Amazon

Brahmakumaris Murli Manthan 7 July 2018

Murli Manthan 7 July 2018

Om Shanti to all Sweet Divine Brother and Sisters

Sweet Baba(GOD Father) I Love You

Aaj baba ne kha ki aaj tum jaha baithe ho aur murli sun rahe ho parampita baap, teacher aur sadguru tino ke samne baithe ho aur khud baba tumeh murli suna rahe ho. Wo hamare Baap, teacher aur sadguru tino hi hai. God father khud hame teacher banke padha rahe hai aur sadgati bhi wahi sadguru denge.

Aaj baba ne prashn poocha hai ki tum bacche baap se kaun se wada kiye ho aur tum baccho ka kartavya kya hai?

Baba ne kha ki tum bacche baap se wada karte ho ki jo gyan tum baba se sunte ho wo dusro ko bhi sunaoge aur usse bhi sahi rashta dikhlaoge. sabko god saman banaoge. Sabke prati rahamdil rahna hai aur dusro ko bhi baba ka varsa dena hai.

Aaj ka geet hai ki le lo duaye ma baap ki - jitna ma-baap ke dua lenge utni hi safalta milti rahegi.

om shanti

"Meditation is to feel GOD's love and fill divine energy in our being"

Geeta me bhi likha hai ki bhagwan khud aakar hame rajyoga sikhate hai aur patit se pawan banate hai, asur se devta banate hai. Baba ne kha ki purusharth me dheela nahi banna hai aur hamesha srimat ka palan karte rahna hai. Jaise loukik me ham padhai karte hai toh koi engineer banta hai, koi doctor banta hai, koi wakil banta hai thik waise hi yaha bhi jo jitni padhai karta hai, numberwal anusar usse bhi pad milta hai.

Baap ka kaam hai sikhana, aab hame purusharth karke sri krishna saman sarva gun sampann banna hai. Yeh ham par depend karta hai ki ham kitna purusharth karte hai aur sri krishna jaisa bante hai. Sri krishna ne bhi purusharth kiya tab yeh pad paya.

Aaj baba ne samjhaya ki hinsa 2 prakar ki hoti hai ek voilence ki aur dusra kam katari chalana. Satyuga m kisi prakar ki hinsa nahi hoti hai. Waha sab rahamdil hoti hai aur dabal aahinsak hote hai. Waha sher aur hiran ek hi talab m pani pite hai. Janwar bhi hinsak nahi hote hai waha toh.

Abhi ham brahman bane hai aur purusharth kar rahe hai, aur phir devi devta banege. Hame Sabko samjhna hai ki supreme god father ek hi hai aur wo shiv hai, baki sabhi yaha aatma hai aur shiv ke bacche hai. Shiv hi hamara parampita hai. Sri krishna bhi ek aatma hai aur wo bhi shiv ke bacche hai. Wo bhi iss janam, iss yug me kahi purusharth kar rahe honge.

ham sabhi devi devta the, lekin kam chita par baith kar ham kaale ban gaye hai. Hame phir se purusharth karke devi devta banna hai. Shyam ki murti ya kali jee ki murti kali kyo banate hai?

Gandhi jee ko bhi bapu kahte the lekin wo hamare had ke baap, aur behad ke pita ek hai shiv jo hamare god father hai, parampita hai. Hame kuch bhi nahi pata hai, ham pichle janam main kya the. Ham supreme god father ko bhi bhul chuke hai. Hamlog Geeta shashtra jarur padhte hai lekin kuch samjhte nahi hai.

Ham baccho ko baba se agreement hai, murli sunkar sabko jarur sunayege. Hame auro ko bhi sunakar dusro ka kalyan karna hai.

Aacha Om Shanti


  1. Aaj ki dharna baba ne kha ki, padhai main mata-pita ko follow karna hai. Hamesha khushi main rahna hai ki bhagwan hame khud padha rahe hai.
  2. Ab hame bhi sweet home jana hai, uske liye purusharth karna hai. Ashariri banne ke abhyas karte rahna hai. Deh sahit sabko bhul jana hai aur sirf ek shiv baba ko yaad karna hai. Hamare sare pap dhul jayege.


Aaj ke vardan me baba ne hame vardan diya hai ki sangamyug par shreshth mat dwara shreshth gati ko prapt karne wale pratyaksh phal ke adhikari bhaw

Hame iss sangamyug me hamesha shreshth mat ke aadhar par hamesha aacha karm karte rahna hai uska phal ham yaha turant mil jata hai. Jaisa mat waisa gat. Log samjhte hai marne ke baad gati milti hai, lekin baba ne hame iss sangamyug main hi vardan diya hua hai shreshth gati ki. Hame bhawisya se koi matlab nahi, abhi karm kiya abhi phal mila. Hame baba se saccha pyar karna hai, unke srimat ka palan karte hue acha karma karna hai.

Slogan

Dridh sankalp se har kadam me baap ko follow karne wale hi sampann bannte hai. Hamesha dridh sankalp karna hai aur wo kaam turant karna hai baba ke sri mat anusar tabi ham sampann ban sakege.

Om Shanti





No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.