Amazon

The Spiritual Significance Of Ramadan

The Spiritual Significance Of Ramadan


According to Google, Ramadan 2020 Date:

Ramadan 2020 will begin in the evening of

Thursday
April 23
and ends in the evening of

Saturday
May 23
Dates may vary

Namaskar Dosto, Bhaiyon, Bahno,

Aaj main twitter check kar raha tha toh mujhe Ramadan 2020 trend par dikha. Mere kuch muslim friends hai jo bata rahe the ki Ramadan(Ramzan) aane wala hai. Phir main internet par search karne laga ki akhir ham ramadan kyo rakhte hai aur iska importance kya hai. Mujhe aksar karke sabhi dharmo ke tayoharo ko janna aacha lagta hai aur iske importance and learning ko sikhna aacha lagta hai. Main internet par search kiya toh paya:

Wikipedia:


Ramadan also called Ramzan is the ninth month of the Islamic calendar, observed by Muslims worldwide as a month of fasting (sawm), prayer, reflection and community.A commemoration of Muhammad's first revelation, the annual observance of Ramadan is regarded as one of the Five Pillars of Islam and lasts twenty-nine to thirty days, from one sighting of the crescent moon to the next.

Fasting from sunrise to sunset is fard (obligatory) for all adult Muslims who are not acutely or chronically ill, travelling, elderly, pregnant, breastfeeding, diabetic, or menstruating. The predawn meal is referred to as suhur, and the nightly feast that breaks the fast is called iftar. Although fatwas have been issued declaring that Muslims who live in regions with a midnight sun or polar night should follow the timetable of Mecca, it is common practice to follow the timetable of the closest country in which night can be distinguished from day.

The spiritual rewards (thawab) of fasting are believed to be multiplied during Ramadan. Accordingly, Muslims refrain not only from food and drink, but also tobacco products, sexual relations, and sinful behavior, devoting themselves instead to salat (prayer), recitation of the Quran, and the performance of charitable deeds as they strive for purity and heightened awareness of God (taqwa).

My Learning

Friends, Brothers and Sisters, Aaj maine bahut kuch sikha Pavitra Ramzan ke bare me jankar. Yeh tayohar bahut hi jyada pavitrata ka suchak hai. Sabhi log pavitrata ko bahut hi strictly se follow karte hai. Maine suna tha, pavitrata sukh shanti ki ma hai. Jiske life me pavitrata(holyness) hai uska jeevan bada hi sukhi aur shantmay hota hai. 

Hame iss tyohar se sikh lene ki jarurat hai ki kaise ham itne dino tak fast rakte hai. Fasting me hamara jeevan pavitra hota hai. Pavitrata matlab mansa wacha aur karmana hame apne life me pavitra rahna hai, waise baccho ko bhagwan bahut like karte hai. Hamare gharo me bhi ham apne sabhi bachho me usko jyada pyar dete hai jo hamari baat sunta hai, uske aadat thik hote hai wo padhai aacha karta hai etc. 

Upvas(fast) ka matlab maine suna hai ki up ka matlab najdik aur vas ka matlab rahna. Matlab ham upvas rakhkar parmatma ke najdik rahte hai. Bhagwan bhi kahte hai mujhe yaad karo toh tumare sare pap bhasam ho jayege. Finally baat yahi hai ki hame bahut dil se aapne ko aatma(ruh) samajh kar bhagwan ko yaad karna hai. Bhagwan jo pavitrata ke sager hai, sukh ke sager, shanti ke sager, param sadguru hai wo hame sikh dete hai aur hame spiritual lesson padhate hai aur hame pavitra banate hai. 

Dosto hame sochna hai ki kya ham apne life me sada pavitra rahte hai? agar hame sukh shanti chahiye toh pavitra toh rahna hi hoga. Bhagwan kahte hai main tumhara pita hu aur property pita se milti hai. Tum mujhe yaad karo toh main tumahare sare pap bhul jaoga aur tumeh swarg ki badshahi de doonga.

Ramjan main maine dekha ki sabhi bade pyar se upvas rakhte hai aur bhagwan ko yaad karte hai. Jaise maine suna hai ki hamare sanskar 21 din me parivartan hote hai. Yeh tyohar bhi 29 se 30 din tak chalta hai. Upvas ke bahut scientific benefits bhi hote hai. Upvas karna hamare sharir aur mind ke liye aacha hota hai. Upvas se hame param shanti ki prapti hoti hai. Ham paramaatma ke najdik aa jate hai. Hamare mind me uthne wale thoughts bhi kam ho jate hai jisse hame silence ki prapti hoti hai. 

Iss tyohar se hamare life me bahut aachi discipline aati hai. Bhagwan chahte hai ki bacche issi discipline me hamesha rahe aur mujhe yaad karte rahe taki baccho se koi pap na ho. Aur bacche papo se hamesha bache rahe. 29-30 days ke purity se hamari whole life pure ho jati hai aur jo baache puri bhawna se isse karte hai unhe bahut hi jyada shanti aur sukh ka anubhaw hota hai.

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.