ke vijay aur takdirwan ham bacche hain. Baba vardan dete hain bacche takdirwan bhaw. 

Hame check karna hai, hamari mann aur buddhi kha busy rahti hain, baba kahte hain mann aur buddhi apne purane sanskaro me, vyarth sankalpo par aur karam bandhano me busy rahta hain. Baba kahte mann buddhi ko mere me lagao. Manmanabhaw, madhyajeebhaw. Deh sahit deh ke sabhi samandho, dharmo ko bhul apne ko aatma samjh baap ko yaad karo toh janam janam ke pap bhasam ho jayege.

Baba jab aate hain toh hamari buddhi ka tala khol dete hain. Pehle ki buddhi aur aaj ki mann buddhi me bahut fark pad gaya hain. Ham bacche bahut bhagyawan hai ki baba hame mile aur hame patit se pawan bana rahe hain. Dusre toh yeh baat ko samjh nahi pa rahe hain. Hame bache isliye bhut bhagyashali hain. Main chiz hain kaam mahashatru hain, kam jite jagatjeet. Kam par vijay pana hi hain baccho ko. Pavitra bano yogi bano ka vardan baba pehle din se hi de dete hain. Jaha vardan hain, waha mehnat nahi lagta hain. Bahut aasani se ham bacche iss par vijay pa lete hain. Hame sada attention rakhna hain, aur manan aur sahan karna hain. Jab bhi iska attack ho toh hame baba ki yaad se iss khad ko khatam karna hain. Lekin karege tabhi jab attention hoga. Isliye baba kahte hain kaam kahashatru hain aur sabse bada vikar hain. Ek aatma sharab pine lagi, usse bhi jyada bhayankar vikar hain kam vikar. Baba kahte hain apne ko aatma samjh mujhe yaad karo toh tumhare sare vikar/pap khatam ho jayege. Phir baba kahte hain, jab baba ke bacche pavitra bante hain toh iss dunia me vighan bahut aate hain, ma baap jabardasti shadi karwana chahte hain. Cunki unko yeh itna uncha gyan ki samjh nahi hai isliye wo aisa behave kar rahe hote hain. Baba kahte hain charity begins at home. Ghar walo ko samjhao aur bahut pyar se samjhao. Ghar me bahut hi aacha aur positive vibration banao. Apne ghar walo ka bhi uddhar karo. Sare dunia ko badalne ke nimit ban rahe ho toh ghar walo ka udhar nahi karoge.

प्रश्नः-

जो तकदीरवान बच्चे हैं, उनकी मुख्य धारणा कौन-सी होगी?

उत्तर:-

तकदीरवान बच्चे सवेरे-सवेरे उठकर बाप को बहुत प्यार से याद करेंगे। बाबा से मीठी-मीठी बातें करेंगे। कभी भी अपने ऊपर बेरहमी नहीं करेंगे। वह पास विद ऑनर होने का पुरूषार्थ कर स्वयं को राजाई के लायक बनायेंगे।

कभी भी अपने ऊपर बेरहमी नहीं करेंगे। Takdirwan baccho ki nishani kabhi bhi apne upper berahmi nahi karege. Apen upper berahmi karna mana kya, jab ham baba ke bacche, pavitrata ke sager ke bacche master pavitrata ka sager jab baba ke diye hue srimat ka palan nahi karte, maya ke vash hokar, attention khokar srimat ka ullanghan karte hain. Yeh hua apne upper berahmi karna. Baba hame dukh nahi dete hain, ham bacche jab srimat par nahi chalte hain toh ham apne takdir khud kho dete hain. Baba kahte hain main toh srimat deta hu, tum baccho ko padhata hu. Raham nahi karta hu. Isliye sada attention rakhe aur baba ke srimat par sada chalta hain. Pran chala jaye lekin vachan nahi jaye. 

Geet hain na, jai kali kalkatte wali, tera vachan na jaye khali. Matlab, ham sab durga hai, kali hain, mahavir hain, ganesh hai, shankar hain, ham jo vachan baba se karte hain ki baba aapne aaye aur hame chune, ham pavitra jarur banege baba. Yeh hamara vachan hai aapko. Aur jab yeh vachan tut jata hain toh kali jee ke jeebh bahan aa jate hain. 

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) बाप की याद के साथ-साथ आप समान बनाने की सेवा भी करनी है। चैरिटी बिगन्स एट होम.... सबको प्यार से समझाना है।

2) इस पुरानी दुनिया से बेहद का वैरागी बनना है। हियर नो ईविल, सी नो ईविल.....। उस बेहद बाप के बच्चे हैं, वह हमें कारून का खजाना देते हैं, इसी खुशी में रहना है।

वरदान:-

एक सेकण्ड की बाजी से सारे कल्प की तकदीर बनाने वाले श्रेष्ठ तकदीरवान भव


इस संगम के समय को वरदान मिला है जो चाहे, जैसा चाहे, जितना चाहे उतना भाग्य बना सकते हैं क्योंकि भाग्य विधाता बाप ने तकदीर बनाने की चाबी बच्चों के हाथ में दी है। लास्ट वाला भी फास्ट जाकर फर्स्ट आ सकता है। सिर्फ सेवाओं के विस्तार में स्वयं की स्थिति सेकण्ड में सार स्वरूप बनाने का अभ्यास करो। अभी-अभी डायरेक्शन मिले एक सेकण्ड में मास्टर बीज हो जाओ तो टाइम न लगे। इस एक सेकण्ड की बाजी से सारे कल्प की तकदीर बना सकते हैं।

स्लोगन:-

डबल सेवा द्वारा पावरफुल वायुमण्डल बनाओ तो प्रकृति दासी बन जायेगी।

Thank You baba
Mitha Baba
Mera Baba

राजयोग मैडिटेशन कोर्स ऑनलाइन - ब्रह्माकुमारीज
Check out the videos in this playlist

Rajyoga Meditation Course Online - Brahmakumaris

Check out these resources:

Mental Health: Facebook, Instagram, Tiktok, Youtube, PUBG Addiction

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.