Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 01-05-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 01-05-2020

"मीठे बच्चे - अनेक देहधारियों से प्रीत निकाल एक विदेही बाप को याद करो तो तुम्हारे सब अंग शीतल हो जायेंगे”

प्रश्नः-

जो दैवीकुल की आत्मायें हैं, उनकी निशानी क्या होगी?

उत्तर:-

दैवी कुल वाली आत्माओं को इस पुरानी दुनिया से सहज ही वैराग्य होगा। 2- उनकी बुद्धि बेहद में होगी। शिवालय में चलने के लिए वह पावन फूल बनने का पुरूषार्थ करेंगे। 3- कोई आसुरी चलन नहीं चलेंगे। 4- अपना पोतामेल रखेंगे कि कोई आसुरी कर्म तो नहीं हुआ? बाप को सच सुनायेंगे। कुछ भी छिपायेंगे नहीं।

Mujh Aatma ka Manthan

Baba aaj kahte hai bacche, ek baap ko yaad karo, tabhi vikram vinash honge. Yaad se yog agni paida hoti hai. Yog aagni me sari deh bhan rupi apavitrata jal ke rakh ho jati hai. Jaise Shankar jee ne kamdev ko apne tisre aankh se nikali agni se vinash kar diya tha. Iske piche kya rahshya hai. Jab bhagwan aate hai toh hame sacha sacha geeta gyan sunate hai aur sahaj rajyog sikhate hai jisse ham aatmao ki buddhi rupi netra khul jati hai aur uss buddhi me yog agni paida hokar kam, krodh, lobh, moh, ahankar ko jalakar khakh kar deti hai. 

Baba kahte hai ki bache sari dunia ko yaad na karke ek videhi baap ko yaad karo. Sari dunia se kya mila aajtak, dukh hi dukh milta hai. Yeh dunia vinashi hai. Ek GOD, bhagwan jo videhi hai, unko buddhi se apne ko aatma samjh yaad karne se tumhare sare ang shital ho jayege. Sari karamindriyan shital ho gayegi. YOG me power hain. YOg me kami nahi honi chahiye. Gyan aur yog ka balance rakhna hai. Gyan sunna hai usse yog me anubhaw karna hai. Sirf gyan hi gyan sun rahe hai, padh rahe hai usse vikram vinash nahi honge. YOG karna jaruri hai. Mujh aatma ka yog ka time:

3.30 se 4.45 am (bahut jald hi, jald kya aaj se hi 2am se akhand yog karna chalu karege)

4.45 se 5 am (Mansa Sewa)

5 to 5.30 am (murli reading for sewadhari)

5.30 se 6.30 am(ruhani exercise, karamyog)

6.30 se 7 am(karam yog)

7 se 8 am(murli class with ruhani baba ki yaad, apne ko aatma samjh)

8 se 9 am(karamyog)

9 se 10 ( breakfast, baba ki yaad me, karamyog)

10 se 1 pm(karamyog, traffic control 2 times)

1 se 1.30 pm(lunch with baba ki yaad)

1.30 se 3.30 pm( yog, murli reading, avyakt murli reading, ruhani drill)

3.30 se 5.30 (karamyog)

5.30 to 6 (ruhani walk, mansa sewa, yog)

6 to 8 (karamyog, numasham, class)

8 to 8.20 pm (dinner with baba)

8.20 to 8.40 pm (murli reading)

8.40 to 9 pm(karamyog)

9 to 10 pm(murli revise, avyakt murli reading, yog, ruhani drill)

This yog chart, I am following. Baba kahe hai, hamesha ishwariya maryada follow karo toh maryada purushottam ban jayege.

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.