Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 28-04-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 28-04-2020


"मीठे बच्चे - अब यह नाटक पूरा होता है, तुम्हें वापिस घर जाना है, इसलिए इस दुनिया से ममत्व मिटा दो, घर को और नये राज्य को याद करो"

प्रश्नः-

दान का महत्व कब है, उसका रिटर्न किन बच्चों को प्राप्त होता है?

उत्तर:-

दान का महत्व तब है जब दान की हुई चीज में ममत्व न हो। अगर दान किया फिर याद आया तो उसका फल रिटर्न में प्राप्त नहीं हो सकता। दान होता ही है दूसरे जन्म के लिए इसलिए इस जन्म में तुम्हारे पास जो कुछ है उससे ममत्व मिटा दो। ट्रस्टी होकर सम्भालो। यहाँ तुम जो ईश्वरीय सेवा में लगाते हो, हॉस्पिटल वा कॉलेज खोलते हो उससे अनेकों का कल्याण होता है, उसके रिटर्न में 21 जन्मों के लिए मिल जाता है।

Brahma Kumaris Today Moti 28-04-2020


Mujh Aatma Ka Murli Manthan

"मीठे बच्चे - अब यह नाटक पूरा होता है, तुम्हें वापिस घर जाना है
Baba kahte hai mithe bacche, aab drama pura hota hai aur aab ghar jana hai. Baba ke yeh mahawakya sabko samjhna hoga. Yeh baat wahi saamjh sakte hai jo Brahma kumaris ke 7 days free Rajyoga meditation ka course kar chuke hai. App online course kar sakte hai. Visit www.brahmakumaris.com and visit online youtube channel of Brahma kumaris. Online course is available.

Baba kahte hai bacche jaise 3 ghante ki movie dekhte hai wo sach nahi hoga, wo ek drama hai. Waise hi yeh srishti drama 5000 years ki hai jisme 4 yug hote hai, satyug, tretayug, dwaparyug and kalyug. Yeh kaha jata hai ki abhi ghor kalyug chal raha hai. Aur aab yeh dunia kalyug se satyug me parivartan hone wali hai. Khud toh nahi hogi. Kalyug me kahte hai sabki buddhi bhrast ho jati hai. Aur hame apne buddhi ko hi nirmal aur pavitra banana hai. Buddhi ko hi pavitra banakar ham satyug me ja sakte hai. Baba hame sabse pehle 7 days ke rajyoga meditation course dwara sara gyan ka rahasya sunate hai. Aur phir daily murli dwara hame daily gyan sunate hai jisse hamari buddhi pavitra banti jati hai. Baba kahte hai yahi wo mahabharat ka samay hai jiske baad yug parivartan hone wala hain.

Issi drama ko baba kah rahe hai ki yeh natak aab khatam hota hai. 3 ghante ki jo loukik movie hoti hai jisme bahut sare actors hote hai jo part play karte hai. Aur jab part pura hota hai toh apne apne ghar chale jate hai. Yaha abhi yeh 5000 saal ki srishti natak me ham sab aatmaye part play kar rahe hai aur aab yeh natak pura, aur hame aab ghar jana hai. Kaun sa ghar? Paramdham(brahmlok, shantidham)

Baba kahte hai yeh tumhara apna ghar hai aur ham wahi se iss dharti par aaye hai part play karne. Ab part pura hota hai aur ham aab ghar chale jayege. Ham ghar baba ke hath pakadkar jate hai. Bhagwan khud aate hai yeh parivartan ka karya karne aur ham aatmao ko pavitra banakar ghar le jate hain. Koi apavitra aatma ghar nahi ja sakti, usse pavitra bankar hi ghar jana hai. Jaise Jutha bartan ko dhokar hi rakhte hai na. Baba kahte hai ki tumeh bhi baba dhokar hi le jayege. Kaise dhote hai hame? 

Yog se ya bhog se. Baba pehle se bata dete hai sari sawdhaniya. Agar nahi manege toh bhog karke pavitra banna hoga. Jaise baba kahte hai kam vikar dukh aashanti ki janni hai. Isliye kaam par jit pao. Lekin nahi mante hai toh last m bhogna padta hai. Toh yeh tha mujh aatma ka manthan ki aab ghar jana hai. Isliye iss vinashi dunia ko yaad mat karo aur jaha jana hota hai na ussi ko yaad karte hai. Kha jana hai? Brahmlok, swarg. Toh ussi ko yaad karna hai.


Om Shanti

Mujh Aaatma dwara likhe gaye kuch articles:

Brahmacharya: How To Be Positive While Practicing Celibacy? By My Experience.

GSE Mental Health Archives

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.