Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 23-4-2020

"मीठे बच्चे - सबसे अच्छा दैवीगुण है शान्त रहना, अधिक आवाज़ में न आना, मीठा बोलना, तुम बच्चे अभी टॉकी से मूवी, मूवी से साइलेन्स में जाते हो, इसलिए अधिक आवाज़ में न आओ"

प्रश्नः-

किस मुख्य धारणा के आधार से सर्व दैवीगुण स्वत: आते जायेंगे?

उत्तर:-

मुख्य है पवित्रता की धारणा। देवतायें पवित्र हैं, इसलिए उनमें दैवीगुण हैं। इस दुनिया में कोई में भी दैवीगुण नहीं हो सकते। रावण राज्य में दैवीगुण कहाँ से आये। तुम रॉयल बच्चे अभी दैवी-गुण धारण कर रहे हो।

Om Shanti Mithe Pyare Baba, all soul brothers,

Baba aaj ki murli me kahte hai ki bacche, tumeh devigunn daharan karna hai, aur sabse aacha devigunn hai shant rahna, bahut thoda bolna, silence me rahna. Yeh aaj baba ne kha ki yeh sabse aacha devigunn hai jo ham baccho ko aaj hi dharan kar lena hai. Agar hamare ander thoda bhi sanskar hai ki ham bahut jyada bolte hai, bahut jyada react karne ka aadat hai. Toh hame aaj se yeh kam kardena hai. Baba kahte hai ki bacche thoda nahi bahut thoda bolna hai. Jab ham kisi ko baat karte hue sunte hai toh hame bhi bolne ka man karta hai, lekin yaha dekhna hai kyo mujh aatma ko dusre ke bol me ras najar aa raha hai. Ras hame murli me rakhna hai na ki hame dusri ko wyarth bato me interest rakhna hai. Ham sabko baba aaye hai lene aur aab hame ghar chalna hai. Aur ghar kha hai, silencedham, paramdham, jaha silence ki bhasa chalti hai. There is no thought in mind there.

Baba ne kha ki pehle talky se movie me jana hai, matlab ki hame aab baat chit bhi isharo isharo me hi karna hai. Jitna jarurat ho utna hi bolna hai. Kam ke kam bolna hai. jaha jarurat na ho waha nahi bolna hai. Isharo isharo me samjha dena hai. Aaaj hame yahi practice karna hai ki ham isharo me hi baat kare. Jaha jarurat na ho waha bole hi nahi. Silence me rahe. Jab ham mandir jate hai toh kitna shanti milta hai. Kyo? Kyoki waha log sirf bhagwan se baat karte hai wo bhi man hi man. Isliye waha bahut jyada shanti feel hota hai. Baba kahte hai murli me ki tum aab hamesha ke liye aisi sthithi banao kyoki ghar chalna hai. Waha ghar paramdham me toh koi sankalp hote nahi. 

Waha sirf main aur mera baba. Main aatma paramdham me jyoti bindu aur baba bhi jyotibindu. Main aatma baba me samati ja rahi hu. Aur baba se sarwa shaktiyon ki kirne mujhe aatma me samati ja rahi hai. Mujh aatma me sarwa shaktiyan bharti ja rahi hai. Jise mujhe karmo me use karna hai. Jab jis shakti ki jarurat ho waha isse use kar sakte hai. Baba ne kha ki jab baba ko bulate ho toh baba hazir ho jate hai toh jab shaktiyon ka aawahan karoge toh shaktiyan nahi aayegi. Ramayan me dikhaya ki jab raam jis shakti ka aawahan karte wo hazir ho jata hai toh rawan usse haar jata.

मुख्य है पवित्रता की धारणा। देवतायें पवित्र हैं, इसलिए उनमें दैवीगुण हैं। इस दुनिया में कोई में भी दैवीगुण नहीं हो सकते। रावण राज्य में दैवीगुण कहाँ से आये। तुम रॉयल बच्चे अभी दैवी-गुण धारण कर रहे हो।

Phir baba kahte hai ki bacche tum ek dharana kar loge toh tumhare ander sabhi devi-gunn apne aap hi aa jayege aur wo hai pavitrata. Pavitrata matlab hame apne jeevan ko satwik banana hai. Hamara lifestyle bilkul simple aur pavitra hona chahiye. Jisme hame sabse pehle apne tamopradhan thoughts ko pavitra banana hai. Yeh man hi sabse pehle control hona chaiye. Kyoki yeh aatma hamara raja hai aur man mantri hai. Jo raja bole wo man ki follow karna hai. Lekin kalyug me aisa nahi dekha ja raha hai. Sabhi apne man ki hi vas me ho gaye hai. 

Ulta ho gaya hai. Lekin baba jab aate hai toh hame patit se pawan banate hai. Baba ki kehte hi patit pawan."Patit pawan sita ram" kha jata hai. Vishay Vikar mitao pap haro deva. Kaun sa vishay vikar mitane bol rahe hai daily daily bhagwan se ham. Bhagwan aab aa gaye hai aur hamare vikaro ko khatam kar rahe hai. Aur Devigunn ki dharana kara rahe hai. Baba kahte hai ki bacche yeh pavitrata ka gunn dharan hoga toh isske piche piche iske bacche sukh aur shanti apne aap hi aa gayege. Aur jab zindagi me sukh shanti aayege toh anand, prem bhi aa hi gayega. Isliye baba kahte hai ki pavitrata first step hai. Jab koi gyan me aata hai toh sabse pehle baba kehte hai ki pavitra bano aur yogi bano.

Baba ne kha ki iss dunia me jo bilkul hi tamopradhan(bharast) ho gaya hai, isme kisi me bhi devi-gunn kaise ho sakta hai. Sabke aander rawan baitha hai. Kyoki yeh hai tamopradhan purani dunia, yaha sab rawan ke rajya me hai. Aaadha aadha rajya chalta hai na, aadha rajya devtao ka aur aadha rawan ka. Jab ham bacche purusharth karke pavitra banke yogi banke swarg m devi-devta bankar jayege toh waha hi hamare m devi-gunn hoga. Yaha devi-gunn nahi ho sakta. Jaise koi doctor ki padhai padh raha hai toh uss samay usko doctor toh nahi kahege. Jab tak puri padhai padh nahi leta, tab tak doctor kaise kah sakte hai. Ussi prakar ham baba ke bacche abhi devi-devta ke liye padhai padh rahe hai. Aur tum royal bacche abhi devi-gunn dharan kar rahe hai toh. Phir exam hoga, aur after passing tumeh yeh degree mil jayegi phir tum apne aage doctor likh sakte ho.

Om Shanti


No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.