Amazon

Sangam Yug Par Duniya Kaise Change Hoti Hai - Murli Manthan - 24-12-2021

Today's Murli Vichar Sager Manthan

Aaj Mithe Baba Murli me kahte hain ki, mithe bache tumhi pawan the, aur 84 janam lete lete aab patit ban chuke ho, ab baba aaye hain tumeh phir se patit se pawan banane aur swarg ki rajya bhag dene. Tum Bahut dhani the, akhut dhan tha tumhare paas, lekin ab nahi hain. Patit bane, rawan ne tumeh kangal bana diya hain. Tumhare paas itna dhan tha jo koi gin na sake. Bharat sone ki chidiyan thi. Aur Phir se Baba aaye hain Bharat ko sone ki chidiyan banane.

Aur baba kahte hain ki mithe bache iss Sangam yug me Duniya change hoti hain.

Sangam Yug Par Duniya Kaise Change Hoti Hai

Iss purani dunia ka antt aur nayi dunia ki sthapna hoti hain issi sangam yug me. Yeh sangam yug ke bare me kisi ko pata nahi hain. Isse purushottam sangamyug kha jata hain. Issi yug me bhagwan aate hain aur aakar patit aatmao ko pawan banante hain.Yeh yug gupt hoti hai. Sab issi duniya me hoti hain, lekin jinko buddhi pavitra hoti hain ussi ke buddhi me yeh gyan tahar sakta hain. Issi duniya me bhagwan aaye hain, aur bhagwan aakar apna karya gupt riti kar rahe hain, purani duniya ko nayi dunia bana rahe hain. Pavitra dunia ki sthapna kar rahe hain. Pavitrata ke bal par hi duniya change hoti hain. Pavitrata ka vibration, pavitra aatmao se vibration panch tatwo ko bhi prabhawit karte hain aur unhe bhi pavitra bana dete hain. Sare formula change ho jate hain. Aur ek nayi duniya ki sthapna hoti hain. Jaha pavitrata aur sukh shanti hi hoti hain. Jaha panch tatwa bhi satopradhan hote hain. Devi devtao ka rajya hota hain. 

Issi sangamyug me parivartan ka karya hota hain. Iss video ko jarur dekhe. Aise hoga bharat me maha parivartan.



No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.