Amazon

Brahmakumaris Murli Manthan 9 July 2018

Brahmakumaris Murli Manthan 9 July 2018

Om Shanti

Aaj baba ne kha ki tum iss ruhani university me aaye ho aur ruhani padhai padh rahe ho, iss ruhani padhai se buddhu se budhiwan banne, baba ne kha budhiwan ka matlab pavitrata, tum pavitra banne ke padhai padh rahe ho.

Baba ne Sawal poocha hai ki budhiwan baccho ko mukhya nishani kya hogi?

Baba ne jawab diya hai ki buddhiwan baccho ki nishani hogi ki wo hamesha gyan me raman karte rahegem, sada gyan m mast rahege. Unhe iss baat ka sudh garv hoga aur nasha hoga ki hamara baba khud paramdham se chalkar aaya hai aur hame srimat de rahe hai. Baba gyan ka sager hai aur ham baccho ko master gyan ka sager bana rahe hai aur hame mukti-jeevanmukti ka varsha de rahe hai.

Om Shanti

Baba hame khud paramdham se aakar hame Rajyog sikha rahe hai. Hame Budhu se budhiwan banane baba aaye hai. Log budhiwan aur pavitrata ke aage hi matha takte hai. Isliye baba hame pavitra banate hai srimat dwara. Yeh sachi isswariya viswa vidyalaya hai jaha ham srimat dwara pavitra bante hai.

Baba kehte hai ki sara dukh ka karan hi hai apavitrata. Sanyasi pavitra hote hai isliye log unke aage sish jhukate hai aur unko pujte hai. Vikar Bhare pade hai logo me aur baba aakar hame koudi se hira bante hai. Maya bhi bahut balshali hai, yeh bar bar chamat lagati hai, yeh dekhti hai ki hame baba yaad nahi hai toh turant chamat lagane aa jati hai.

Baba ne kha ki aapni puri budhi surrender karke puri tarah trusty banna hai aur bahut sambhal se srimat ko follow karte hai har karam karna hai.

Baba aur varshe ko hamesha yaad rakhna hai aur aapar khushi ka anubhav karna hai. Baba se sachacha sachcha prem karna hai.

Baba ne aaj blessing diya hai ki YOG JWALA DWARA VISWA KE KICHDE KO BHASM KARNE WALE VISWA PARIVARTAK BHAW

Baba ne kha hai ki hamesha yog jwala means good thoughts ki shakti se apavitrata ke kichde ko khatam karna hai. Baba ne kha ki pehle apne ander ke kichde ko khatam karna hai tav viswa parivartan ke kiye nimit banege.

Slogan:

Aagyakari wah hai jo manmat, parmat se mukt rah sada srimat par chalta hai.

Om Shanti

Aaj sara din yeh good thoughts lana hai, ki main pavitrata ka farishta hu.







No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.