Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 29 April 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 29 April 2020

"मीठे बच्चे - तुम्हारा यह ब्राह्मण कुल बिल्कुल निराला है, तुम ब्राह्मण ही नॉलेजफुल हो, तुम ज्ञान, विज्ञान और अज्ञान को जानते हो"

प्रश्नः-

किस सहज पुरूषार्थ से तुम बच्चों की दिल सब बातों से हटती जायेगी?

उत्तर:-

सिर्फ रूहानी धन्धे में लग जाओ, जितना-जितना रूहानी सर्विस करते रहेंगे उतना और सब बातों से स्वत: दिल हटती जायेगी। राजाई लेने के पुरूषार्थ में लग जायेंगे। परन्तु रूहानी सर्विस के साथ-साथ जो रचना रची है, उसकी भी सम्भाल करनी है।



Mujhe Aatma Ka Manthan

Baba kahte hai mithe pyare sikiladhe bacche main aatma hu inke(brahma) ke tan me tumeh patit se pawan banane. Main grabh me nahi aatma. Main toh janam maran se nyara hu na. Mera kam(dhandha) hi hai tum aatmao ko patit se pawan banane ka. Mere se dhandhe(loukik) ke bare me discuss mat karo. Wo brahma se karo, wo batayege tumhe ki kis parithithi me kya karna hai. Kyoki sare tufan pahle inko aate hai, yeh sab tufano ko bade aasasni se khusi se par kar jate hai. Isliye toh inka pad sabse uncha hai. Tum inse discuss karo aur maya par jeet pao. Baba ko matlab hai bus patit se pawan kaise banaye. 

Baba tarah tarah ki yukti batate hai ki iss maya par kaise jeet pao. Brahmano ki mala nahi ban sakti ha. Kyo? Kyoki tutte rahte hai, maya brahmano ko todti rahti hai. Kabhi udti kala me kabhi girti kala me jate hai. Upper niche hote rahte hai. Isliye abhi mala nahi ban sakta. Jab final pura sampuran ho jayege toh rudra mala banegi. Vishnu ki mala main ayege. Aur swarg ka rajyabhag paoge numberwise. sab toh unch pad nahi pa sakte hai. Isme pursharth anusan numberwar ho jata hai. 

Phir baba kahte hai shiv baba brahma ke tan me aakar farman sunate hai ki bacche mamekam yaad karo, yaad se mukti jeevan mukti ko paoge. Yaad se hi maya par jeet paoge. 

Phir baba kahte hai ki mithe bacche antarmukhi sada sukhi. Antarmukhi bano aur phir sada sukhi ho jao. Kal bhi baba antarmukhi banne bole the. Jo antermukhi hota hai, ussko maya chhu nahi sakti hai. Jaise Kachhua ka example diya jata hai, wo problem aane par apna muh ander kar leta hai aur aane wali problem se par ho jata hai. Jab dekhta hai ki problem nikal gaya tab apna muh phir bahar karta hai. Ham brahman bacche bhi antermukhi bane aur maya se jeet paye. 

Baba ne aaj kha ki mithe bacche, apne ruhani sewa me lag jao, jab time mile, ruhani sewa karni hai. Yeh kaun hi sewa hai?

Ruhani(Ruh, aatma ki sewa). Baba kahte hai bacche baba patit aatmao ko pawan banane ki sewa karta hai, tum bacche bhi patito ko pawan banane ki sewa me lage raho. Bhal tumhare bacche hai toh uski palna bhi karo. Puri responsibilities nibhao, pyar se unki palna karo. Sab toh madhuban nahi aa sakte na. Ruhani sewa wahi rahkar karo, jaha ho wahi sewa karo. Baccho ko gyan sunana, yog karana. Gyan yog ke sanskar dena. Apne yugal ko, loukik ma baap, bhai, bahan sabhi ko pavitra banane ki ruhani sewa karni hai. Sabko gyan sunao, aaj baba kya bole hai. Aur ek din sabhi us routine ko follow karte hue baba se gyan sunne lagege. Aur pavitra banege. Yahi toh sewa hai tum baccho ko sangam yug me. Kitna ruhani sewa karte ho? Kha busy rahte ho? Shuruwat ghar se hi karni hai. 

Phir baba bole ki mithe bacche, vijay ka nagada pure viswa me tabhi bajega jab tum sab brahmano ko sabhi sankalp ek ho gayege. Ekras honge. Jaise govardhan parwat dikhaya hai, sabhi ne ek hokar ekta se uss bade parwat ko uthaya hai. Jab yeh sanskar tum sabhi brahmano main ho jayege tab pure viswa me vijay ka nagada baj jayega aur phir tum swarg ne pravesh kar jaoge.  Aaj ka swaman hai ki main vijay ratan aatma hu. Vijay ham baccho ki nishchit hain. Safalta hamara janamsidh adhikar hain. Tum vijay nahi hoge toh kaun hoga kaurav? Rawan? Bolo...

Baba ne aaj swaman main bataya ki mithe bacche, tum sresth purushart karte ho. Agar sresth purusharth me kami aa rahi hai, tum thak rahe ho toh yah bhi aalashya ki nishani hain. Isliye athak bano. Athak sewadhari. Tum sabhi sresth aatma ho. Jiske sath swayang bhagwan hai wo kaise thak sakta hain.

Om Shanti By Heart To All Children Of GOD
Thank You Baba, Thank You

I have written some articles, you can check out:

Follow us at: https://medium.com/@gsehealth/ 

Can we change negative scenes into positive?

जैसा बीज बोयेगे वैसा फल खायेगे || जैसा कर्म होगा वैसा फल पाओगे || GSE Motivation




No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.