Amazon

Why are school days unforgettable?

Why are school days unforgettable?


Om Shanti all peaceful and divine souls, 

Ek school friend ne mujhe facebook par tag kiya aur usme post me likha:
This is a Fact That The School Life is The Best Part In a Person's Life & It is also a Fact that ' Its Unforgettable too, And These Three Words have a Great Relation & Bounding Among Them Because a School Life is always Unforgettable for Everyone, Either It is Good or Bad but its Always Unforgettable No one Can Forget hIs/her School Days. Miss you all my batchmates ....

Why are school days unforgettable? School days unforgettable kyo hote hain?

Why are school days unforgettable?

According to me, Hame Sochna hai, kyo yeh unforgettable hai?

School days, jo bachpan se shuru hua, chhotepan se. Bachpan me bacche bhole hote hai, bhole bacche bhagwan ko bhi pasand hai isliye wo bholenath hai. Jaise Jaise bade hote jate hai, iss sansar se judte chale jate hai. Aur wo bholapan gayab ho jata hai. School days me ham bacche bahut bholepan se without any selfish, logo se behave karte hai. Baccha bhagwan ka rup hota hai. Bacche man ke sacche hote hai. Lekin yeh uss famay feel nahi hota hai. Jab ham bade ho jate hai aur sansari moh maya me, vinashi chizo me, kam krodh, lobh, moh aur ahankar me itne masgul ho jate hai ki ham apne banaye hue chkraview me hi phaste chale jate hai aur dukhi hone lagte hai tab hame feel hota hai ki ham bade kyo ho gaye, ham toh bacche hi thik the. Ham bade kyo ho gaye. Bada hokar bahut responsibilities aa jate hain, lekin shakti khatam hone lagte hai kyoki ham lagatar life me girte hi chalte jate hain. Jis chiz me sukh dhoondh rahe hai waha toh sukh hai hi nahi. Paisa rahte hue bhi ham kisi ki jaan nahi bacha sakte. Aisa nahi hai ki responsibilites aayi hai toh usko nibhana nahi hai, Usko hame srimat anusar, bhagwan ki mat par, dharam ke according nibhana hai. Taki ham kisi ko bhi dukh na de aur yaha tak ki apne aap ko bhi dukh na de. Hame dukh tab hota hai jab ham kisi ko dukh dene ka sankalp bhi karte hain. Isliye dukhi ho jate hain. Aur jav dukhi hote hai tab ham sukh ke dino yaad karte hai ki wahi thik tha. 

Lekin Sukhi ke din hai toh dukh ke bhi din hai. Sukh aur dukh toh aana hi hai. Sukh bhogte hai toh dukh kaun bhogega. Dukhi hokar ham bhi bhagwan ko yaad karne lagte hai.

Phir jab dukhi hota hai, phir bhagwan(apne godfather) ki yaad aati hai aur unhe yad karne lag jate hai ki "vishay vikar mitao pap haro deva". Hame Mukti do, shakti do, shanti aur sadgati do. 

Isliye school days unforgettable hai, uss samay padhai karte hai aur kisi chiz ka chintan nahi rahta hai, sab ma baap par purn rup se aashrit hote hain.

Aab bhagwan kahte hai, main aata hau, tumeh patit se pawan banane, aur tumeh sacha sacha geeta gyan padhata hu, tumeh padhai karke purusharth karna hai, aur apne vikaro par jeet pana hai, tab tumeh main mukti jeevan mukti de doonga. And This is the circle of lives. Satopradhan, sato, rajo, tamo.

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.