Amazon

Brahma kumaris Murli Manthan 30-04-2020

Brahma kumaris Murli Manthan 30-04-2020

"मीठे बच्चे - बाप की श्रीमत तुम्हें सदा सुखी बनाने वाली है, इसलिए देहधारियों की मत छोड़ एक बाप की श्रीमत पर चलो"

प्रश्नः-

किन बच्चों की बुद्धि का भटकना अभी तक बन्द नहीं हुआ है?

उत्तर:-

जिन्हें ऊंच ते ऊंच बाप की मत में वा ईश्वरीय मत में भरोसा नहीं है, उनका भटकना अभी तक बन्द नहीं हुआ। बाप में पूरा निश्चय न होने के कारण दोनों तरफ पांव रखते हैं। भक्ति, गंगा स्नान आदि भी करेंगे और बाप की मत पर भी चलेंगे। ऐसे बच्चों का क्या हाल होगा! श्रीमत पर पूरा नहीं चलते इसलिए धक्का खाते हैं।

Mujh Aatma ka murli manthan

Baba aaj murli me kahte hai mithe bacche, baap ki srimat se tum hamesha ke liye sukhi ban jate ho. Rawan tumeh dukh deta hai. Check karo, attention rakho, kahi maya ulta karam toh nahi karwati hain. Jab check karte hai aur attention rakhte hai toh maya ulta karam nahi karwa sakti. Jis par baap ki kshatrachaya hoti hai uss par maya ki chhaya nahi padti. 

Attention toh rakhna pade. Attention rupi guard ko duty par laga ke rakhna hai. Yeh tamopradhan dunia hai yaha guard nahi rakhege toh chori ho gayega. Waha satyug me chori nahi hoti. Matlab ham aatmao ko sampuran stage satyugi life hai. Waha sabhi aatmaye hi pavitra hai. Bharpur hail. Baba aaj swarg ke bare me kahte hai waha toh tamba, loha, pital nahi hote hai, sone ke hi sikke hote hai. Jab ghar hi sone ka banate hai. Waha kisi kchiz ki kami nahi hoti, waha pura dhan bharpur rahta hai, ginti ka nahi hai. Isliye attention rakho mind par. 

Mind ko attention doge toh khud hi sahi raste chalne lagega. Jiska mind shant hoga wahi mansa sewa bhi kar payega. Baki toh mansa sewa karne ka fayda nahi hota. Baba kahte hai jo mansa sewa karte hai usko kalp me kabhi bhi mansik rog nahi hote. Mind me waste thought aana hi bimari hai. Isse bahut bimari hote hai. Aur hamare mind me jo emotional disbalance hote hai usse tarah ke bimari hote hai jaise cancer, foda, funsi, kodh etc. 

Isliye Bhagwan kahte hai ki mithe bacche, bap ko yaad karo. Yaad se hi yeh mind control hona shuru hoga. Aur mind peaceful hoga. Idhar udhar wyart nahi jayega. Apne ko deh samjhte hai isliye dehdhari taraf najar jati hai. Baba kahte hai ki iss samay sab pura deh-abhimani ho gaye hai isliye rogi ho gaye hai. Baba kahte hai, jo dehi abhimani hota hai wo nirogi aur tandurust hota hai. Isliye dinbhar me yeh stage rahe apne ko aatma samjhe aur ruhani dhandha karte rahe.

Baba kahte hai jisko rog hai usko toh prahez toh karna hoga, bina prahez bimari kaise thik hogi. Sabhi aatmao ko deh abhiman ka rog ho jata hai jo yog se thik hota hai. Baba aaye huye hai hame sahaj rajyog sikhane jo hame iss rog se mukti dilayega.

Aaj ki murli se hame ye dharan karna hai ki tera mera ke chakkar me nahi padna hai. Ham devta ban rahe hain. Bus hame dete jana hai. Aur dusro ko aap saman banane ki sewa karni hain. Ek baap dusra na koi. Mann toh bachcha hi jee, man kuch bhi mangega jo uske liye thik nahi hoga. Toh bacche ko pyar se samjhaya jata hai, uska dhyan bhatkaya jata hai taki wo uss wrong direction m na jaye aur sahi disha m jaye. 

Baba ne kha ki check karo, khana-pina satwik hai. Lobhi toh nahi hai. Devtaye lobhi hote hai kya?

Baba kahte hai vardan me, mithe bache, gyan sunna alag chiz hai aur gyan ke prayog karna vigyan kahlata hai. Kitna bhi logo toh gyan se shant karwao, lekin apne practical life se aap unko second me parivartan kar sakte ho.

Slogan me baba bole, aatma ko uzwal banana hai toh parmatma ki smriti se mann ke uljhano ko samapt karo. Mann ke uljhan bhagwan ki yaad se samapt honge. Mann ko pehle attention dekar thoughts ko control karna hai phir usse rasta batana hai. Wo ussi raste par chalega.

Om Shanti
Thank You Baba
Wah Baba Wah

Check out my contents:

Negative Effects Of Social Media On Students Academic Performance

Q/A With BK Ravi Kumar

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.