Amazon

Brahma Kumaris Murli Manthan 01-05-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 01-05-2020

"मीठे बच्चे - अनेक देहधारियों से प्रीत निकाल एक विदेही बाप को याद करो तो तुम्हारे सब अंग शीतल हो जायेंगे”

प्रश्नः-

जो दैवीकुल की आत्मायें हैं, उनकी निशानी क्या होगी?

उत्तर:-

दैवी कुल वाली आत्माओं को इस पुरानी दुनिया से सहज ही वैराग्य होगा। 2- उनकी बुद्धि बेहद में होगी। शिवालय में चलने के लिए वह पावन फूल बनने का पुरूषार्थ करेंगे। 3- कोई आसुरी चलन नहीं चलेंगे। 4- अपना पोतामेल रखेंगे कि कोई आसुरी कर्म तो नहीं हुआ? बाप को सच सुनायेंगे। कुछ भी छिपायेंगे नहीं।

Mujh Aatma ka Manthan

Baba aaj kahte hai bacche, ek baap ko yaad karo, tabhi vikram vinash honge. Yaad se yog agni paida hoti hai. Yog aagni me sari deh bhan rupi apavitrata jal ke rakh ho jati hai. Jaise Shankar jee ne kamdev ko apne tisre aankh se nikali agni se vinash kar diya tha. Iske piche kya rahshya hai. Jab bhagwan aate hai toh hame sacha sacha geeta gyan sunate hai aur sahaj rajyog sikhate hai jisse ham aatmao ki buddhi rupi netra khul jati hai aur uss buddhi me yog agni paida hokar kam, krodh, lobh, moh, ahankar ko jalakar khakh kar deti hai. 

Baba kahte hai ki bache sari dunia ko yaad na karke ek videhi baap ko yaad karo. Sari dunia se kya mila aajtak, dukh hi dukh milta hai. Yeh dunia vinashi hai. Ek GOD, bhagwan jo videhi hai, unko buddhi se apne ko aatma samjh yaad karne se tumhare sare ang shital ho jayege. Sari karamindriyan shital ho gayegi. YOG me power hain. YOg me kami nahi honi chahiye. Gyan aur yog ka balance rakhna hai. Gyan sunna hai usse yog me anubhaw karna hai. Sirf gyan hi gyan sun rahe hai, padh rahe hai usse vikram vinash nahi honge. YOG karna jaruri hai. Mujh aatma ka yog ka time:

3.30 se 4.45 am (bahut jald hi, jald kya aaj se hi 2am se akhand yog karna chalu karege)

4.45 se 5 am (Mansa Sewa)

5 to 5.30 am (murli reading for sewadhari)

5.30 se 6.30 am(ruhani exercise, karamyog)

6.30 se 7 am(karam yog)

7 se 8 am(murli class with ruhani baba ki yaad, apne ko aatma samjh)

8 se 9 am(karamyog)

9 se 10 ( breakfast, baba ki yaad me, karamyog)

10 se 1 pm(karamyog, traffic control 2 times)

1 se 1.30 pm(lunch with baba ki yaad)

1.30 se 3.30 pm( yog, murli reading, avyakt murli reading, ruhani drill)

3.30 se 5.30 (karamyog)

5.30 to 6 (ruhani walk, mansa sewa, yog)

6 to 8 (karamyog, numasham, class)

8 to 8.20 pm (dinner with baba)

8.20 to 8.40 pm (murli reading)

8.40 to 9 pm(karamyog)

9 to 10 pm(murli revise, avyakt murli reading, yog, ruhani drill)

This yog chart, I am following. Baba kahe hai, hamesha ishwariya maryada follow karo toh maryada purushottam ban jayege.

Main Param Pavitra Aatma Hu - I Am A Pure Soul

Main Param Pavitra Aatma Hu - I Am A Pure Soul
Manthan

Main Param Pavitra Aatma hun, aisa ham kahte hai. Param pavitra kaun hote hai. Shiv Baba. Yeh bahut uncha swaman hai. Matlab ham aatmaye baap saman param pavitra banne ja rahe hai. Ussi ka purusharth kar rahe hai. Ham sab aatmaye purusharthi hain. Aur param pavitra aatma banne ka purusharth kar rahe hai. Iss swaman se hame sada yeh smiriti rahegi ki ham pavitra soul hai. Aur ham ussi anurup bante jayege.

Sachcha Pyar

http://www.gwssamadhan.org/2016/12/31/brahmacharya-benefits-celibacy-benefits-youth-problems/




Brahma kumaris Murli Manthan 30-04-2020

Brahma kumaris Murli Manthan 30-04-2020

"मीठे बच्चे - बाप की श्रीमत तुम्हें सदा सुखी बनाने वाली है, इसलिए देहधारियों की मत छोड़ एक बाप की श्रीमत पर चलो"

प्रश्नः-

किन बच्चों की बुद्धि का भटकना अभी तक बन्द नहीं हुआ है?

उत्तर:-

जिन्हें ऊंच ते ऊंच बाप की मत में वा ईश्वरीय मत में भरोसा नहीं है, उनका भटकना अभी तक बन्द नहीं हुआ। बाप में पूरा निश्चय न होने के कारण दोनों तरफ पांव रखते हैं। भक्ति, गंगा स्नान आदि भी करेंगे और बाप की मत पर भी चलेंगे। ऐसे बच्चों का क्या हाल होगा! श्रीमत पर पूरा नहीं चलते इसलिए धक्का खाते हैं।

Mujh Aatma ka murli manthan

Baba aaj murli me kahte hai mithe bacche, baap ki srimat se tum hamesha ke liye sukhi ban jate ho. Rawan tumeh dukh deta hai. Check karo, attention rakho, kahi maya ulta karam toh nahi karwati hain. Jab check karte hai aur attention rakhte hai toh maya ulta karam nahi karwa sakti. Jis par baap ki kshatrachaya hoti hai uss par maya ki chhaya nahi padti. 

Attention toh rakhna pade. Attention rupi guard ko duty par laga ke rakhna hai. Yeh tamopradhan dunia hai yaha guard nahi rakhege toh chori ho gayega. Waha satyug me chori nahi hoti. Matlab ham aatmao ko sampuran stage satyugi life hai. Waha sabhi aatmaye hi pavitra hai. Bharpur hail. Baba aaj swarg ke bare me kahte hai waha toh tamba, loha, pital nahi hote hai, sone ke hi sikke hote hai. Jab ghar hi sone ka banate hai. Waha kisi kchiz ki kami nahi hoti, waha pura dhan bharpur rahta hai, ginti ka nahi hai. Isliye attention rakho mind par. 

Mind ko attention doge toh khud hi sahi raste chalne lagega. Jiska mind shant hoga wahi mansa sewa bhi kar payega. Baki toh mansa sewa karne ka fayda nahi hota. Baba kahte hai jo mansa sewa karte hai usko kalp me kabhi bhi mansik rog nahi hote. Mind me waste thought aana hi bimari hai. Isse bahut bimari hote hai. Aur hamare mind me jo emotional disbalance hote hai usse tarah ke bimari hote hai jaise cancer, foda, funsi, kodh etc. 

Isliye Bhagwan kahte hai ki mithe bacche, bap ko yaad karo. Yaad se hi yeh mind control hona shuru hoga. Aur mind peaceful hoga. Idhar udhar wyart nahi jayega. Apne ko deh samjhte hai isliye dehdhari taraf najar jati hai. Baba kahte hai ki iss samay sab pura deh-abhimani ho gaye hai isliye rogi ho gaye hai. Baba kahte hai, jo dehi abhimani hota hai wo nirogi aur tandurust hota hai. Isliye dinbhar me yeh stage rahe apne ko aatma samjhe aur ruhani dhandha karte rahe.

Baba kahte hai jisko rog hai usko toh prahez toh karna hoga, bina prahez bimari kaise thik hogi. Sabhi aatmao ko deh abhiman ka rog ho jata hai jo yog se thik hota hai. Baba aaye huye hai hame sahaj rajyog sikhane jo hame iss rog se mukti dilayega.

Aaj ki murli se hame ye dharan karna hai ki tera mera ke chakkar me nahi padna hai. Ham devta ban rahe hain. Bus hame dete jana hai. Aur dusro ko aap saman banane ki sewa karni hain. Ek baap dusra na koi. Mann toh bachcha hi jee, man kuch bhi mangega jo uske liye thik nahi hoga. Toh bacche ko pyar se samjhaya jata hai, uska dhyan bhatkaya jata hai taki wo uss wrong direction m na jaye aur sahi disha m jaye. 

Baba ne kha ki check karo, khana-pina satwik hai. Lobhi toh nahi hai. Devtaye lobhi hote hai kya?

Baba kahte hai vardan me, mithe bache, gyan sunna alag chiz hai aur gyan ke prayog karna vigyan kahlata hai. Kitna bhi logo toh gyan se shant karwao, lekin apne practical life se aap unko second me parivartan kar sakte ho.

Slogan me baba bole, aatma ko uzwal banana hai toh parmatma ki smriti se mann ke uljhano ko samapt karo. Mann ke uljhan bhagwan ki yaad se samapt honge. Mann ko pehle attention dekar thoughts ko control karna hai phir usse rasta batana hai. Wo ussi raste par chalega.

Om Shanti
Thank You Baba
Wah Baba Wah

Check out my contents:

Negative Effects Of Social Media On Students Academic Performance

Q/A With BK Ravi Kumar

Brahma Kumaris Murli Manthan 29 April 2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 29 April 2020

"मीठे बच्चे - तुम्हारा यह ब्राह्मण कुल बिल्कुल निराला है, तुम ब्राह्मण ही नॉलेजफुल हो, तुम ज्ञान, विज्ञान और अज्ञान को जानते हो"

प्रश्नः-

किस सहज पुरूषार्थ से तुम बच्चों की दिल सब बातों से हटती जायेगी?

उत्तर:-

सिर्फ रूहानी धन्धे में लग जाओ, जितना-जितना रूहानी सर्विस करते रहेंगे उतना और सब बातों से स्वत: दिल हटती जायेगी। राजाई लेने के पुरूषार्थ में लग जायेंगे। परन्तु रूहानी सर्विस के साथ-साथ जो रचना रची है, उसकी भी सम्भाल करनी है।



Mujhe Aatma Ka Manthan

Baba kahte hai mithe pyare sikiladhe bacche main aatma hu inke(brahma) ke tan me tumeh patit se pawan banane. Main grabh me nahi aatma. Main toh janam maran se nyara hu na. Mera kam(dhandha) hi hai tum aatmao ko patit se pawan banane ka. Mere se dhandhe(loukik) ke bare me discuss mat karo. Wo brahma se karo, wo batayege tumhe ki kis parithithi me kya karna hai. Kyoki sare tufan pahle inko aate hai, yeh sab tufano ko bade aasasni se khusi se par kar jate hai. Isliye toh inka pad sabse uncha hai. Tum inse discuss karo aur maya par jeet pao. Baba ko matlab hai bus patit se pawan kaise banaye. 

Baba tarah tarah ki yukti batate hai ki iss maya par kaise jeet pao. Brahmano ki mala nahi ban sakti ha. Kyo? Kyoki tutte rahte hai, maya brahmano ko todti rahti hai. Kabhi udti kala me kabhi girti kala me jate hai. Upper niche hote rahte hai. Isliye abhi mala nahi ban sakta. Jab final pura sampuran ho jayege toh rudra mala banegi. Vishnu ki mala main ayege. Aur swarg ka rajyabhag paoge numberwise. sab toh unch pad nahi pa sakte hai. Isme pursharth anusan numberwar ho jata hai. 

Phir baba kahte hai shiv baba brahma ke tan me aakar farman sunate hai ki bacche mamekam yaad karo, yaad se mukti jeevan mukti ko paoge. Yaad se hi maya par jeet paoge. 

Phir baba kahte hai ki mithe bacche antarmukhi sada sukhi. Antarmukhi bano aur phir sada sukhi ho jao. Kal bhi baba antarmukhi banne bole the. Jo antermukhi hota hai, ussko maya chhu nahi sakti hai. Jaise Kachhua ka example diya jata hai, wo problem aane par apna muh ander kar leta hai aur aane wali problem se par ho jata hai. Jab dekhta hai ki problem nikal gaya tab apna muh phir bahar karta hai. Ham brahman bacche bhi antermukhi bane aur maya se jeet paye. 

Baba ne aaj kha ki mithe bacche, apne ruhani sewa me lag jao, jab time mile, ruhani sewa karni hai. Yeh kaun hi sewa hai?

Ruhani(Ruh, aatma ki sewa). Baba kahte hai bacche baba patit aatmao ko pawan banane ki sewa karta hai, tum bacche bhi patito ko pawan banane ki sewa me lage raho. Bhal tumhare bacche hai toh uski palna bhi karo. Puri responsibilities nibhao, pyar se unki palna karo. Sab toh madhuban nahi aa sakte na. Ruhani sewa wahi rahkar karo, jaha ho wahi sewa karo. Baccho ko gyan sunana, yog karana. Gyan yog ke sanskar dena. Apne yugal ko, loukik ma baap, bhai, bahan sabhi ko pavitra banane ki ruhani sewa karni hai. Sabko gyan sunao, aaj baba kya bole hai. Aur ek din sabhi us routine ko follow karte hue baba se gyan sunne lagege. Aur pavitra banege. Yahi toh sewa hai tum baccho ko sangam yug me. Kitna ruhani sewa karte ho? Kha busy rahte ho? Shuruwat ghar se hi karni hai. 

Phir baba bole ki mithe bacche, vijay ka nagada pure viswa me tabhi bajega jab tum sab brahmano ko sabhi sankalp ek ho gayege. Ekras honge. Jaise govardhan parwat dikhaya hai, sabhi ne ek hokar ekta se uss bade parwat ko uthaya hai. Jab yeh sanskar tum sabhi brahmano main ho jayege tab pure viswa me vijay ka nagada baj jayega aur phir tum swarg ne pravesh kar jaoge.  Aaj ka swaman hai ki main vijay ratan aatma hu. Vijay ham baccho ki nishchit hain. Safalta hamara janamsidh adhikar hain. Tum vijay nahi hoge toh kaun hoga kaurav? Rawan? Bolo...

Baba ne aaj swaman main bataya ki mithe bacche, tum sresth purushart karte ho. Agar sresth purusharth me kami aa rahi hai, tum thak rahe ho toh yah bhi aalashya ki nishani hain. Isliye athak bano. Athak sewadhari. Tum sabhi sresth aatma ho. Jiske sath swayang bhagwan hai wo kaise thak sakta hain.

Om Shanti By Heart To All Children Of GOD
Thank You Baba, Thank You

I have written some articles, you can check out:

Follow us at: https://medium.com/@gsehealth/ 

Can we change negative scenes into positive?

जैसा बीज बोयेगे वैसा फल खायेगे || जैसा कर्म होगा वैसा फल पाओगे || GSE Motivation




Brahma Kumaris Murli Manthan 28-04-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 28-04-2020


"मीठे बच्चे - अब यह नाटक पूरा होता है, तुम्हें वापिस घर जाना है, इसलिए इस दुनिया से ममत्व मिटा दो, घर को और नये राज्य को याद करो"

प्रश्नः-

दान का महत्व कब है, उसका रिटर्न किन बच्चों को प्राप्त होता है?

उत्तर:-

दान का महत्व तब है जब दान की हुई चीज में ममत्व न हो। अगर दान किया फिर याद आया तो उसका फल रिटर्न में प्राप्त नहीं हो सकता। दान होता ही है दूसरे जन्म के लिए इसलिए इस जन्म में तुम्हारे पास जो कुछ है उससे ममत्व मिटा दो। ट्रस्टी होकर सम्भालो। यहाँ तुम जो ईश्वरीय सेवा में लगाते हो, हॉस्पिटल वा कॉलेज खोलते हो उससे अनेकों का कल्याण होता है, उसके रिटर्न में 21 जन्मों के लिए मिल जाता है।

Brahma Kumaris Today Moti 28-04-2020


Mujh Aatma Ka Murli Manthan

"मीठे बच्चे - अब यह नाटक पूरा होता है, तुम्हें वापिस घर जाना है
Baba kahte hai mithe bacche, aab drama pura hota hai aur aab ghar jana hai. Baba ke yeh mahawakya sabko samjhna hoga. Yeh baat wahi saamjh sakte hai jo Brahma kumaris ke 7 days free Rajyoga meditation ka course kar chuke hai. App online course kar sakte hai. Visit www.brahmakumaris.com and visit online youtube channel of Brahma kumaris. Online course is available.

Baba kahte hai bacche jaise 3 ghante ki movie dekhte hai wo sach nahi hoga, wo ek drama hai. Waise hi yeh srishti drama 5000 years ki hai jisme 4 yug hote hai, satyug, tretayug, dwaparyug and kalyug. Yeh kaha jata hai ki abhi ghor kalyug chal raha hai. Aur aab yeh dunia kalyug se satyug me parivartan hone wali hai. Khud toh nahi hogi. Kalyug me kahte hai sabki buddhi bhrast ho jati hai. Aur hame apne buddhi ko hi nirmal aur pavitra banana hai. Buddhi ko hi pavitra banakar ham satyug me ja sakte hai. Baba hame sabse pehle 7 days ke rajyoga meditation course dwara sara gyan ka rahasya sunate hai. Aur phir daily murli dwara hame daily gyan sunate hai jisse hamari buddhi pavitra banti jati hai. Baba kahte hai yahi wo mahabharat ka samay hai jiske baad yug parivartan hone wala hain.

Issi drama ko baba kah rahe hai ki yeh natak aab khatam hota hai. 3 ghante ki jo loukik movie hoti hai jisme bahut sare actors hote hai jo part play karte hai. Aur jab part pura hota hai toh apne apne ghar chale jate hai. Yaha abhi yeh 5000 saal ki srishti natak me ham sab aatmaye part play kar rahe hai aur aab yeh natak pura, aur hame aab ghar jana hai. Kaun sa ghar? Paramdham(brahmlok, shantidham)

Baba kahte hai yeh tumhara apna ghar hai aur ham wahi se iss dharti par aaye hai part play karne. Ab part pura hota hai aur ham aab ghar chale jayege. Ham ghar baba ke hath pakadkar jate hai. Bhagwan khud aate hai yeh parivartan ka karya karne aur ham aatmao ko pavitra banakar ghar le jate hain. Koi apavitra aatma ghar nahi ja sakti, usse pavitra bankar hi ghar jana hai. Jaise Jutha bartan ko dhokar hi rakhte hai na. Baba kahte hai ki tumeh bhi baba dhokar hi le jayege. Kaise dhote hai hame? 

Yog se ya bhog se. Baba pehle se bata dete hai sari sawdhaniya. Agar nahi manege toh bhog karke pavitra banna hoga. Jaise baba kahte hai kam vikar dukh aashanti ki janni hai. Isliye kaam par jit pao. Lekin nahi mante hai toh last m bhogna padta hai. Toh yeh tha mujh aatma ka manthan ki aab ghar jana hai. Isliye iss vinashi dunia ko yaad mat karo aur jaha jana hota hai na ussi ko yaad karte hai. Kha jana hai? Brahmlok, swarg. Toh ussi ko yaad karna hai.


Om Shanti

Mujh Aaatma dwara likhe gaye kuch articles:

Brahmacharya: How To Be Positive While Practicing Celibacy? By My Experience.

GSE Mental Health Archives

Brahma Kumaris Sakaar Murli Manthan 27-04-2020

Brahma Kumaris Sakaar Murli Manthan 27-04-2020

"मीठे बच्चे - अपनी उन्नति के लिए रोज़ पोतामेल निकालो, सारे दिन में चलन कैसी रही, चेक करो - यज्ञ के प्रति ऑनेस्ट ( ईमानदार ) रहे ?''

प्रश्नः-

किन बच्चों के प्रति बाप का बहुत रिगार्ड है? उस रिगार्ड की निशानी क्या है?

उत्तर:-

जो बच्चे बाप के साथ सच्चे, यज्ञ के प्रति ईमानदार हैं, कुछ भी छिपाते नहीं हैं, उन बच्चों प्रति बाप का बहुत रिगार्ड है। रिगार्ड होने के कारण पुचकार दे उठाते रहते हैं। सर्विस पर भी भेज देते हैं। बच्चों को सच सुनाकर श्रीमत लेने की अक्ल होनी चाहिए।

Murli Manthan

Aaj baba ne kha ki deh bhan se upper uthna hain. Kaise Uthege? Baba ne kha ki antarmukhi bankar deh bhan se upper utho. Apne ko aatma samjho light swarup aur bahaymukhi nahi antarmukhi ho jao. Baba bhi jab sharir chhode toh ekdum upram stage and antarmukhi stage thi. Jitni bhi dadi aur didi sharir chhodi hai, sab antarmukhi stage me. 

Phir Baba kahte hai ki maya bar bar thappar laga deti hai aur phir niche ke stage me chale jate hain. Mount abu me jab upper jate hai pandaw bhawan, toh bahut unncha jana hota hai. Baba kahte hai double engine laga lo, bahut upper param dham jana hai. Yeh koi mousi ka ghar thodi hai. Double engine matlab ek brahma baba aur ek shiv baba, yeh dono engine ke sath sada upper chadna hai. Jara se kamjor padege toh gadi niche aane lagegi.

Laxman bhai sunate hai ki mumbai bahut niche(down) me basa hua hai, train jab waha jati hai toh 4 engine use hote hai. Taki train ka balance bana rahe. Bahut dhire dhire wo train ko niche le jate hai 4 engine ke madad se. Aaaj baba bole mithe bacche sada antarmukhi. 
Antarmukhi Sada Sukhi
Antarmukhi hokar raho, bahaymukhi me mat aao, bahaymukhi aakar vishay vikar moh maya yahi sab m phasoge. Aur tumhari stage niche jati jayegi. Aur Tum phir na khud ki sewa kar paoge aur na dusro ki. Aur phir post bhi kam ho jayega. Isliye baba aaj un baccho ko bol rahe the jo baccche pehle se man liye hai ki jo hoga dekha jayega. Hamko aana hi hai third class me. Aur pap karna chhod nahi rahe hai. Aise bacche maya ke vash ho rahe hai janbhujkar. Aise na soche, hamesha positive rahe. Baba toh roj aapne baccho ko kitna mithe tarike se puchkar kar uthate hai aur bacche phir maya ki nind m so jate hain. Baba baccho ki mahima karte rahete hai hame puchkarkar uthate hain.

Baba kahte hai bacche jo bacche baap se sada sachche hai wahi baccho ko baap yaad karte hai aur unko hi unch pad ki prapti hogi. Bahut bacche pap karke bhi baap se sach nahi batate hai. Baba toh uss din kahe the ki baccho ne sankalp kiya aur baba tak wo pahuch jate hain. Baba ke bada sa tv laga hai, jisme sab reflect hota rahta hai. Ma baap ko toh pata chal hi jata hai ki bacche kya kar rahe hai. Lekin jo bacche sach bata dete hai wo raham ke patra ban jate hain. Toh daily raat me potamail, letter likhna hai baba ko sab batana hai ki buddhiyog kha kha gaya, kisi dehdhariyon me toh nahi phasa. Waise bhole bacche baap ko bahut pasand aate hain.

Murli ke baad yeh video song dekha jo kabhi aacha anubhaw hua:

Maya ki Chhaya Se Bachna Zara ... (Group Dance) by



Aaina Saaf Kiya , Saaf Nazar Mai Aaya | BK Asmita | BK Song | Bk Best Meditation Song 




*Meditation क्यों करना चाहिए?*

Meditation में क्या ताकत है? साधना का क्या महत्व है....?


*जब100 लोग एक साथ साधना करते है तो उत्पन्न लहरें*
*5 कि.मी.तक फैलती है* *और नकारात्मकता नष्ट कर सकारात्मकता का निर्माण करती है।*
आईस्टांईन नें वैज्ञानिक दृष्टिकोण से कहा था के
एक अणु के विधटन से लगत के अणु का विधटन होता
है,
इसीको हम अणु विस्फोट कहते है।
यही सुत्र हमारे ऋषि, मुनियों ने हमें हजारो साल
पहले दिया था।
आज पृथ्वी पर केवल4% लोंग ही ध्यान करते है
लेकिन बचे 96% लोंगो को इसका पॉजिटिव इफेक्ट
होता है।
*अगर हम भी लगातार 90 दिनो तक ध्यान करे तो* *इसका सकारात्मक प्रभाव हमारे और हमारे परिवार पर दिखाई देगा।*
अगर पृथ्वी पर 10% लोंग ध्यान करनें लगे
तो पृथ्वी पर विद्यमान लगभग सभी समस्याओं को
नष्ट करने की ताकत ध्यान में है।
उदारहण के लिए हम बात करे तो भारत के योगी
ने सन् 1993 में वैज्ञानिकों के समक्ष यह सिद्ध
किया था।।
हुआ यू कि उन्होने वॉशिंगटन डि सी में 4000
अध्यापको को बुलाकर एक साथ ध्यान(मेडिटेशन)
करने को कहा और चमत्कारीक परिणाम यह था कि
शहर का क्राईम रिपोर्ट 50% तक कम हुवा पाया
गया।
वैज्ञानिकों को कारण समझ नहीं आया और उन्होनें
इसे
``महर्षि इफेक्ट"यह नाम दिया।
भाईयों यह ताकत है ध्यान मे।
हम हमारे भौतिक और आध्यात्मिक यश को कम से
कम श्रम करके अधिक से अधिक साध सकते है।
``जरुरत है ध्यान से स्वत: को खोजनें की"

The Spiritual Significance of Akshaya Tritiya

The Spiritual Significance of Akshaya Tritiya


According to Wiki


Akshaya Tritiya, also known as Akti or Akha Teej, is an annual spring time festival of the Hindus and Jains. It falls on the third Tithi (lunar day) of Bright Half (Shukla Paksha) of Vaisakha month. It is observed as an auspicious time regionally by Hindus and Jains in India and Nepal, as signifying the "third day of unending prosperity".

The festival date varies and is set according to the lunisolar Hindu calendar, and falls in April or May of every year in the Gregorian calendar.

In Sanskrit, the word "Akshayya" (अक्षय्य) means " money, never endingness " in the sense of "prosperity, hope, joy, success", while Tritiya means "third". It is named after the "third lunar day" of the spring month of Vaisakha in the Hindu calendar, the day it is observed.

Manthan

According to me, Hamesha ham sabhi ke paas dhan rahe, Kabhi khatam nahi ho. Dosto, dunia me aisi koi chiz nahi jo avinashi ho. Sirf Hamare ander jo aatma, parmatma aur yeh srishti drama yeh hi tino abhinashi hain. 

Toh yaha neverending money ka matlab yahi nikalta hai. Aur Iss tino ka gyan jisse ho jata hai, usse aatm gyan ho jata hai aur wo gyan abhinashi ho jata hai jo kabhi khatam nahi hoga. Jaise koi doctor banne ki padhai padhte hai aur doctor ban jate hai. Leking sabhi padhai toh padhte hai lekin doctor sab nahi bante hai. Jo doctor ki padhai ka abhyas kar lete hai aur anubhaw prapt kar lete hai wo abhinashi ho jata hai aur phir wo doctor uss gyan ko kabhi nahi bhulte hai jaise ki koi baccha 'ABCD' kabhi nahi bhulta hai. Toh gyan dhan hi aisa dhan hai jo abhinashi(neverending) hai. Kis chiz ka gyan, aatma, parmatma aur srishti drama. 

Yeh mujh aatma ka manthan hai, aapka manthan kya kaha hain? Do Comment.

Brahma Kumaris Avyakt Murli Manthan 01-01-1986 Revised 26-04-2020

नव वर्ष पर नवीनता की मुबारक
Congratulations for newness in the New Year.

Brahmakumaris 26-04-2020 Today Moti

आज चारों ओर के सर्व स्नेही सहयोगी और शक्तिशाली बच्चों के अमृतवेले से मीठे-मीठे मन के श्रेष्ठ संकल्प स्नेह के वायदे, परिवर्तन के वायदे, बाप समान बनने के उमंग-उत्साह के दृढ़ संकल्प अर्थात् अनेक रूहानी साजों भरे मन के गीत मन के मीत के पास पहुँचे। मन के मीत सभी के मीठे गीत सुन श्रेष्ठ संकल्प से अति हर्षित हो रहे थे।

Mujh Aatma ka Manthan :

Aaj mithe baba pyare baba ham brahman baccho(snehi aur sahyogi) ke man ke thoughts or sankalpo ko dekh khus ho rahe the ki ham brahmano ke sankalp kitne aache hai. Baba kehte hai ki brahmano ke ek ek sankalp bhi pujan aur gayan yogya hote hain. Aab brahmano ke man me kaise sankalp chalte honge. Unke man me toh hamesha manmanabhaw hote hai. Unka man hamesha brahm m hota hai. Main aatma aapne sharir me pravesh karke avtarit hokar nimit bankar sewa kar rahi ho. Sochiye jab aisa mindset hai, mind ka kitna high stage manamanabhaw toh yeh baat kitni aachi hai ki ham brahmano ke ek ek sankalp bhi sewa hoti hain. Aaj baba waise brahmano ke sankalp dekh khush ho rahe hain. Bacche kitne khush hai, umang utsah hai aur puri dunia ki sewa kar rahe hai. Bhagwan(Baba) kitna kalyankari hai, bacche bhi viswa kalyankari.

Baba kahte hai ki baccho ke ek ek sankalp baba ko pahuchte hai. 

आज के दिन छोटे-बड़े सभी के मुख में बधाई का बोल बार-बार रहता ही है। ऐसे ही सदा नया साज़ है, सदा नया सेकेण्ड है, सदा नया संकल्प है। इसलिए हर सेकण्ड बधाई है। सदा नवीनता की बधाई दी जाती है।

Yeh murli naye saal ke pehle din 1 january ko baba ne chalayi thi. Baba kah rahe hai ki aaj ki din sabhi chote bade ke mukh me yahi rahta hai ki happy new year. Sab ke mukh me badhai bar bar nikalta hai. waise hi ham bacche bhi kuch navinta karte hai toh hame badhai dete hai baba. Toh hamesha navinta karna hai. Ham brahmano ko sewa ki nayi nayi yukti nikalni hai aur hamesha kuch naya karna hai. Ek ek baba ka baccha, hamara aatma bhai chhut na jaye. Baba ke padhai se vanchit na ho. Baba ke parichay sabko dena hai. 

Baba phir sangam yug ke bare me bataye ki sangam yug me ek ek karam udti kala me jane ka hai. Hamesha udti kala. Udna-girna nahi. Hamesha udna hai. Khushi-naraj nahi, hamesha khush rahna hai. Agar naraj ho rahe hai toh samjhye ki abhi baba ka raaj pata nahi chala. Baba par nishchay nahi hai isliye ghadi ghadi naraj ho rahe hai. Isliye yeh drama ko sakshi hokar dekhna hai jaise baba upper sukshm watan se sakhshi hokar puri dunia ke drama ke khel ko dekh rahe hai aur dunia ke kalyan ke liye sakash de rahe hai. Hamare liye baba positive sankalp kar rahe hai. Baba se light might rays lekar puri dunia ko de rahe hain.

वायदे तो हर वर्ष बहुत अच्छे-अच्छे करते हैं। जैसे आज की दुनिया में दिनप्रतिदिन कितने अच्छे-अच्छे कार्ड बनाते रहते हैं। तो संकल्प भी हर वर्ष से श्रेष्ठ करते हो लेकिन संकल्प और स्वरूप दोनों ही समान हो। यही महानता है। इस महानता में जो ओटे सो अर्जुन। वह कौन बनेगा? 

One who constantly listens to and churns the knowledge of the Gita is Arjuna.

Aaj baba baccho se baat karte hue baccho se kah rahe ki bacche jaise naya saal me sab aacha aacha hota hai. Sab ek dusre ko badhai dete hai aur mitha khate hai khilate hai. Waise hi tum bache kya karoge? Tumahare sankalpo me kya naya aayega? Har saaal sankalp aur bhi jyada aacha hota jata hain. Taki hamare sankalp, bol aur karam saman ho. Aur ham sankalp aur swarup me saman ho. Issi me greatness hai. 

जो ओटे सो अर्जुन, Arjun ka example baba dete hai, arjun ko sirf machli ki aankh dikhai deti hain. Baba kahte hai arjun bano. Kaun banega? Ham apne mind ko kitna control kare ki arjun ban jaye. Hamara man toh bhagta rahta hai toh ek chiz ka focus kaise karege. Baba kahte hai jo oote so arjun. Baba kehte hai ki sabko arjun banna hai. Krishna bhi geeta sunate hai arjun ko kehte hai hey arjuna. Bheem ko toh nahi sunate hai. Arjun jaisa sabko banna pade tabhi geeta ko samjhe aur isse dharan kare. Isliye baba ne kha ki baba sabko arjun banana chahte hai. Kyoki issi me mahanta hai. Baba ne kha ki संकल्प और स्वरूप दोनों ही समान हो, wahi arjuna hai aur issi me mahanta hoti hai. Mahan aatma wahi hai jinke sankalp aur swarup dono hi saman hote hain.

Isliye baba kahte hai ki koto m koi aur koi me bhi koi. Sab toh arjun nahi banege. Arjun ke alawa bhi bahut log hote hain. Sabka drama me part fix hai. Baba ke jo adopted brahman(brahma dwara sthapna) bacche hote hai wahi arjun hote hai. Usme bhi numberwise.

ऐसा विदेही, जीते जी सब मरे पड़े हैं - ऐसे बेहद की वैराग्य वृत्ति वाले अर्जुन कौन बनेंगे? बनना है कि सिर्फ बोलना है। 

Dekhiye baba kaisa arjun banana chahte hain, Baba kahte hai ki aisa baap saman videhi sthithi, jite jee mar jana. Man me kisi bhi prakar ke thoughts na ho, sirf manmanabhaw. Aise behad ki vairagya vriti wale arjun bano.

साधारण बातचीत में आधा घण्टा भी बिता देते हो।

Baba ne phir kha ki bacche jo mind(horse) ko control karne ke prayas me lage hain. Thodi si baat aati hai, exam aati hai, paristhithi aati hai toh ghanto uss wyarth chintan me bita dete hai. Aur kahte hai baba kya kare aap hi batao. Baba ko already bata rakhe hai. Kisi kisi bacche ki sthithi banane me toh pura din kharab ho jata hai. Baba Kahte hai tumahare har sankalp se sewa hoti hai. Isliye sankalp jitna jaldi manmanabhaw kar lo. Tumko dekh kar log prabhawit ho. Tumare sewa se prabhawit ho. Apne sankalp, bol, karmo dwara baba ko pratyaksh karo. Lekin baccho ko mind toh kisi aur hi jagah lagi hai. Bacche manmanabhaw ki jagah wyarth m chale jate hai. Aur kahte hai baba kya kare man kharab ho jata hai. Baba kahte hai karoge toh paoge na. Swarg me shuru shuru me kewal 9 lakh seats hai. Loukik me bhi aisa hota hai, doctors ki padhai me seat kam hai students jyada hai. Screening toh hogi na. Sab toh doctor nahi banege.

जिसको भी देखें तो परमात्म स्वरूप की अनुभूति हो तब नवयुग आयेगा। अभी पहले जन्म की प्रजा ही तैयार नहीं की है। पिछली प्रजा तो सहज बनेगी। लेकिन पहले जन्म की प्रजा। जैसे राजा शक्तिशाली होगा वैसे पहली प्रजा भी शक्तिशाली होगी। तो संकल्प के बीज को सदा फल स्वरूप में लाते रहना।

Baba kahte hai ki shuru ki praja ko banane me hi mehnat hai. Baad ki praja ko aasani se banegi. Isliye isi mehnat hai, wo karo. Tum jisko bhi dekho, tumse logo ko parmatma ki anubhuti ho. Aur yeh hamesha hona chahiye. Brahmano ko sthithi hamesa high stage par. Apne swaman ki seat ko set raho.

सदा हर संकल्प में नवीनता की महानता दिखाने वाले, 
हर समय उड़ती कला का अनुभव करने वाले, 
सदा प्रभावशाली बन बाप का प्रभाव प्रत्यक्ष करने वाले, 
आत्माओं में नई जीवन बनाने की नई प्रेरणा देने वाले, 

नव युग के अधिकारी बनाने की श्रेष्ठ लहर फैलाने वाले - ऐसे सदा वरदानी, महादानी आत्माओं को बापदादा का सदा नवीनता के संकल्प साथ याद-प्यार और नमस्ते।

Main kitna mahan aatma hu, koto me koi aur koi main bhi koi me baba ne mujhe khich liya hai aur mujhe itna gyan de rahe hai. Baba hamari jholi gyan ratno se bhar rahe hai. Thank You Baba, Mere Baba, Pyare Baba, Mithe Baba. Itna khusi me jhoom rahe hai aur ceremony mana rahe hai. Nach rahe hai , ga rahe hai ki pana toh so pa liya. Mera baba hamko mil gaya. Mera bhagwan mujhe mil gaya.

वरदान :- हर कर्म चरित्र के रूप में गायन योग्य बनाने वाले महान आत्मा भव

मान की इच्छा छोड़ स्वमान में टिक जाओ तो मान परछाई के समान पीछे आयेगा।

Aaj Baba vardan dete hai ki tumhare brahmano ke har sankalp, bol, karam mahan ho, sewa ho. Har sankalp me sabko baba ki jhalak dikhe. 

Slogan me baba ne kha ki bacche nirman ban jao. Maan ki ichha chhod do. Aur apne swaman main tik jao toh maan tumahare piche parchai ki tarah aayegi.

Om Shanti By Heart To All Sweet Brahman Family.

I have written my experience here with Baba's touching:








Brahma Kumaris Murli Manthan 25-04-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 25-04-2020


"मीठे बच्चे - हर एक की नब्ज देख पहले उसे अल्फ का निश्चय कराओ फिर आगे बढ़ो, अल्फ के निश्चय बिना ज्ञान देना टाइम वेस्ट करना है"

प्रश्नः-

कौन-सा मुख्य एक पुरुषार्थ स्कॉलरशिप लेने का अधिकारी बना देता है?

उत्तर:-

अन्तर्मुखता का। तुम्हें बहुत अन्तर्मुखी रहना है। बाप तो है कल्याणकारी। कल्याण के लिए ही राय देते हैं। जो अन्तर्मुखी योगी बच्चे हैं वह कभी देह-अभिमान में आकर रूसते वा लड़ते नहीं। उनकी चलन बड़ी रॉयल शानदार होती है। बहुत थोड़ा बोलते हैं, यज्ञ सर्विस में रुचि रखते हैं। वह ज्ञान की ज्यादा तिक-तिक नहीं करते, याद में रहकर सर्विस करते हैं।

Mujh Aatma ka Manthan

Baba kahte mithe bacche, yeh tumhara antik janam hai. Itna saal se, kitne janmo se tum baap ko pukar rahe ho, aur mere se kah rahe ho, vishay vikar mitao, pap haro deva. Main toh aaya hua hu mithe bacche, tum hi kha busy ho. Main aaya hu aur tum pahchan nahi rahe ho. Tum kha busy ho bacche. Phir bhagwan ham baccho drama ka raaj samjhate hai. Ki yeh bhi sab drama me nundh(likha hua hai) hain aur hame iska gyan bahut aache se samjhna hai aur isse follow karte hue karam karne hai. Mehnat lagan se karna hai, bhagwan ya drama bharose nahi chhod dena hai. Pure lagan se padhai or purusharth karna hai.

Phir baba kahte hai ki nabj dekhkar dusro ko gyan dena hai. Pehle pehle baap ka parichay aur unko nishchay dilana hai. Jab unko baap par nishchay ho jaye toh phir aage ka gyan sunana hai. Tabhi unko kuch samjh m aayega. Nahi toh tumahara time waste hoga.

Padhai toh sab karte hai, scholarship kitno ko milte hai. Baba aaj yeh raaj kholte hai ki mithe bacche tum scholarships kaise pa sakte hai? kaise pa sakte ho? 

Loukik me bhi scholarship kisko milta hai? jo bacche bahut lagan se padhte hai aur exam me aache marks se paas hote hai, wahi select kiye jate hai scholarships ke liye. Baba keh rahe hai iss behad ki padhai me bhi un baccho ko scholarships milti hai  jo bacche antarmukhi hote hai. Aur antarman se man hi man manmanabhaw hote hai. Jyada talky me nahi aate hai. Kam bolte hai, mitha bolte hai. Bahut thoda bolte hai. Wo bache antarmukhi rahte hai. 

अन्तर्मुखता का। तुम्हें बहुत अन्तर्मुखी रहना है। बाप तो है कल्याणकारी। कल्याण के लिए ही राय देते हैं। जो अन्तर्मुखी योगी बच्चे हैं वह कभी देह-अभिमान में आकर रूसते वा लड़ते नहीं। उनकी चलन बड़ी रॉयल शानदार होती है। बहुत थोड़ा बोलते हैं, यज्ञ सर्विस में रुचि रखते हैं। वह ज्ञान की ज्यादा तिक-तिक नहीं करते, याद में रहकर सर्विस करते हैं।

Kisi ko aap ray denge ki aache se yeh padhai padho scholarship mil gayega. Toh yeh toh wo unke kalyan ke liye hi toh ray dete hai ya phir teacher padhate hai. Teacher ko kitna salary milta hai. Teacher jitna gyan de dete hai unke aage koi bhi salary choti hai. Gyan hi bada mana jata hai. Baba kahte hai ki mithe bacche main yeh gyan tumare hi kalyan ke liye deta hu na. Aab koi sunte hai koi nahi sunte. Main hu hi kalyankari. Shankar ka matlab log vinashkari samjhte hai. Shiv ka aarth hi hota hai sada shiv, sada kalyankari.

Baba kahte hai jo baache antarmukhi honge, unki nishani kya hogi. Aaj ki dunia me bhi log naraj ho jate hai, ladte hai jhagadte hai aur 3-3 din ya usse jyada baat chit band ho jata hai lekin ander mind me toh sankalp chal hi raha hota hai. Wo kha shant hai. Upper se lag raha hai ki shant hai. Lekin ander?

Baba kahte hai jo bacche antarmukhi honge unki nishani hogi ki wo dehi-abhimani stage m rahege. Ander hi ander hi unko nasha rahega ki kaun mila hai hame aur kya padha raha hai. Bhagwan aakar ham patito ko pawan bana rahe hai. Ek Gande nali ke kide se kha gul-gul phul bana dete hai. Kanta se phool bana dete hai. Ghar grihast me rahte hue bhi hame baba kamal phool bana dete hai. Wo bacche jo antarmukhi honge na, wo kisi se naraj ya rusege nahi. Wo bahut hi royal class honge. Bhikhari class nahi honge. Wo chal chalan raja maharaja wali hogi. Bade bade pyar se ander hi ander nashe me bade khusi se sewa karege ki ham iss sewa dwara kitna uncha pad payege swarg m. Mandiro me, mahjido me, gurudware me ya church me log kitna nihswarth sewa karte hai. Kitna pyar se sewa karrte hai. Kabhi kuch nahi jatate hai ki ham itna kiye. Baba keh rahe hai ki wo bacche gyan ka tik tik nahi karte hai bus yaad me rahkar sewa karte hai. Aur jo jitna jyada sewa karta hai usko utna hi jyada khusi feel hoti hai. Yeh mera anubhaw hai. Main bhi jisdin jitna jyada sewa karta hu, utna hi jyada mujhe khushi hoti hai. 

Phir baba aaj ki murli m dharna karne bole hai ki:

धारणा के लिए मुख्य सार:-

1) योग में बहुत मेहनत है, ट्रायल करके देखना है कि कर्म में कितना समय बाप की याद रहती है! याद में रहने से ही कल्याण है, मीठे माशूक को बहुत प्यार से याद करना है, याद का चार्ट रखना है।


2) महीन बुद्धि से इस ड्रामा के राज़ को समझना है। यह बहुत-बहुत कल्याणकारी ड्रामा है, हम जो बोलते हैं वा करते हैं वह फिर 5 हज़ार वर्ष बाद रिपीट होगा, इसे यथार्थ समझ खुशी में रहना है।

Baba kahte hai yog karna koi masi ka ghar nahi hai, khud brahma baba bhi kabhi kabhi bhul jate the. Isliye iski badhi bhari practice chahiye. Isliye baba bolte hai dairy note kar karke mujhe yaad karne ki practice karo. Dekho bacche yaad se hi vikaram vinash honge. Rawan maya ko yaad karne se nahi hoga vikaram vinash.

Drama ke raaj ko aacha se samjh lo. Jo abhi ho raha hai wo kalp kalp har 5000 saaal me repeat hoga. Jo abhi ho raha hai, wo 5000 se pehle bhi hua hai. Isliye geeta saaar me hamlog sune hai, jo hua wo aacha jo ho raha hai wo aur bhi aacha. Jo hoga wo aur bhi aacha. Drama ka raaj ko samjh lenge toh bahut khusi hogi.

Vardan:
आपस में स्नेह की लेन - देन द्वारा सर्व को सहयोगी बनाने वाले सफलतामूर्त भव

Bade sneh se sabko sahyogi banana hai. Sneh dene se sab automatic hi sahyog denge. Mangna nahi padega. Koi aapke sahyogi nahi bante hai toh samjho ki sneh kam hai.

Slogan:
एक सेकण्ड में व्यर्थ संकल्पों पर फुलस्टॉप लगा दो - यही तीव्र पुरूषार्थ है।

Yeh bada muskil lagega shuru shuru me, lekin dhire dhire practice se aasan hota jayega. aapke man bahut aashant hai, bahut jyada sankalp chal rahe hai. Sans bhi bahut tej gati se chal raha hai. Aur heart beat bhi bahut tej hai. Aap pure vichlit ho gaye. Uss samay turant apne aap ko bindi dekhe. Aur antarmukhi ho jaye. Kuch samay bilkul silence. Dekhiye apne aap hi aapka mind apka sahyogi hokar bilkul shant ho gayega. Baba kahte jo aisa kar pa rahe hai toh yahi tivra purusharth hain.

Samay kam hai, isliye apne manthan ko abhi yahi tak rakhte hai. Aap log bhi man hi man manthan karte rahe dinbhar. likhne ka samay nahi toh man hi man manthan karna hai. Manthan jaruri hai tabhi yeh hamare sub-conscious mind m jayega. Aur hamari dharana ban jayegi. Hamare me jo purane sanskar hai wo apne aap hi dab jayege. Aur jeevan me sukh shanti aane lagega.

Om Shanti

Main yaha hamesha aise spiritual articles, motivational articles likhta rahta hu. Yaha check kare.

Nashe Se Mukti – Free From Addiction

Srishti chakarka gyan



अपनी सोच को हमेशा ऊँचा कैसे रखें || एक प्रेरणादायक कहानी - GSE Motivation


विषय विकार मिटाओ पाप हरो देवा स्वामी पाप हरो देवा

"विषय विकार मिटाओ पाप हरो देवा स्वामी पाप हरो देवा"

Pyare bhaiyon aur bahno,

Iss aarti par kuch manthan chal raha tha, main soch raha tha. Maine bhi yeh aarti bachpan se gata hu. Yeh maine apne ghar me ma se sikha tha. Bus unko dekhkar main bhi gane lag gaya. Aaspas ke logo ko bhi sunta tha. Log jab koi bada puja-path ka program rakhte the jaise ki durga puja, satyanarayan katha, diwali etc tab pandit jee bhi yeh aarti gate hai, jab katha khatam ho jati hai toh last m aarti gaya jata hai. Hath m aarti ki thali hoti hai, usme dipak hote hai, kapur hote hai. 

Aarti me jo dipak hote hai usme ghee ke diye jalaye jate hain. Katha karne ke baad aarti hoti hai. Aarti me bhagwan ki mahima karte hai. Aaye ek baar padhte hai aarti:


ओम जय जगदीश हरे
स्वामी जय जगदीश हरे
भक्त जनों के संकट
दास जनों के संकट
क्षण में दूर करे
ओम जय जगदीश हरे

जो ध्यावे फल पावे
दुःख बिन से मनन का
स्वामी दुःख बिन से मनन का
सुख सम्पत्ति घर आवे
सुख सम्पत्ति घर आवे
कष्ट मिटे तन का
ओम जय जगदीश हरे

मात पिताः तुम मेरे
शरण पडूँ मैं किसकी
स्वामी शरण पडूँ मैं किसकी
तुम बिन और न दूजा
प्रभु बिन और न दूजा
आस करूं मैं किसकी
ओम जय जगदीश हरे

तुम पूरण परमात्मा
तुम अंतर्यामी
स्वामी तुम अंतर्यामी
पर ब्रह्म परमेश्वर
पर ब्रह्म परमेश्वर
तुम सबके स्वामी
ओम जय जगदीश हरे
तुम करुणा के सागर
तुम पालन करता

स्वामी तुम पालन करता
मैं मूरख खल्कामी
मैं मूरख खल्कामी
मैं सेवक तुम स्वामी
कृपा करो भर्ता
ओम जय जगदीश हरे
ओम जय जगदीश हरे
स्वामी जय जगदीश हरे
भक्त जनों के संकट
दास जनों के संकट
क्षण में दूर करे
ओम जय जगदीश हरे

विषय विकार मिटाओ
पाप हरो देवा
स्वामी पाप हरो देवा
श्रद्धा भक्ति बढ़ाओ
श्रद्धा भक्ति बढ़ाओ
संतन की सेवा
ओम जय जगदीश हरे
तन मन्न धन सब है तेरा
स्वामी सब कुछ है तेरा
स्वामी सब कुछ है तेरा

तेरा तुझको अर्पण तेरा
तुझको अर्पण क्या लागे मेरा
ओम जय जगदीश हरे
ओम जय जगदीश हरे
स्वामी जय जगदीश हरे
भक्त जनों के संकट
दास जनों के संकट
क्षण में दूर करे
ओम जय जगदीश हरे
ओम जय जगदीश हरे
स्वामी जय जगदीश हरे
भक्त जनों के संकट
दास जनों के संकट
क्षण में दूर करे
ओम जय जगदीश हरे.

Iss aarti me mujhe 2 line bahut yaad aati hai bar bar.

विषय विकार मिटाओ
पाप हरो देवा
स्वामी पाप हरो देवा
श्रद्धा भक्ति बढ़ाओ
श्रद्धा भक्ति बढ़ाओ
संतन की सेवा
ओम जय जगदीश हरे
तन मन्न धन सब है तेरा
स्वामी सब कुछ है तेरा
स्वामी सब कुछ है तेरा

Dosto, bhaiyon aur bahno, Ham kiske saamne hath jodkar natmastak hokar, jhukar khade hai aur yeh kah rahe hai ki vishay vikar mitao, pap haro deva.

Iska matlab hai ki ham sab aatmaye bahut hi jyada patit ho gaye hai aur patit bankar bahut hi jyada pap karam kiye hai. Tabhi ham bhagwan ke saamne yeh kah rahe hai ki hey bhagwan aab aa bhi jao aur aakar mere vishay vikaro ko mitao. Kyo?

Kyo , kyo mitana hai vishay vikaro ko. Aab manushya bhi thak chuke hai pap karte karte aur inn vishayo, bhog, vasnao, moh maya me bhagte bhagte girte padte aab thak chuke hai aur bhagwan se aisa kah rahe hai. Bahut papo ka bhojha badh gaya hai. Tabhi aisa kah rahe hai ki pap haro deva. 

Ab hame sochna hai ki ham yeh aarti itna din se toh gaye, lekin kabhi soche ki ham kaun sa pap kar rahe hai nitya din. Hamse kaun sa pap ho raha hai. Yeh aarti toh bade bade sadhu sant, mahatma, pandit, aacharya sabhi ga rahe hai. Yeh sochne wali baat hai dosto. Mujh aatma ka toh manthan chal raha hai. Aaj tak gata raha, lekin kabhi socha nahi aisa kyo ga rahe.

Hamare loukik gharo me bhi aisa hota hai, jab baccho se kuch galti ho jati hai toh bacche ma-baap se mafi mangte hai aur galti dubara nahi karne ka wada karte hai apne parents se. Aur aisa sabhi dharmo me hota hai dosto. Sabhi apne apne tariko se bhagwan se mafi mang rahe hai aur apne kiye gaye papo ke liye.

Yahi 2 line ke bare me mujh aatma ka lagatar chintan chalta ja raha hai. Iske bare me likhna shuru karu toh kabhi khatam nhi hoga.

Iska jawab mujhe mil gaya hai dosto, Jab maine Brahma Kumaris ke 7 days ka rajyoga meditation course kiya jo bilkul free tha. Usme iska jawab mila dosto. Mujhe pap aur punya ke bare me pata chala ki kaun kaun se pap ham nitya din karte hai. Main kaun hu, iss dunia me kyo aaya hu, bhagwan kaun hai?, bhagwan kab aate hai?

Brahma Kumaris Murli Manthan 24-04-2020

Brahma Kumaris Murli Manthan 24-04-2020

"मीठे बच्चे - सर्वोत्तम युग यह संगम है, इसमें ही तुम आत्मायें परमात्मा बाप से मिलती हो, यही है सच्चा - सच्चा कुम्भ"

प्रश्नः-

कौन-सा पाठ बाप ही पढ़ाते हैं, कोई मनुष्य नहीं पढ़ा सकते?

उत्तर:-

देही-अभिमानी बनने का पाठ एक बाप ही पढ़ाते हैं, यह पाठ कोई देहधारी नहीं पढ़ा सकता। पहले-पहले तुमको आत्मा का ज्ञान मिलता है। तुम जानते हो हम आत्मायें परमधाम से एक्टर बन पार्ट बजाने आये, अभी नाटक पूरा होता है, यह ड्रामा बना बनाया है, इसे कोई ने बनाया नहीं इसलिए इसका आदि और अन्त भी नहीं है।

Mujh Aatma Ka Anubhaw

Daily ki tarah hi aaj bhi main Brahmamurhut ke yog ke liye baitha. Yog me vishes anubhuti hui. Yog ke baad main murli padhne baitha apne yugal ke sath. Yugal bhi subah subah uth jati hai aur wo bhi murli sunti hai 4.45 am to 5.15 am. Aur murli me daily baba hame bahut pyar dete hai.

Baba(Bhagwan) murli start karte hai mithe baccho se. Ham sabko Baba mithe bacche bolte hai. Baba kisi se bhedbhaw nahi sabko ek jaisa pyar karte hai. Baba ne aaj murli ki heading main hi samjha diya ki 

"मीठे बच्चे - सर्वोत्तम युग यह संगम है, इसमें ही तुम आत्मायें परमात्मा बाप से मिलती हो, यही है सच्चा - सच्चा कुम्भ"

Mithe bacche, yeh jo yug hai, yeh sabse aacha yug hai. Kyo hai? kyoki iss yug me mere bhagwan, baba mere sath hai. Ham bacche unse direct padh rahe hai aur pavitra pawan ban rahe hai. 4 yug hote hai, aisa hamne suna tha, lekin iss naye yug ke bare me jankar bahut hi jyada khusi hui aur ham iss yug me jee rahe hai. Baba ke sath ka anubhaw kar rahe hai. Issi yug me baba ham baccho se milte hai. Issi ko saccha khumh kha jata hai jaha sangam hota hai aatmao ka parmatma se. Parmatma ek hai aur wo patio ka pati hai.

Baba question karte hai ki 

कौन-सा पाठ बाप ही पढ़ाते हैं, कोई मनुष्य नहीं पढ़ा सकते?

Kaun sa padh hai jo tumhe baap hi padhate hai. aur koi padha nahi sakta. Itne guru kiye lekin yeh padh hame direct bhagwan hi aakar padhate hai. 

देही-अभिमानी बनने का पाठ एक बाप ही पढ़ाते हैं, यह पाठ कोई देहधारी नहीं पढ़ा सकता। पहले-पहले तुमको आत्मा का ज्ञान मिलता है। तुम जानते हो हम आत्मायें परमधाम से एक्टर बन पार्ट बजाने आये, अभी नाटक पूरा होता है, यह ड्रामा बना बनाया है, इसे कोई ने बनाया नहीं इसलिए इसका आदि और अन्त भी नहीं है।

Baba jawab dete hue kahte hai ki bacche iss drama me baba aakar tumeh yeh padh pakka karate hai ki tum ek aatma ho jo abhinashi hai. Yeh sharir nahi ho jo vinashi hai. Yeh drama ka ant aab najdik hai. Yeh natak ab pura hota hai. Yeh hamara antim janam hai. Kyoki iss janam me baba mil gaya aur hame patit se pawan bana rahe hai. Hamare sanskaro ko parivartan kar rahe hai. Hamare sanskar pawan ban rahe hai, aur hamare karma divine ho rahe hai. Pura pawan bankar ham swarg jo pawan duniya hai waha chale jayege. Baba ne aaj bahut hi gahri baat phir se samjha di ki yeh drama anadi hai, iska na aadi hai aur na ant hai. Yeh drama ko bhagwan ne nahi banaya hai.  Bhagwan ka kaam toh kewal iss purani duniya ko naya banana hai. Yeh srishti drama kewal nayi se purani aur purani se nayi hoti hai aur yeh nirantar chalta rahta hai.

Shari budha hua aur yeh bhi drama hai

Phir baba ne kha ki Tum ho ruhane pande, panda ka kya kaam hota hai. Panda ka kam guide ka hai, sabhi aatmao ko parmatma se najdik lana. Sabko madad dena taki wo parmatma se najdik aa sake.



Murli padhne ke baad main aatma baba ki yaad me dudh lane ki sewa main jata hai toh waha ek aatma laxman bhai hai. Waha gyan manan chintan karte hai aur manan chintan ke samay bahut hi aachi baat nikal kar aayi. Hamne YOG NINDRA ke bare me discuss kiya ki kaise bade bade scientist iska isstemal karte the aur naye naye khoj karte the. Baba bhi kabhi sote nahi the, wo hamesha yog nindra me rahte the. Yog nindra wo stage hoti hai jab hamari atma upper GOD se connected hoti hai. Aur wo nind ki sabse high stage delta stage hoti hai. Uss stage m hamare aatma pure universe se connected ho jati hai.

Yog nindra me hui vishes khoj, yeh class jarur sune.


Phir aaj baba dharma main bole ki bacche, hear no evil. Kano se kuch bura mat suno. Toh kya suno, sirf hame gyan murli sunna hai aur iss par dinbhar manan chintan karna hai.

Holy Geeta ke ek chapter ka maine video dekha tha, usme bhagwan kahte hai ki practice ke sath sath vairagya bhi chahiye. Bhagwan kahte hai ki sab taraf se buddhi yog hatakar ek baap ko yaad karo. Dehi abhimani bano, matlab apke ko hamesha samjho ko main aatma likh rahi hu iss sharir me awtarit hokar. Main aatma dekh rahi hu iss ankh khidki se. Sun rahi hu, iss kan khidki se. Wo jo sharir ki smriti hai, usko bhul jao. Yahi dukh ka karan hai. Yeh dunia tamopradhan hai, isliye issme rahte hue upram, kamal phool saman rahe. Buddhi sada upar rakhe. Koi bhi karam kare, sada upram.

Phir baba ham aatmao se kehte hai ki last stage main deri kyo, kyoki apna sankalp chalate hai. Pehle ager bhagwan ko yaad kare, aur follow father kare toh kaphi bachat(saving) ho jayegi. Ek businessman hamesha saving par dhayan dete hai. Aur jab ham koi bhi karam main follow father kar lete hai toh hamare samay aur sankalp bacch jate hai aur jama ka khata badhta hai. Har baat m apne se puche ki mere jagah bhagwan hote toh kya sochte, bolte aur karte. Iss tarah ham follow father ke vardan dwara kaphi saving kar sakte hai.

Phir baba slogan me bole, ki sachai aur safai ko dharan karna hai toh apne swabhaw ko saral banao. Swabhaw bahut hi saral hona chahiye tabhi hamare life me sachai aur safai hoga. Matlab jaise ki main aatma bilkul down to earth hu. Mujhe koi galat bhi bola toh main yah samajh raha hu ki wo aatma kamjori ke karan aisa kha. Usse main aur pyar du taki wo aatma strong ho. Usko main heal karu. 

सरल स्वभाव का मतलब

Jab kisi ne galat kha ya mujh par hath uthaya, main bahut saral swabhaw ka hu toh maine bardast kar liya. Aur maine bhagwan ko kha ki bhagwan iske sanskar ko parivartan kare. Iss par raham kare. Usne apne sanskar ke karan hi gussa kiya mujh par aur hath uthaya. Gussa karna bhi ek mental disease hai. Hame sochna hai ki jo gussa kiya wo toh khud bimar hai, aur bimar aadmi se ham kitna pyar se batt karte hai. Usko pyar ki jarurat hai. Ispar log sochte hai ki yeh aatma shaktihin hai. Jiska swabhaw saral hai wahi toh devi-devta hai. Devi-devtao ka swabhaw kitna saral hota hai. Wo jyada nahi sochte hai. Har baat par bade raham bhaw se dekhte hai. Isliye log kah dete hai devi-devtao ko yeh toh bhagwan hai, ya bhagwan jaise hai. Jiski rachna itni sunder hai toh wo kitna sunder hoga. Bhagwan ko prem, sukh, anand, gyan, pavitrata, shanti, shakti ke sager hai. 

Phir sachin bhai kahte hai ki, sirf murli sunne se kya hoga, uss par manan chintan kiya tab kuch murli se kuch prapti hogi jo avinashi hogi. Jaise dudh ko matha jata hai toh malai aur malai se phir ghee ban jata hai.

Aaj avyakt murli padhte samay vishesh anubhuti hui ki baba kahte hai aap bacche bi silence ma jate ho aur vishesh anubhaw karte ho. Aur science wale bhi uss stage par jakar nayi nayi khoj karte hai. Phir mujhe sankalp aaya ki abhi tak Coronavirus ki vaccine kyo nahi khoj hui. Phir main aatma baba se yog me connect hokar sabhi scientists, doctors aur sabhi helping hand souls ko emerge karke sabko vishesh baba ka light aur might aur sarwa shaktiyon ki kirne unko diya. Unko positive sankanlp aur power diya baba ne aur yeh sanklap kiya ki ab bahut hi jaldi coronavirus ki vaccine ban jayegi, aur yeh bani hi padi hai bus usse puri dunia ke samne lana hai. Baba ne sabko nimit banaya hai. Aur uss vaccine se puri dunia iss virus se bach jayegi.

Om Shanti By Heart

The Spiritual Significance Of Ramadan

The Spiritual Significance Of Ramadan


According to Google, Ramadan 2020 Date:

Ramadan 2020 will begin in the evening of

Thursday
April 23
and ends in the evening of

Saturday
May 23
Dates may vary

Namaskar Dosto, Bhaiyon, Bahno,

Aaj main twitter check kar raha tha toh mujhe Ramadan 2020 trend par dikha. Mere kuch muslim friends hai jo bata rahe the ki Ramadan(Ramzan) aane wala hai. Phir main internet par search karne laga ki akhir ham ramadan kyo rakhte hai aur iska importance kya hai. Mujhe aksar karke sabhi dharmo ke tayoharo ko janna aacha lagta hai aur iske importance and learning ko sikhna aacha lagta hai. Main internet par search kiya toh paya:

Wikipedia:


Ramadan also called Ramzan is the ninth month of the Islamic calendar, observed by Muslims worldwide as a month of fasting (sawm), prayer, reflection and community.A commemoration of Muhammad's first revelation, the annual observance of Ramadan is regarded as one of the Five Pillars of Islam and lasts twenty-nine to thirty days, from one sighting of the crescent moon to the next.

Fasting from sunrise to sunset is fard (obligatory) for all adult Muslims who are not acutely or chronically ill, travelling, elderly, pregnant, breastfeeding, diabetic, or menstruating. The predawn meal is referred to as suhur, and the nightly feast that breaks the fast is called iftar. Although fatwas have been issued declaring that Muslims who live in regions with a midnight sun or polar night should follow the timetable of Mecca, it is common practice to follow the timetable of the closest country in which night can be distinguished from day.

The spiritual rewards (thawab) of fasting are believed to be multiplied during Ramadan. Accordingly, Muslims refrain not only from food and drink, but also tobacco products, sexual relations, and sinful behavior, devoting themselves instead to salat (prayer), recitation of the Quran, and the performance of charitable deeds as they strive for purity and heightened awareness of God (taqwa).

My Learning

Friends, Brothers and Sisters, Aaj maine bahut kuch sikha Pavitra Ramzan ke bare me jankar. Yeh tayohar bahut hi jyada pavitrata ka suchak hai. Sabhi log pavitrata ko bahut hi strictly se follow karte hai. Maine suna tha, pavitrata sukh shanti ki ma hai. Jiske life me pavitrata(holyness) hai uska jeevan bada hi sukhi aur shantmay hota hai. 

Hame iss tyohar se sikh lene ki jarurat hai ki kaise ham itne dino tak fast rakte hai. Fasting me hamara jeevan pavitra hota hai. Pavitrata matlab mansa wacha aur karmana hame apne life me pavitra rahna hai, waise baccho ko bhagwan bahut like karte hai. Hamare gharo me bhi ham apne sabhi bachho me usko jyada pyar dete hai jo hamari baat sunta hai, uske aadat thik hote hai wo padhai aacha karta hai etc. 

Upvas(fast) ka matlab maine suna hai ki up ka matlab najdik aur vas ka matlab rahna. Matlab ham upvas rakhkar parmatma ke najdik rahte hai. Bhagwan bhi kahte hai mujhe yaad karo toh tumare sare pap bhasam ho jayege. Finally baat yahi hai ki hame bahut dil se aapne ko aatma(ruh) samajh kar bhagwan ko yaad karna hai. Bhagwan jo pavitrata ke sager hai, sukh ke sager, shanti ke sager, param sadguru hai wo hame sikh dete hai aur hame spiritual lesson padhate hai aur hame pavitra banate hai. 

Dosto hame sochna hai ki kya ham apne life me sada pavitra rahte hai? agar hame sukh shanti chahiye toh pavitra toh rahna hi hoga. Bhagwan kahte hai main tumhara pita hu aur property pita se milti hai. Tum mujhe yaad karo toh main tumahare sare pap bhul jaoga aur tumeh swarg ki badshahi de doonga.

Ramjan main maine dekha ki sabhi bade pyar se upvas rakhte hai aur bhagwan ko yaad karte hai. Jaise maine suna hai ki hamare sanskar 21 din me parivartan hote hai. Yeh tyohar bhi 29 se 30 din tak chalta hai. Upvas ke bahut scientific benefits bhi hote hai. Upvas karna hamare sharir aur mind ke liye aacha hota hai. Upvas se hame param shanti ki prapti hoti hai. Ham paramaatma ke najdik aa jate hai. Hamare mind me uthne wale thoughts bhi kam ho jate hai jisse hame silence ki prapti hoti hai. 

Iss tyohar se hamare life me bahut aachi discipline aati hai. Bhagwan chahte hai ki bacche issi discipline me hamesha rahe aur mujhe yaad karte rahe taki baccho se koi pap na ho. Aur bacche papo se hamesha bache rahe. 29-30 days ke purity se hamari whole life pure ho jati hai aur jo baache puri bhawna se isse karte hai unhe bahut hi jyada shanti aur sukh ka anubhaw hota hai.

Brahma Kumaris Murli Manthan 23-4-2020

"मीठे बच्चे - सबसे अच्छा दैवीगुण है शान्त रहना, अधिक आवाज़ में न आना, मीठा बोलना, तुम बच्चे अभी टॉकी से मूवी, मूवी से साइलेन्स में जाते हो, इसलिए अधिक आवाज़ में न आओ"

प्रश्नः-

किस मुख्य धारणा के आधार से सर्व दैवीगुण स्वत: आते जायेंगे?

उत्तर:-

मुख्य है पवित्रता की धारणा। देवतायें पवित्र हैं, इसलिए उनमें दैवीगुण हैं। इस दुनिया में कोई में भी दैवीगुण नहीं हो सकते। रावण राज्य में दैवीगुण कहाँ से आये। तुम रॉयल बच्चे अभी दैवी-गुण धारण कर रहे हो।

Om Shanti Mithe Pyare Baba, all soul brothers,

Baba aaj ki murli me kahte hai ki bacche, tumeh devigunn daharan karna hai, aur sabse aacha devigunn hai shant rahna, bahut thoda bolna, silence me rahna. Yeh aaj baba ne kha ki yeh sabse aacha devigunn hai jo ham baccho ko aaj hi dharan kar lena hai. Agar hamare ander thoda bhi sanskar hai ki ham bahut jyada bolte hai, bahut jyada react karne ka aadat hai. Toh hame aaj se yeh kam kardena hai. Baba kahte hai ki bacche thoda nahi bahut thoda bolna hai. Jab ham kisi ko baat karte hue sunte hai toh hame bhi bolne ka man karta hai, lekin yaha dekhna hai kyo mujh aatma ko dusre ke bol me ras najar aa raha hai. Ras hame murli me rakhna hai na ki hame dusri ko wyarth bato me interest rakhna hai. Ham sabko baba aaye hai lene aur aab hame ghar chalna hai. Aur ghar kha hai, silencedham, paramdham, jaha silence ki bhasa chalti hai. There is no thought in mind there.

Baba ne kha ki pehle talky se movie me jana hai, matlab ki hame aab baat chit bhi isharo isharo me hi karna hai. Jitna jarurat ho utna hi bolna hai. Kam ke kam bolna hai. jaha jarurat na ho waha nahi bolna hai. Isharo isharo me samjha dena hai. Aaaj hame yahi practice karna hai ki ham isharo me hi baat kare. Jaha jarurat na ho waha bole hi nahi. Silence me rahe. Jab ham mandir jate hai toh kitna shanti milta hai. Kyo? Kyoki waha log sirf bhagwan se baat karte hai wo bhi man hi man. Isliye waha bahut jyada shanti feel hota hai. Baba kahte hai murli me ki tum aab hamesha ke liye aisi sthithi banao kyoki ghar chalna hai. Waha ghar paramdham me toh koi sankalp hote nahi. 

Waha sirf main aur mera baba. Main aatma paramdham me jyoti bindu aur baba bhi jyotibindu. Main aatma baba me samati ja rahi hu. Aur baba se sarwa shaktiyon ki kirne mujhe aatma me samati ja rahi hai. Mujh aatma me sarwa shaktiyan bharti ja rahi hai. Jise mujhe karmo me use karna hai. Jab jis shakti ki jarurat ho waha isse use kar sakte hai. Baba ne kha ki jab baba ko bulate ho toh baba hazir ho jate hai toh jab shaktiyon ka aawahan karoge toh shaktiyan nahi aayegi. Ramayan me dikhaya ki jab raam jis shakti ka aawahan karte wo hazir ho jata hai toh rawan usse haar jata.

मुख्य है पवित्रता की धारणा। देवतायें पवित्र हैं, इसलिए उनमें दैवीगुण हैं। इस दुनिया में कोई में भी दैवीगुण नहीं हो सकते। रावण राज्य में दैवीगुण कहाँ से आये। तुम रॉयल बच्चे अभी दैवी-गुण धारण कर रहे हो।

Phir baba kahte hai ki bacche tum ek dharana kar loge toh tumhare ander sabhi devi-gunn apne aap hi aa jayege aur wo hai pavitrata. Pavitrata matlab hame apne jeevan ko satwik banana hai. Hamara lifestyle bilkul simple aur pavitra hona chahiye. Jisme hame sabse pehle apne tamopradhan thoughts ko pavitra banana hai. Yeh man hi sabse pehle control hona chaiye. Kyoki yeh aatma hamara raja hai aur man mantri hai. Jo raja bole wo man ki follow karna hai. Lekin kalyug me aisa nahi dekha ja raha hai. Sabhi apne man ki hi vas me ho gaye hai. 

Ulta ho gaya hai. Lekin baba jab aate hai toh hame patit se pawan banate hai. Baba ki kehte hi patit pawan."Patit pawan sita ram" kha jata hai. Vishay Vikar mitao pap haro deva. Kaun sa vishay vikar mitane bol rahe hai daily daily bhagwan se ham. Bhagwan aab aa gaye hai aur hamare vikaro ko khatam kar rahe hai. Aur Devigunn ki dharana kara rahe hai. Baba kahte hai ki bacche yeh pavitrata ka gunn dharan hoga toh isske piche piche iske bacche sukh aur shanti apne aap hi aa gayege. Aur jab zindagi me sukh shanti aayege toh anand, prem bhi aa hi gayega. Isliye baba kahte hai ki pavitrata first step hai. Jab koi gyan me aata hai toh sabse pehle baba kehte hai ki pavitra bano aur yogi bano.

Baba ne kha ki iss dunia me jo bilkul hi tamopradhan(bharast) ho gaya hai, isme kisi me bhi devi-gunn kaise ho sakta hai. Sabke aander rawan baitha hai. Kyoki yeh hai tamopradhan purani dunia, yaha sab rawan ke rajya me hai. Aaadha aadha rajya chalta hai na, aadha rajya devtao ka aur aadha rawan ka. Jab ham bacche purusharth karke pavitra banke yogi banke swarg m devi-devta bankar jayege toh waha hi hamare m devi-gunn hoga. Yaha devi-gunn nahi ho sakta. Jaise koi doctor ki padhai padh raha hai toh uss samay usko doctor toh nahi kahege. Jab tak puri padhai padh nahi leta, tab tak doctor kaise kah sakte hai. Ussi prakar ham baba ke bacche abhi devi-devta ke liye padhai padh rahe hai. Aur tum royal bacche abhi devi-gunn dharan kar rahe hai toh. Phir exam hoga, aur after passing tumeh yeh degree mil jayegi phir tum apne aage doctor likh sakte ho.

Om Shanti


The Spiritual Significance of the Earth Day - Happy Earth Day - अर्थ डे का क्या अर्थ हैं?

The Spiritual Significance of the Earth Day - 22 April

Happy Earth Day

Our Change Can Save The Earth

Namaskar Respected Bhaiyon aur Bahno, Greetings!

Kal 22 April 2020, phir se har saal ki tarah earth day hamare samne aa gaya hai. Aur aab har saal kuch naya hi ho raha hai. Iss sala coronavirus ka kahar dikh raha hai. Coronavirus ke badal chhaye hue hai hamari dharti par. Bhagwan kahte hai ki bacche jaise bahut mitha ped hota hai toh usme kide lag jate hai. Kide ko hatane ke liye dawali lagate hai. Aisa samay abhi chal raha hai jab har jagah kide aur virus ka prakop dikh raha hai hamari dharti mata par. Hame yeh sochne me samay barbad nahi karna hai ki yeh kyo hua, sabse first preference aur first responsibility hai ki ham isse apne dharti mata ko bachaye.

Hamare gharo me jab ham garden me tree lagate hai ya koi flower ke plant lagate hai toh usme jab kide lag jate hai toh ham turant dawa ka chhidkaw karte hai usko safe kar dete hai. Ham yeh nhi sochne baith jate hai ki yeh kyo ho raha hai. Ham turant dawa chhidkaw karte hai. Waise hi abhi hamari dharti mata kuch bediyon se jakadti najar aa rahi hai jo hamari hi creation hai. Hamare karmo ke chalte hamari dharti ma bediyon me jakad rahi hai. Hame aab ins bhagdoud ki zindagi me thoda 1 minute silence rakhkar hame apne aap se poochna hai ki hamare kaun se karam dharti ma ko dukh pahucha rahe hai: 

Let's take a 1 minute silence and ask:


1. Kya ham gussa karte hai?(spreading negative vibes on the earth)

2. Kya hamare kaam, krodh, lobh, moh, ahankar, ishya, dwesh, nafrat, bhrashtrachar me lipt hai, isse hamare earth ko bahut hi jyada harm hota hai, hamare chalte dharti emotional polluted hoti hai, jiska asar dusri aatmao par bhi padta hai. Eg. Ham agar kaam vikar me lipt hai toh environment me bhi wo emotion spread hote hai aur uss vibration me jo bhi aata hai, usse bhi yeh vikar apne chapete me le leta hai due to low emotional immunity.

3. Kya hamare koi loukik karmo se vayu, jal, dharti pollution hoti hai.

4. Kya ham plastic ka isstemal karte hai?

5. Kya ham apne swarth ke liye nadi nalo ko ganda karte hai? 

6. Kya ham jeev hatya karte hai? (Eating non-veg)

7. Kya hamare paas awashyakta se jyada car, bike etc vehicles hai? 

8. Kya ham electronics things and electricity ke gulam hai?

9. Kya ham kisi prakar ka nasha(addiction), chewing tobacco, smoking cigarette, drinking wine etc karte hai?

Aise kuch questions hai jiska jawab yadi 'yes' me hai, toh ham kahi na kahi apne earth ko dukh pahucha rahe hai aur usse polluted kar rahe hain.

Aab another 1 minute silence and think, what can we do now?


1. Kya ham solar energy use kar sakte hai?

2. Kya ham science ke sadhno ke bajay jyada se jyada nature par depend rah sakte hai?

3. Kya ham bina mobile ke rah sakte hai?

4. Kya ham kam se kam electronics device use kar sakte hai?

5. Kya ham kaam, krodh, lobh, moh, ahankar, ishya, dwesh, nafrat, bhrashtrachar hamesha ke liye chood sakte hai?

6. Kya ham science ke jagah silence ki shakti use kar sakte hai?

7. Kya ham kisi prakar ka nasha(addiction), chewing tobacco, smoking cigarette, drinking wine etc chhod sakte hai?

8. Kya ham plastic ke jagah koi natural stuff ka isstemal kar sakte hai?

9. Kya ham apne nadi-nalo ko ganda hone se bacha sakte hai?

10. Kya ham non-veg ya kisi bhi prakar ke tamopradhan bhojan ko chhod sakte hai?

11. Kya ham jitna jarurat ho utna hi car aur bike ka isstemal kar sakte hai? Jyada se jyada public transport ka isstemal bhi.

Agar inn sabhi sawalo ka jawab yes hai, toh ham jagruk hai apne earth ko bachane ke liye. Aur Sahi mayne me earth day manane ke kabil hai. 

Hamare aise bahut karma hote hai jisse earth polluted hoti hai. Jaise gussa karna, isse negative energy failti hai. Hamare car, laptop, mobile, bike, AC or any other electronic devices dwara bahut garami nikalti hai aur Karbondiaoxide aur bahut hi jahrile gas nikalte hai jo hamare earth ko kamjor banate hai. Jisse global warming ho rahi hai.

Hamare plastic ka isstemal karne se bahut hi jyada nuksan nadi nalo, animals ko, soil ko hote ha. Ham apne karmo se hi isse thik bhi kar sakte hai. See abhi coronavirus ke karan sabhi lockdown hai aur nature kitni khus najar aa rahi hai. Charo taraf birds hi birds najar aa rahe hai. Nadi nale sabhi kitna saaf ho gaye hai. Air pollution kha gaya, kuch pata nahi. Charo taraf saf hi saf hawa pani. Charo taraf silence hi silence. Kya ham lockdown ke baad hi aisa lifestyle jee sakte hai. Ham bas upper likhe questions par amal karna hai aur badi royal life jini hai. Taki kisi ko bhi hamare lifestyle se dukh na ho. Sochiye jara kya bhagwan aisa lifestyle jine volte hai jisse dusre dukhi ho. Bhagwan toh kehte hai, tum mujhe yaad karo toh tumare janam janam ke pap bhasam ho gayege. Isliye Islam dharam me Shab-e-barat celebrate karte hai. Jiss raat ko sabhi bhagwan se mafi mangte hai aur apne karmo ko sudharne ka vada karte hai.

Bhagwan bade dayalu hai, unse ham agar apne galat kiye gaye karmo ke liye maafi mang lete hai toh hame turant maaf kar dete hai. Aur ham unse vada karte hai ki ham kabhi dubara galat karam nahi karege. Kisi ke bare me negative sochna bhi emotional pollution hai aur yeh pap hai. Iska bhi phal hame hi milega. Isliye be alert and mind me kewal parmatma ki hi yaad rahe. issi se hamari dharti sabhi bediyon se azad ho jayegi. Jab ham bhagwan ki yaad me busy rahte hai, toh hamse koi pap nahi hota. Ham apne swarth ke liye dharti mata ko bediyon me nahi dalege. Ham apni ma ke sath aisa nahi sakte hai. Wo hamari ma hai. Earth hamari kitni care karti hai ma ke jaisi.

Aaaye Jara sochte hai ki kya inke bina hamara koi wazood hai?

1. Ham breadth(sans) kaise lenge?
2. Ham nahayege kaise?, pani kaise piyege?
3. Hamara yeh body bhi earth ke 4 elements(water, air, soil, fire, sky) se hi bana hota hai, kya iske bina hame body milegi?
4. Kya dharti ma hame anaj(food grain) na de toh ham zinda rah payege?

Aise bahut se karan hai. Dharti ma hamari palna karti hi rahti hai. Thoda der bhi aaram nahi karti hai. 

Atah aaye aaj ham sankalp kare aur pane sub-conscious mind yeh naya sanskar banaye ki ham aaj se wada karte hai ki ham aisa koi galat karma nahi karege jisse hamari ma dukhi ho. Sadhan ka isstemal utna hi karege jitne me kam ho jaye. Jaise jaha cycle se kaam ho sakta hai waha bike or car nahi nikalege.




साथ ही प्रकृति व पर्यावरण शुद्घि हेतु विशेष मेडिटेशन



क्लीन द माइंड-ग्रीन द अर्थ' व 'मन को स्वच्छ व धरती को हराभरा करें' । 



हमारी पृथ्वी-हमारा भविष्य विषय पर वीडियो फिल्म दिव्य गीत-संगीत के साथ प्रेरक उद्बोधन





What is Earth Day? The History of Earth Day and why do we celebrate earth day पृथ्वी दिवस 2020




About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.