Spiritual Significance Of Shab e-Barat
Shab E Barat Mubarak
Aaj main yeh post Spiritual Significance Of Shab e-Barat ke upper kar raha hu. Iss blog me main sabhi dharmo ke festivals par uska spiritual significance samajhne ke kosis karta hu aur aaplogo se share karta hu. Akhir ham festivals kyo manate hai, ham kya sikh rahe hai unse, jinko ham iss special din me yaad kar rahe hain. Hame unse, unke gyan se kya kya sikhne ki jarurat hai aur sirf sikhna hi nahi, usse apne life me follow karke unke jaisa banna hai.
Iss post me main Spiritual Significance Of Shab e-Barat ke bare me baat kar raha hun. Ham kya jante hai the holy festival Shab e-Barat ke bare me, wo dekhte hai pahle.
Wikipedia ke according:
Shab-E-Barat means the night of forgiveness or Day of Atonement. Muslims observe Mid-Sha'ban as a night of worship and salvation. Various hadiths have been in this regard, some weak and others graded hassan or sahih.
The Arabic name "Laylat al-Barat" means Barat Night where meaning in English is "the quality of being guileless","without guile or deception". On this night Allah said : who wants forgiveness, I will forgive you. Who wants food, I will provide food. Allah said this over again and again until Fajr.The festival of Shab-e-Barat is celebrated with pomp and enthusiasm by Muslims all over the world. For, Muslims believe that on the night of Shab-e-Barat, God writes the destinies of all men for the coming year by taking into account the deeds committed by them in the past. It is considered one of the holiest nights on the Islamic Calendar.
My Friend Md. Shahbaz Gaddi Says
Prophet Mohammed sahab founder of the Islam said this is the month of Allah. And in this month there is a special night that is 14 Shaban night. Because in this night Allah give rizk (Arabic word )
Example: Today is also a result day and new syllabus start day ( in common language to understand you bro) Of our life which work has done in the whole year ie. Good or bad
Prophet Mohammed sal Allah aliyhe wasallam
Spiritual Significance
Pyare dosto, bhaiyon aur bahno, yeh raat bada hi holy or pavitra mana jata hai. Yeh raat bade hi shradha se ibadat(prayers) kiya jata hain aur gunaho se tauba kar lete hai log. Yeh Islamik parv hai jisme log iss raat ko ibadat karte hai, aur aisa kaha jata hai ki aaj ki raat jo Allah(GOD) ki ibadat karte hai uske sare gunah maaf ho jate hain.Dosto bahut clearly yeh message hai ki dosot jab ham bhagwan ki sharan me jate hai, unko yaad karte hai, dua karte hai toh bhagwan hamare sare bure karmo, gunaho ko maaf kar dete hain. Isko ham aise samjhte hai ki hamare loukik gharo me bhi dekhte hai ki agar hamare parents hamse naraj hai, hamare dwara kiye gaye karmo se naraj hai, ham bacche apne parents ki baato ko nahi sunte hai toh gunah hota hai, ham apne mat(nirnay) par chalkar pap kar baithte hai. Aur hamare parents naraj ho jate hai.
Lekin jab ham bade pyar se, shradhha se, unke paas jate hai, unse mafi mangte hai toh unka dil turant pighal jata hai, aur wo hame maaf kar dete hain. Iska matlab yeh nahi hona chahiye ki maaf toh kar hi dete hai toh gunah karte hi jaye, karte hi jaye. Bhagwan hamare pita hai, godfather hai, sabse bada pap yahi ho jata hai ki ham bhagwan ke dwara diye gaye nakse kadam par nahi chalkar, pap ki dunia me chale jate hai aur apne mat anusar karam karne lagte hai aur dukh, ashanti pate hain. Karna kya hoga?
Mujhe lagta hai ki hame apne parents ki respect karni chahiye. Bhagwan, GODFather, Allah ke diye gaye nirdesho par chalna chahiye, toh kabhi dukh hi nahi hoonge aur ham hamesha sukhi aur shant rahege.
Phir mera manthan chala ki akhir ham dukhi hote kyo hai? Srimat ka ullanghan, manmat chalakar hi ham dukhi hote hai. Hamare ander, kam, krodh, lobh, moh, ahankar, ishya, dwesh, nafrat, bhrashtrachar sabhi awgun aa jate hai aur ham dukhi hona shuru ho jate hai. Ham yeh bhul jate hai ki ham ek sharir nahi aatma hai, RUH, energy, jeevan hai. Hamare sharir ko chalane wala yeh energy hai jo hame chala raha hai. Ham yeh bhul kar ahankar karne lagte hai aur phir dukh pate hain.
Bhagwan aakar hame sabse pehle iss sharir se detach karte hai aur kahte hai ki tum ek RUH, AATMA, ENERGY, JEEVAN ho aur hamesha issi swarup me raho, soul-conscious. Issi swarup me rahkar mujhe yaad karo. Yaad karne se pehle mujhe jano, sambandh jodo aur phir yatharth rup se yaad karo tabhi mere se varsha le paoge. Bhagwan apna parichay khud dete hai jab wo aate hai.(Bhagwan kab aate hai? yeh janne ke liye Brahmakumaris ne najdiki centre par aaye).
Visit this link to know About Brahmakumaris.
Bhagwan kahte hai, jaise sharir ka pita sharir jaisa, waise hi aatma, ruh, energy ka pita bhi waisa hi. Jyoti-bindu swarup i.e. Nirakar.
Aatma bhi Jyoti-bindu, jyotirlingam, Allah nur(light) hai, GOD is light. Sabhi dharmo me bhagwan ke light ka hi swarup dekhne ko milta hai.
Dosto, yeh gyan mujhe Brahmakumaris ke free 7 days Rajyoga Meditation course se prapt hua hai. Aap bhi ise detail me janna chahte ho, toh aap apne Najdiki Brahmakumaris ke centre par aa sakte ho. Brahmakumaris aisa sanstha hai jaha universal brotherhood par bat ki jati hai.
Toh dosto ham baat kar rahe the, aaj Shab e-Barat ke raat ki, ki aaj ke din Allah ki ibadat karne se hamare gunah ko wo maaf kar dete hai.
मान्यता के अनुसार शब-ए-बारात को एक प्रकार से रमजान में रखे जाने वाले रोजे के लिए खुद को तैयार करना माना जाता है। Aaj ki raat log Allah ke ibadat karke apne gunaho ke liye mafi mang lete hai aur pavitra ban jate hai. Taki aaane wali Ramjaan ke liye apne ko tayar kar sake. Bhagwan kahte hai pavitra bano toh main tumeh pavitra dunia, swarg, paradize, jannat ka malik bana doonga. Bhagwan ko yaad karne ke liye aur unka varsha pane ke liye Pavitrata bahut hi jaruri bataya gaya hai sabhi dharmo me. Bhagwan kahte hai, aapne aap ko ruh, aatma samjh mujhe yaad karo, deh bhan ke sath mujhe yaad karne se mujhe koi prapt nahi kar sakta. Isliye apne ko ruh samjhkar mujhe yaad karne se hi main tumhe sabhi papo se mukt kar doonga aur tumeh aane wali heaven ka malik bana doonga.
Dosto, main manthan hi kar raha tha ki, iss dunia me holy banna kitna hard hai. Holy banna mana mansa, wacha, karmana pavitra rahna hai. Mind me ek bhi apavitra thought na aaye, tab kahege holy soul. Pavitra aatma. Aur pavitra banege tabhi bhagwan se hame wo 7 qualities, pavitrata, knowledge, sukh, shanti, anand, prem aur shakti milegi.
Swaman - Main Pavitra Aatma hun.
Bhagwan kahte hai, sada Sachhai, safai, sadgi, sada eknami, ekanami, Sada ek Allah, Bhagwan, GOD ki hi yaad me rahe, aur kuch yaad na aaye.
Aaj ke din Islam dharam me log bahut hi khusi se yeh tyohar manate hai, sab jagah lights se decorate karte hai, tarah ke pakwan banate hai. Aur ibadat ke baad khana garibo me bat dete hain. Kabristan me bhi vishes light se sajaya jata hai, aur apne karibi rishtedaro ke kabro par vishes chirag jalate hai aur unke liye bhagwan se pray, मगफिरत की दुआंए karte hai.
Dosto ek aur manthan chala ki hamare sabhi dharmo me rato ka hi jikar kyo aata hai. Bhagwan kahte hai ki kab dunia me pap charo taraf badh jata hai tabhi wo aate hai aur iss pap ki dunia ko punya ki dunia(heaven) banate hai. Bhagwan iss ghor andhkar rupi ratri me hi aate hai.
Yaha ratri se matlab hai ki pap ki dunia. Ratri me hi jayada pap or gunah hote hai. Bhagwan kahte hai ki jab yeh pap charo taraf badh jata hai, log mujhe bhul jate hai, ek dusre se ladte jhagadte hai, property ke liye ek dusre se ladte hai, nariyon par atyachar karte hai, charo taraf pap ka bolbala hota hai, tab main aata hu aur iss dunia ko pap(rawan, maya, asur, rakshas, dait) ke changul se chhudate hai. Ab bhagwan hame inse kaise chhudate hai? kya koi chamatkar karte hai? (Iska pura gyan lene ke liye, aap Brahma Kumaris ke koi bhi najdiki centre par aaye, ya online contact kare).
Bhagwan Hamare Gunaho ko Maaf kyo kar dete hai?
Dosto phir mera manthan chala ki akhir kyo bhagwan hamare gunaho ko maaf kar dete hai. Bhagwan kitne dayalu hai. Wo Kehte hai, ki tum kitne bhi kharab se kharab pap, gunah kar ke mere paas aa jao, mujhe pyar se yaad karo, mere se maffi mango toh main tumeh maaf kar deta hu. Dosto iss baat ko hame aaj samjhna hoga, akhir yeh sab kaise hota hai.
Ham pehle loukik court me jate hai, jab ham koi pap, gunah ya illegal work karte hai toh hame police pakad kar le jate hai aur jail me band kar dete hai phir court me pes kiya jata hai aur mukadma chalta hai aur hame phir hamare gunaho ki saja di jati hai. Isse kya hota hai, ham jail me band ho jate hai ya phir phasi me latka diye jate hai. Jail me band hone ke baad toh kaidi ke ander aur bhi badle ki bhawna jag jati hai aur jail se nikalne ke baad wo aur bhi jyada pap karta hai. Kuch log sudhar bhi jate hai, unko apne kiye gaye papo ka regret hota hai aur seriously bhagwan se, wo sabhi logo se mafi mangte hai aur saja kat kar jail se nikal jate hai aur phir wada karte hai ki phir kabhi bhi pap nahi karge.
Dosto hame samjh aa gaya ki bhagwan jo parampita hai, godfather hai hame hamare kiye gaye gunaho ko maaf kyo kar dete hai. Wo Maaf kar dete hai jab ham pure dil se bhagwan ki sharan me chale jate hai aur bhagwan se wada karte hai ki bhagwan main kabhi bhi mansha, wacha, karmana apvitra nahi banuga. Main pura pavitra(holy) bankar dikhaoga. Kabhi kisi ke liye wrong thinking nahi laoga, kisi ko dukh nahi doonga. Koi galat karam nahi karuga aur hamesha aapki ibadat, pray, dua karuga.
Apne ander good 16 virtues(pavitrata, madhurta, harshitmukhta, santushtta, paropkar, niymitta, udarta, nmrata, prem, kshamashil, subh bhawna, sahanshilta, imandari, aagyakari, ramnikta aur dhairyata) dharan karuga. Tabhi bhgwan hamare gunaho ko maaf kar dete hai. Dosto mujhe lagta hai ki bhgwan unhe kyo maaf karege jo ek baar mafi mangkar, bar bar gunah, pap karta hi jata hai aur bar baar mafi mangne pahuch jata hai.
Dosto aap sabhi bhi apna manthan-chintan jarur comment me likhe. Aap kya sochte hai. Yeh sochna bahut jaruri hai ki akhir ham ibadat kyo kar rahe hai, kyo bhagwan ko yaad, pray, dua kar rahe hai. Isse kya hoga? Hame kya kya prapti hogi. Taki jo log nahi karte hai, wo isse jaan sake.
You can visit my website www.NegativeToPositives.com for reading motivational and inspirational articles. I have written many articles on GSEHealth.com also.
Related Post:
Healthy Tips Mentally ill Mind Negative Thinking
Achieving Happiness Through Rajyoga Meditation
How Do I Give Up Any Bad Habits?
No comments:
Post a Comment