Amazon

Spiritual Significance Of Hartalika Teej

 Spiritual Significance Of Hartalika Teej

Om Shanti

Mere mithe baba, pyare baba, gyan ke sager ruhani baba sabhi ruhani baccho ko gyan sunate hain aur kahte hain bacche main aatma hi hu sangam par, kalyuga ke ant aur satyug ke aarambh me. Jab dharam glani bahut jyada hone lagti hain, toh bhagwan aakar ham aatmao se milan manate hain. 

Aur milan manakar ham aatmao ko pavitra banate hain. Pavitrata bahut aacha gunn hain aur sabse pahla srimat baba ka hota hain ki bacche pavitra bano aur banao. Ham bacche bahut yukti rachte hain pavitra hone ki. Baba sabka 16 sringar karte hain aur issi ki yaadgar me bhakti marg me teej ka tayohar manaya jata hain. Jo patio ka pati hain, shiv baba unse ham gyan sunte hain sangam par aur pavitrata ka varat karte hain. Yaha bhkati me ham wahi follow karte hue, apne loukik pati ko hi bhagwan ke saman man lete hain aur unke liye itna kada varat karte hain. 

Bhakti me aatmaye bahut aache se loukik riti se 16 sringar karte hain, naya kapra, mehndi lagana, hair style, jewelries etc. Baba toh aatmao ko 16 kala sampuran banate hain Aur aatmao me 16 mukhe gunn bharte hain.

  

Ham issi ki yadgari me 16 sringar karte hain. Yeh toh ham sharir ka sringar karte hain. Baba toh hamari aatmao ka sringar karte hain. Aatma ko 7 gunno se bharte hain aur 8 shaktiyan se bharpur karte hain.

Aatma ke 7 Gunn


Aatma ki 8 shaktiya



Aaj teej ke din, bhakti me mahilaye apne pati ki lambi umar ke liye yeh vrat karte hain Aur nirjala varat rakhti hain. Bade hi kade niyam ka palan karti hain. Baba kahte hain, baba jab sangam par aate hain toh hame pahla srimat dete hain bacche yogi bano, pavitra bano. Ham bacche baba ke srimat ka palan bade hi dridh sankalp se karte hain. Ham bhi bade kade niyam aur dridh sankalp karte hain ki baba ham pavitra jarur banege aur aapse 21 janmo ka varsha jarur lenge. Ham baba ke srimat ka palan pura pura 100% karege ekdum nirjala vrat ke jaisa. Toh bhakti marg me isse follow aajtak kiya jata hain aur bahut sare vrat hai jo nirjala hote hain. Yeh hamare dridh sankalp ki nishani hain. Wahi kumariyan aache pati pane ke liye vrat rakhti hain. Taki unhe aacha sathi, pati mil sake. Baba kahte hain aatmaye jab pavitra banti hain(kumari) toh swyang patiyon ka pati shiv baba mil jate hain aur unhe swarg ki badshahi de dete hain. Unke yaad me hi bhakti marg me yeh vrat aaj tak bhi kiya jata hain.


Sangamyug Me Baba


No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.