Amazon

Can we be equal in both Praise and defamation, victory and defeat, happiness and sorrow?

Can we be equal in both Praise and defamation, victory and defeat, happiness and sorrow?


Dosto, Bhaiyon, Behno

Kya ham aise conditions me same ho sakte hai. Aisa sach ho gaye ki hamare man par iska koi effect hi na ho. Chahe jeet ho ya haar, chahe praise ho ya defamation, chache victory ho ya defeat, chahe happiness ho ya sorry. Man ki aisi kaun si stage hai jisme ye sabhi emotions ka man par koi asar hi nahi hota aur man hamesha shant hi rahta hai. Koi reaction nahi hota.

Main pehle turant reaction de deta tha agar koi mujhe kuch bolta tha, chahe koi meri praise kare toh main bahut khus ho jata hai aur khusi se uchalne lagta tha aur phir yadi koi defame kare toh main bahut hi udas ho jata tha.

Yeh bahri conditions ka mere uppar bahut hi asar ho jaya karta tha. Aur phir last me main bahut hi jyada dukhi aur ashant ho jata tha. Kabhi kabhi toh main rone lag jata tha. Aur kisi se baat nahi karta tha. Man ki aisi dasa kaise ho jati hai. Jab koi bahri wyakti akar aapko pareshan kar deta hai. Jaise ki TV ka remote usme hatho me ho, wo remote dabaye aur channel change.

Wo remote dabaye toh main abhi abhi khush aur abhi abhi naraj. Samne wala mujhe operate kar raha hota hai. Meri apni wajood kuch nahi. Meri apne uppar koi control nahi. Main samjh nahi pa raha tha ki mere sath ho kya raha. koi bhi paristhithi mujhe pareshan karne pahuch jati. Ham jante hai ki abhi ke time me toh jyada se jyada toh life me negative situation hi aate hai. Aise me insan toh depression me chala jaye.

Dosto ham aise logo ko depressed kah sakte hai jo bahut jyada react karte hai, bahut jayda naraj ho jate hai, itna jyada ki 1-1 saal baat hi na kare. Maine kahi padha hai ki aise logo ko depression ka shikar kah sakte hai.

Main bhi bahut dukhi ho jata tha, mera kisi bhi kaam me man hi nahi lagta tha. Jaise ki senseless. Tab main ek BK Shivani bahan ka tv program dekha jo Suresh Oberoi aur wo bahan ka discussion show tha, jisme wo bata rahi thi ki hamare dukhi hone ka karan ham hi hai aur koi nahi hai.

Main aur pareshan ho gaya ki ek toh main dukhi hu aur main apne dukh ke liye main hi khud jimmedar hu. Mujhe toh lag raha tha ki saamne wale ne mujhe defame kiya isliye main dukhi hu. Mera dukhi hone ka karan wo insan hai. Usne hi mujhe dukh diya hai. Usme hi mujhe naraj kiya hai. Tabse main BK Shivani bahan ka program dekhne laga aur wo kya kahti hai unko bahut dhyan se samjhne laga. Tab mujhe samjh aa gaya ki hamare dukhi hone ka karan main khud hu like TV remote.








No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.