Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 14 July 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 14 July 2020

"मीठे बच्चे - इस शरीर की वैल्यु तब है जब इसमें आत्मा प्रवेश करे, लेकिन सजावट शरीर की होती, आत्मा की नहीं''

Bhagwan kahte hain mithe bacche, iss sharir ki value tab hain jab isme aatma pravesh kare, lekin sajawat iss sharir ki hain aatma ki nahi hai. Yeh sharir ka kya value hain, jab issme aatma nahi hain. Kya hoga jab aatma nikal jayegi. Yeh sharir toh vinashi hain.

प्रश्नः-

तुम बच्चों का फ़र्ज क्या है? तुम्हें कौन-सी सेवा करनी है?

उत्तर:-

तुम्हारा फ़र्ज है - अपने हमजिन्स को नर से नारायण, नारी से लक्ष्मी बनने की युक्ति बताना। तुम्हें अब भारत की सच्ची रूहानी सेवा करनी है। तुम्हें ज्ञान का तीसरा नेत्र मिला है तो तुम्हारी बुद्धि और चलन बड़ी रिफाइन होनी चाहिए। किसी में मोह ज़रा भी न हो।

Baba puchte hain bacche tum baccho ko baap mila hain, tumeh padha rahe hain aur nar se narayan bana rahe hain, tum baccho ka kya farj hain aur tumeh kya karna hain? Uttar dete hue baba kahte hain bacche tumahara farj hain ki tumeh bhi apne hamzins(show your equals) ko rah batana hain jo rah baba ne hame bataya. Baba ne hame bataya ki ham nar se narayan aur nari se lakshmi kaise bane. Ab jab hame malum chal gaya hain toh hamara kya farj banta hain. Hame khud ko baap dada ko follow kar, baap saman banna hain aur dusro ko aap saman banana hain. Guno ko dharan karan guno ka daan karna hain. Jaisa karege usko dekh dusre bhi wahi karege. Yeh yaad rakhe Ham.

गीत:-

नयन हीन को राह दिखाओ..........

Aaj baba geet bajaye ki mujh nayanhin ko rah dikhao prabhu. Baba jab aate hain toh ham bacche jo bhatak gaye the, baba aakar hame rasta batate hain. Aur hamari buddhi me jo lock lag gaya tha, uski buddhi ka tala khol dete hain aur hame gyan rupi netra dete hain. Aur ham aab sharir ke piche bhagna band kar dete hain. Ham deh abhiman se dehi abhimani ban jate hain. Apne ko aatma samjh kar ek shiv baba ko yaad karte hain. Aur patit se pawan bante jate hain. Toh aaj dinbhar me kai baar yeh checking karni hai ki kya ham sharir ke piche bhag rahe hain. Hame dehi abhimani banna hain. Checking, har ghante... kya ham dehi abhimani bane?

प्रश्न:-तो अब तुम बच्चों को कितना नारायणी नशा चढ़ना चाहिए। यह है ... ... ...... का नशा?

उत्तर:-विश्व के मालिकपने का नशा। सत्य नारायण की कथा है तो जरूर नारायण ही बनेंगे। आत्मा को ज्ञान का तीसरा नेत्र मिलता है। देने वाला है बाप। 

Ham baccho ko aaj baba pura nasha chadha rahe hain ki tum baccho ko kaun mila hain? tum baccho ko baba kya se kya bana rahe hain? Hame baba aakar nar se sri narayan bana rahe hain. toh hame yeh narayani nasha hona chahiye na. Yeh amar katha sunkar ham amar ban rahe hain, amar matlab sada nirogi. Aur yeh sacha sacha satyanarayan katha sunkar ham nar se sri narayan ban rahe hain.

प्रभु वा ईश्वर कहने से वह बाप का  लव नहीं आता l बाप से तो बच्चों को वरसा मिलता है l

Baba kahte hain mithe bacche tum bacche toh aab prabhu, ishwar ya parampita toh kah nahi sakte, tum toh shiv baba kahte ho, tum baccho ko aab pata chal gaya hain, ki tum kaun ho, tum kiske bacche ho, bhagwan kaun hain, bhagwan se hamara kya sambandh hain, bhagwan kha rahte hain, bhagwan kab aate hain, bhagwan ka kya kartavya hain, bhagwan aakar kya karte hain, bhagwan bhagya kaise banate hain etc. Tum baccho ki buddhi me gyan ekdum clear hain. Isliye prabhu ya ishwar kahne se baap ke prati wo love nahi aata hain. Baap se toh baccho ko varsha milta hain.

जिन बच्चों को ज्ञान का तीसरा नेत्र मिला है उनकी बुद्धि और चलन आदि बड़ी रिफाइन होती है।

Baba kahte hain jin baccho ko gyan ka tisra netra mila hai, usko kya pahchan hogi, uski buddhi aur chalan badi refine hoti hain. Chal-Chalan badi royal hoti hain. Buddhi kabhi bhi halchal main nahi aati hain. Buddhi se pavitra bante hain. Ekdum man-buddhi ekagra hoti jati hain.

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) अभी हम बाप द्वारा बर्थ पाउण्ड बने हैं, हम सो देवता बनने वाले हैं, इसी नारायणी नशे में रहना है, बन्धन-मुक्त बन सेवा करनी है। बन्धनों में फंसना नहीं है।

2) ज्ञान-योग में तीखे बन मात-पिता समान किंग आफ फ्लावर बनना है और अपने हमजिन्स की भी सेवा करनी है।

वरदान:-

क्यों, क्या के क्वेश्चन की जाल से सदा मुक्त रहने वाले विश्व सेवाधारी चक्रवर्ती भव

जब स्वदर्शन चक्र राइट तरफ चलने के बजाए रांग तरफ चल जाता है तब मायाजीत बनने के बजाए पर के दर्शन के उलझन के चक्र में आ जाते हो जिससे क्यों और क्या के क्वेश्चन की जाल बन जाती है जो स्वयं ही रचते और फिर स्वयं ही फंस जाते इसलिए नॉलेजफुल बन स्वदर्शन चक्र फिराते रहो तो क्यों क्या के क्वेश्चन की जाल से मुक्त हो योगयुक्त, जीवनमुक्त, चक्रवर्ती बन बाप के साथ विश्व कल्याण की सेवा में चक्र लगाते रहेंगे। विश्व सेवाधारी चक्रवर्ती राजा बन जायेंगे।

स्लोगन:-

प्लेन बुद्धि से प्लैन को प्रैक्टिकल में लाओ तो सफलता समाई हुई है।

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.