Amazon

The Spiritual Significance of the Earth Day - Happy Earth Day - अर्थ डे का क्या अर्थ हैं?

The Spiritual Significance of the Earth Day - 22 April

Happy Earth Day

Our Change Can Save The Earth

Namaskar Respected Bhaiyon aur Bahno, Greetings!

Kal 22 April 2020, phir se har saal ki tarah earth day hamare samne aa gaya hai. Aur aab har saal kuch naya hi ho raha hai. Iss sala coronavirus ka kahar dikh raha hai. Coronavirus ke badal chhaye hue hai hamari dharti par. Bhagwan kahte hai ki bacche jaise bahut mitha ped hota hai toh usme kide lag jate hai. Kide ko hatane ke liye dawali lagate hai. Aisa samay abhi chal raha hai jab har jagah kide aur virus ka prakop dikh raha hai hamari dharti mata par. Hame yeh sochne me samay barbad nahi karna hai ki yeh kyo hua, sabse first preference aur first responsibility hai ki ham isse apne dharti mata ko bachaye.

Hamare gharo me jab ham garden me tree lagate hai ya koi flower ke plant lagate hai toh usme jab kide lag jate hai toh ham turant dawa ka chhidkaw karte hai usko safe kar dete hai. Ham yeh nhi sochne baith jate hai ki yeh kyo ho raha hai. Ham turant dawa chhidkaw karte hai. Waise hi abhi hamari dharti mata kuch bediyon se jakadti najar aa rahi hai jo hamari hi creation hai. Hamare karmo ke chalte hamari dharti ma bediyon me jakad rahi hai. Hame aab ins bhagdoud ki zindagi me thoda 1 minute silence rakhkar hame apne aap se poochna hai ki hamare kaun se karam dharti ma ko dukh pahucha rahe hai: 

Let's take a 1 minute silence and ask:


1. Kya ham gussa karte hai?(spreading negative vibes on the earth)

2. Kya hamare kaam, krodh, lobh, moh, ahankar, ishya, dwesh, nafrat, bhrashtrachar me lipt hai, isse hamare earth ko bahut hi jyada harm hota hai, hamare chalte dharti emotional polluted hoti hai, jiska asar dusri aatmao par bhi padta hai. Eg. Ham agar kaam vikar me lipt hai toh environment me bhi wo emotion spread hote hai aur uss vibration me jo bhi aata hai, usse bhi yeh vikar apne chapete me le leta hai due to low emotional immunity.

3. Kya hamare koi loukik karmo se vayu, jal, dharti pollution hoti hai.

4. Kya ham plastic ka isstemal karte hai?

5. Kya ham apne swarth ke liye nadi nalo ko ganda karte hai? 

6. Kya ham jeev hatya karte hai? (Eating non-veg)

7. Kya hamare paas awashyakta se jyada car, bike etc vehicles hai? 

8. Kya ham electronics things and electricity ke gulam hai?

9. Kya ham kisi prakar ka nasha(addiction), chewing tobacco, smoking cigarette, drinking wine etc karte hai?

Aise kuch questions hai jiska jawab yadi 'yes' me hai, toh ham kahi na kahi apne earth ko dukh pahucha rahe hai aur usse polluted kar rahe hain.

Aab another 1 minute silence and think, what can we do now?


1. Kya ham solar energy use kar sakte hai?

2. Kya ham science ke sadhno ke bajay jyada se jyada nature par depend rah sakte hai?

3. Kya ham bina mobile ke rah sakte hai?

4. Kya ham kam se kam electronics device use kar sakte hai?

5. Kya ham kaam, krodh, lobh, moh, ahankar, ishya, dwesh, nafrat, bhrashtrachar hamesha ke liye chood sakte hai?

6. Kya ham science ke jagah silence ki shakti use kar sakte hai?

7. Kya ham kisi prakar ka nasha(addiction), chewing tobacco, smoking cigarette, drinking wine etc chhod sakte hai?

8. Kya ham plastic ke jagah koi natural stuff ka isstemal kar sakte hai?

9. Kya ham apne nadi-nalo ko ganda hone se bacha sakte hai?

10. Kya ham non-veg ya kisi bhi prakar ke tamopradhan bhojan ko chhod sakte hai?

11. Kya ham jitna jarurat ho utna hi car aur bike ka isstemal kar sakte hai? Jyada se jyada public transport ka isstemal bhi.

Agar inn sabhi sawalo ka jawab yes hai, toh ham jagruk hai apne earth ko bachane ke liye. Aur Sahi mayne me earth day manane ke kabil hai. 

Hamare aise bahut karma hote hai jisse earth polluted hoti hai. Jaise gussa karna, isse negative energy failti hai. Hamare car, laptop, mobile, bike, AC or any other electronic devices dwara bahut garami nikalti hai aur Karbondiaoxide aur bahut hi jahrile gas nikalte hai jo hamare earth ko kamjor banate hai. Jisse global warming ho rahi hai.

Hamare plastic ka isstemal karne se bahut hi jyada nuksan nadi nalo, animals ko, soil ko hote ha. Ham apne karmo se hi isse thik bhi kar sakte hai. See abhi coronavirus ke karan sabhi lockdown hai aur nature kitni khus najar aa rahi hai. Charo taraf birds hi birds najar aa rahe hai. Nadi nale sabhi kitna saaf ho gaye hai. Air pollution kha gaya, kuch pata nahi. Charo taraf saf hi saf hawa pani. Charo taraf silence hi silence. Kya ham lockdown ke baad hi aisa lifestyle jee sakte hai. Ham bas upper likhe questions par amal karna hai aur badi royal life jini hai. Taki kisi ko bhi hamare lifestyle se dukh na ho. Sochiye jara kya bhagwan aisa lifestyle jine volte hai jisse dusre dukhi ho. Bhagwan toh kehte hai, tum mujhe yaad karo toh tumare janam janam ke pap bhasam ho gayege. Isliye Islam dharam me Shab-e-barat celebrate karte hai. Jiss raat ko sabhi bhagwan se mafi mangte hai aur apne karmo ko sudharne ka vada karte hai.

Bhagwan bade dayalu hai, unse ham agar apne galat kiye gaye karmo ke liye maafi mang lete hai toh hame turant maaf kar dete hai. Aur ham unse vada karte hai ki ham kabhi dubara galat karam nahi karege. Kisi ke bare me negative sochna bhi emotional pollution hai aur yeh pap hai. Iska bhi phal hame hi milega. Isliye be alert and mind me kewal parmatma ki hi yaad rahe. issi se hamari dharti sabhi bediyon se azad ho jayegi. Jab ham bhagwan ki yaad me busy rahte hai, toh hamse koi pap nahi hota. Ham apne swarth ke liye dharti mata ko bediyon me nahi dalege. Ham apni ma ke sath aisa nahi sakte hai. Wo hamari ma hai. Earth hamari kitni care karti hai ma ke jaisi.

Aaaye Jara sochte hai ki kya inke bina hamara koi wazood hai?

1. Ham breadth(sans) kaise lenge?
2. Ham nahayege kaise?, pani kaise piyege?
3. Hamara yeh body bhi earth ke 4 elements(water, air, soil, fire, sky) se hi bana hota hai, kya iske bina hame body milegi?
4. Kya dharti ma hame anaj(food grain) na de toh ham zinda rah payege?

Aise bahut se karan hai. Dharti ma hamari palna karti hi rahti hai. Thoda der bhi aaram nahi karti hai. 

Atah aaye aaj ham sankalp kare aur pane sub-conscious mind yeh naya sanskar banaye ki ham aaj se wada karte hai ki ham aisa koi galat karma nahi karege jisse hamari ma dukhi ho. Sadhan ka isstemal utna hi karege jitne me kam ho jaye. Jaise jaha cycle se kaam ho sakta hai waha bike or car nahi nikalege.




साथ ही प्रकृति व पर्यावरण शुद्घि हेतु विशेष मेडिटेशन



क्लीन द माइंड-ग्रीन द अर्थ' व 'मन को स्वच्छ व धरती को हराभरा करें' । 



हमारी पृथ्वी-हमारा भविष्य विषय पर वीडियो फिल्म दिव्य गीत-संगीत के साथ प्रेरक उद्बोधन





What is Earth Day? The History of Earth Day and why do we celebrate earth day पृथ्वी दिवस 2020




No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.