Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 02 July 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 02 July 2020
आज भगवान मुरली सुनाये कि मीठे बच्चेबुद्धि का ताला उनका खुलेगा जो श्रीमत पर चलने लग पड़ेंगे और पतित-पावन बाप को याद करेंगे।


"मीठे बच्चे - तुम्हें अभी भविष्य 21 जन्मों के लिए यहाँ ही पढ़ाई पढ़नी है, कांटे से खुशबूदार फूल बनना है, दैवीगुण धारण करने और कराने हैं''

Baba ne kha mithe bacche, tumeh swayang baap aaye hai padhane aur padha karke tumeh bahut hi uncha post dene. jo Swarg ke maharaja aur maharani ka. swarg me 21 janmo tak sukh hi sukh. Lekin uske liye padhai abhi padhni hain. Tab yeh uncha post milega. Padhai padhni hai aur pavitra banna hai aur banana hain. Yugal sath me rahti hain toh baba kahte hain mithe bacche tum ek parampita parmatma ki santan ho, sab aatmaye ho. Aatma aatma bhai bhai ho. Bhai samjho. Sharir ko mat dekho. Sharir toh haddi mansh ka putla hain. Dekho apne sharir ko lash bankar jalte hue. Vairagya aa gayega. Yeh sharir hame yeh nature 5 tatwo ne di hain. Aur isse hame wapas karna hai. 

Yeh hamara hai hi nahi. Ham toh nature se loan lete hain. Yeh aatma abhinashi hai yeh nahi marti hain. Toh baba aate hai inn aatmao ko padhane. Paramdham me toh sharir nahi hota, waha kewal aatma nirsankalp hoti hain. Waha aatmao ka pita hote hain jo khud bhi nirakar, bina sharir ke. Isliye hame padhai dwara kante se phool banna hai aur deviguno ki dharna karni hain aur devta ke post ko pana hain. 

Bina devi guno ki dharana ke kaise aap devta devi banoge. Yeh toh karna hi hoga. Ghar grishth me rahte hain toh kya, Brahma Baba bhi toh shadishuda the. Unhone kaise apne life ko pavitra banana aur dusro ko bhi pavitra bana diye. Dekhiye aaj pure world me brahma kumaris 1 million se jyada hai jo pavitra ban rahe hain. Itna prabhaw Brahma baba kam, jinke tan me aakar shiv baba sabhi aatmao ko patit se pawan banate hain. 

प्रश्नः-

किन बच्चों की बुद्धि का ताला नम्बरवार खुलता जाता है?

उत्तर:-

जो श्रीमत पर चलते रहते हैं। पतित-पावन बाप की याद में रहते हैं। पढ़ाई पढ़ाने वाले के साथ जिनका योग है उनकी बुद्धि का ताला खुलता जाता है। बाबा कहते - बच्चे, अभ्यास करो हम आत्मा भाई-भाई हैं, हम बाप से सुनते हैं। देही-अभिमानी हो सुनो और सुनाओ तो ताला खुलता जायेगा।

Baba kahte hain ki tumhari buddhi ka tala apneaap hi khulta chala jata hain jab tum gyan daily sunte hain aur baba ko pyar se yaad karte ho. Tum jab srimat ko follow karna start karte ho, toh tumhare buddhi ka tala numberwise khulta chala jata hain. Buddhi pavitra banti jati hain, aur jab buddhi pavitra banti hain toh hamare me nirnay karne ki chhamta badhti jati hain. Aur hamare me se vikaro ki badbu aana band ho jati hain. Dekho duniya walo ko, kitna badbu rahta hai vikaro ko. Itna dukhi hote hain phir bhi yeh pata nahi hota ki yeh dukh ka karan kya hain. Pavitrata hi sukh-shanti ki janni(ma, mother) hain. Bina pavitrata ke sukh-shanti aa nahi sakti.

प्रश्न:-बाप कहते हैं बच्चे पावन बनो तो क्या होगा?


उत्तर:-पावन दुनिया के मालिक बनेंगे। काम महाशत्रु है इसलिए बाबा के पास आते हैं तो कहते हैं जो विकर्म किये हैं, वह बताओ तो हल्का हो जायेगा, इसमें भी मुख्य विकार की बात है। 

प्रश्न:-छोटे बच्चे प्यारे लगते हैं। बड़ों को इतना प्यार नहीं करते हैं जितना छोटों को करते हैं, क्यों?


उत्तर:-क्योंकि सतोप्रधान अवस्था है। विकार की बदबू नहीं है। बड़े होने से विकारों की बदबू हो जाती है। बच्चों की कभी क्रिमिनल आई हो न सके। यह आंखें ही धोखा देने वाली हैं इसलिए दृष्टान्त देते हैं कि उसने अपनी आंखें निकाल दी। ऐसी कोई बात है नहीं। ऐसे कोई आंखें निकालते नहीं हैं। 
Baccho ki eye crimnal nahi hoti kyoki bahut hi satopradhan stage hoti hain. Wo hamesha souls conscious me rahte hain. Kabhi bhi deh abhiman ma nahi aate hain. Isliye unko mahatma kahte hain. Isliye parmatma aate hain toh ham sabko pehle baccha banate hain. Ham baap ke bacche ban jate hain. Bholanath ke bhole bacche. EKdum cow(sidha sadha) ban jate hain.

Yaha kuch bhi nikalne ki baat nahi hoti hain. Koi hathyog nahi karna hai, apne man buddhi ko pavitra banane ki baat hain. Jaisa aap sochte hain waisa hi stage ko aap invite karte hain. Nature bhi aaapko wo deti hain. Isliye hamesha positive rahna hain. koi negative aur wyarth sankalp nahi. Aisa nahi hai ki wyart sankalp nahi aayege. Lekin jab shuru shuru me attention me rahte hain toh yeh sankalp khatam ho jate hain. Jaise hi wyarth sankalp aaye turant hame usse baba word se khatam kar dena hain. Ham sochte hain ki yah nahi sona hai, waha nahi sona hai, yeh nahi khana hain wo nahi khana hain. Chai nahi pina hain nahi toh phir se aadat lag gayega. Hamesha srimat ko follow karege toh kabhi koi chiz se lagaw nahi hoga. Ekdum nirahankari, nirakari, nirwikari, nirsanklp, nyara aur pyara rahege. Koi sanskar aapko pareshan nahi karega. Aapko sare karam indriyan shital ho jayegi. Lekin aap chahte hain ki purane sanskar pareshan nahi kare, toh us par attention rakhna hoga shuru me, aur naye sanskar ko dharan karne honge. Phir dhire dhire wo aadat ma aa jayega. Jitna gahra sanskar hota hain utna thoda late toh lagega lekin hamesha ke liye wo purane sanskar bhag jayege.

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) बेहद बाप के प्रापर्टी की मैं आत्मा मालिक हूँ, जैसे बाप शान्ति, पवित्रता, आनंद का सागर है, ऐसे मैं आत्मा मास्टर सागर हूँ, इसी नशे में रहना है।

2) ड्रामा कह पुरूषार्थ नहीं छोड़ना है, कर्म ज़रूर करने हैं। कर्म-अकर्म-विकर्म की गति को समझ सदा श्रेष्ठ कर्म ही करने हैं।

वरदान:-

सदा बाप के अविनाशी और नि:स्वार्थ प्रेम में लवलीन रहने वाले मायाप्रूफ भव

जो बच्चे सदा बाप के प्यार में लवलीन रहते हैं उन्हें माया आकर्षित नहीं कर सकती। जैसे वाटरप्रूफ कपड़ा होता है तो पानी की एक बूंद भी नहीं टिकती। ऐसे जो लगन में लवलीन रहते हैं वह मायाप्रूफ बन जाते हैं। माया का कोई भी वार, वार नहीं कर सकता क्योंकि बाप का प्यार अविनाशी और नि:स्वार्थ है, इसके जो अनुभवी बन गये वह अल्पकाल के प्यार में फँस नहीं सकते। एक बाप दूसरा मैं, उसके बीच में तीसरा कोई आ ही नहीं सकता।

स्लोगन:-

न्यारे-प्यारे होकर कर्म करने वाला ही सेकण्ड में फुलस्टॉप लगा सकता है।

BK Rajyogi Suraj Bhai Mulri Manthan 02-07-2020


No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.