Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 24-04-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 24-04-2020

"मीठे बच्चे - सर्वोत्तम युग यह संगम है, इसमें ही तुम आत्मायें परमात्मा बाप से मिलती हो, यही है सच्चा - सच्चा कुम्भ"

प्रश्नः-

कौन-सा पाठ बाप ही पढ़ाते हैं, कोई मनुष्य नहीं पढ़ा सकते?

उत्तर:-

देही-अभिमानी बनने का पाठ एक बाप ही पढ़ाते हैं, यह पाठ कोई देहधारी नहीं पढ़ा सकता। पहले-पहले तुमको आत्मा का ज्ञान मिलता है। तुम जानते हो हम आत्मायें परमधाम से एक्टर बन पार्ट बजाने आये, अभी नाटक पूरा होता है, यह ड्रामा बना बनाया है, इसे कोई ने बनाया नहीं इसलिए इसका आदि और अन्त भी नहीं है।

Mujh Aatma Ka Anubhaw

Daily ki tarah hi aaj bhi main Brahmamurhut ke yog ke liye baitha. Yog me vishes anubhuti hui. Yog ke baad main murli padhne baitha apne yugal ke sath. Yugal bhi subah subah uth jati hai aur wo bhi murli sunti hai 4.45 am to 5.15 am. Aur murli me daily baba hame bahut pyar dete hai.

Baba(Bhagwan) murli start karte hai mithe baccho se. Ham sabko Baba mithe bacche bolte hai. Baba kisi se bhedbhaw nahi sabko ek jaisa pyar karte hai. Baba ne aaj murli ki heading main hi samjha diya ki 

"मीठे बच्चे - सर्वोत्तम युग यह संगम है, इसमें ही तुम आत्मायें परमात्मा बाप से मिलती हो, यही है सच्चा - सच्चा कुम्भ"

Mithe bacche, yeh jo yug hai, yeh sabse aacha yug hai. Kyo hai? kyoki iss yug me mere bhagwan, baba mere sath hai. Ham bacche unse direct padh rahe hai aur pavitra pawan ban rahe hai. 4 yug hote hai, aisa hamne suna tha, lekin iss naye yug ke bare me jankar bahut hi jyada khusi hui aur ham iss yug me jee rahe hai. Baba ke sath ka anubhaw kar rahe hai. Issi yug me baba ham baccho se milte hai. Issi ko saccha khumh kha jata hai jaha sangam hota hai aatmao ka parmatma se. Parmatma ek hai aur wo patio ka pati hai.

Baba question karte hai ki 

कौन-सा पाठ बाप ही पढ़ाते हैं, कोई मनुष्य नहीं पढ़ा सकते?

Kaun sa padh hai jo tumhe baap hi padhate hai. aur koi padha nahi sakta. Itne guru kiye lekin yeh padh hame direct bhagwan hi aakar padhate hai. 

देही-अभिमानी बनने का पाठ एक बाप ही पढ़ाते हैं, यह पाठ कोई देहधारी नहीं पढ़ा सकता। पहले-पहले तुमको आत्मा का ज्ञान मिलता है। तुम जानते हो हम आत्मायें परमधाम से एक्टर बन पार्ट बजाने आये, अभी नाटक पूरा होता है, यह ड्रामा बना बनाया है, इसे कोई ने बनाया नहीं इसलिए इसका आदि और अन्त भी नहीं है।

Baba jawab dete hue kahte hai ki bacche iss drama me baba aakar tumeh yeh padh pakka karate hai ki tum ek aatma ho jo abhinashi hai. Yeh sharir nahi ho jo vinashi hai. Yeh drama ka ant aab najdik hai. Yeh natak ab pura hota hai. Yeh hamara antim janam hai. Kyoki iss janam me baba mil gaya aur hame patit se pawan bana rahe hai. Hamare sanskaro ko parivartan kar rahe hai. Hamare sanskar pawan ban rahe hai, aur hamare karma divine ho rahe hai. Pura pawan bankar ham swarg jo pawan duniya hai waha chale jayege. Baba ne aaj bahut hi gahri baat phir se samjha di ki yeh drama anadi hai, iska na aadi hai aur na ant hai. Yeh drama ko bhagwan ne nahi banaya hai.  Bhagwan ka kaam toh kewal iss purani duniya ko naya banana hai. Yeh srishti drama kewal nayi se purani aur purani se nayi hoti hai aur yeh nirantar chalta rahta hai.

Shari budha hua aur yeh bhi drama hai

Phir baba ne kha ki Tum ho ruhane pande, panda ka kya kaam hota hai. Panda ka kam guide ka hai, sabhi aatmao ko parmatma se najdik lana. Sabko madad dena taki wo parmatma se najdik aa sake.



Murli padhne ke baad main aatma baba ki yaad me dudh lane ki sewa main jata hai toh waha ek aatma laxman bhai hai. Waha gyan manan chintan karte hai aur manan chintan ke samay bahut hi aachi baat nikal kar aayi. Hamne YOG NINDRA ke bare me discuss kiya ki kaise bade bade scientist iska isstemal karte the aur naye naye khoj karte the. Baba bhi kabhi sote nahi the, wo hamesha yog nindra me rahte the. Yog nindra wo stage hoti hai jab hamari atma upper GOD se connected hoti hai. Aur wo nind ki sabse high stage delta stage hoti hai. Uss stage m hamare aatma pure universe se connected ho jati hai.

Yog nindra me hui vishes khoj, yeh class jarur sune.


Phir aaj baba dharma main bole ki bacche, hear no evil. Kano se kuch bura mat suno. Toh kya suno, sirf hame gyan murli sunna hai aur iss par dinbhar manan chintan karna hai.

Holy Geeta ke ek chapter ka maine video dekha tha, usme bhagwan kahte hai ki practice ke sath sath vairagya bhi chahiye. Bhagwan kahte hai ki sab taraf se buddhi yog hatakar ek baap ko yaad karo. Dehi abhimani bano, matlab apke ko hamesha samjho ko main aatma likh rahi hu iss sharir me awtarit hokar. Main aatma dekh rahi hu iss ankh khidki se. Sun rahi hu, iss kan khidki se. Wo jo sharir ki smriti hai, usko bhul jao. Yahi dukh ka karan hai. Yeh dunia tamopradhan hai, isliye issme rahte hue upram, kamal phool saman rahe. Buddhi sada upar rakhe. Koi bhi karam kare, sada upram.

Phir baba ham aatmao se kehte hai ki last stage main deri kyo, kyoki apna sankalp chalate hai. Pehle ager bhagwan ko yaad kare, aur follow father kare toh kaphi bachat(saving) ho jayegi. Ek businessman hamesha saving par dhayan dete hai. Aur jab ham koi bhi karam main follow father kar lete hai toh hamare samay aur sankalp bacch jate hai aur jama ka khata badhta hai. Har baat m apne se puche ki mere jagah bhagwan hote toh kya sochte, bolte aur karte. Iss tarah ham follow father ke vardan dwara kaphi saving kar sakte hai.

Phir baba slogan me bole, ki sachai aur safai ko dharan karna hai toh apne swabhaw ko saral banao. Swabhaw bahut hi saral hona chahiye tabhi hamare life me sachai aur safai hoga. Matlab jaise ki main aatma bilkul down to earth hu. Mujhe koi galat bhi bola toh main yah samajh raha hu ki wo aatma kamjori ke karan aisa kha. Usse main aur pyar du taki wo aatma strong ho. Usko main heal karu. 

सरल स्वभाव का मतलब

Jab kisi ne galat kha ya mujh par hath uthaya, main bahut saral swabhaw ka hu toh maine bardast kar liya. Aur maine bhagwan ko kha ki bhagwan iske sanskar ko parivartan kare. Iss par raham kare. Usne apne sanskar ke karan hi gussa kiya mujh par aur hath uthaya. Gussa karna bhi ek mental disease hai. Hame sochna hai ki jo gussa kiya wo toh khud bimar hai, aur bimar aadmi se ham kitna pyar se batt karte hai. Usko pyar ki jarurat hai. Ispar log sochte hai ki yeh aatma shaktihin hai. Jiska swabhaw saral hai wahi toh devi-devta hai. Devi-devtao ka swabhaw kitna saral hota hai. Wo jyada nahi sochte hai. Har baat par bade raham bhaw se dekhte hai. Isliye log kah dete hai devi-devtao ko yeh toh bhagwan hai, ya bhagwan jaise hai. Jiski rachna itni sunder hai toh wo kitna sunder hoga. Bhagwan ko prem, sukh, anand, gyan, pavitrata, shanti, shakti ke sager hai. 

Phir sachin bhai kahte hai ki, sirf murli sunne se kya hoga, uss par manan chintan kiya tab kuch murli se kuch prapti hogi jo avinashi hogi. Jaise dudh ko matha jata hai toh malai aur malai se phir ghee ban jata hai.

Aaj avyakt murli padhte samay vishesh anubhuti hui ki baba kahte hai aap bacche bi silence ma jate ho aur vishesh anubhaw karte ho. Aur science wale bhi uss stage par jakar nayi nayi khoj karte hai. Phir mujhe sankalp aaya ki abhi tak Coronavirus ki vaccine kyo nahi khoj hui. Phir main aatma baba se yog me connect hokar sabhi scientists, doctors aur sabhi helping hand souls ko emerge karke sabko vishesh baba ka light aur might aur sarwa shaktiyon ki kirne unko diya. Unko positive sankanlp aur power diya baba ne aur yeh sanklap kiya ki ab bahut hi jaldi coronavirus ki vaccine ban jayegi, aur yeh bani hi padi hai bus usse puri dunia ke samne lana hai. Baba ne sabko nimit banaya hai. Aur uss vaccine se puri dunia iss virus se bach jayegi.

Om Shanti By Heart

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.