Loukik(लौकिक) Birthday vs Aloukik(अलौकिक) Birthday Brahma Kumaris
Loukik Birthday
Iss Birthday ke bare me toh ham sabhi jante hain aur manate hi aa rahe hain. Hamare Parents(Maa-Baap) ne hame janam diya hain. Unko bhi aaj dil se thanks kahne ka din hota hain. But log birthday manakar yeh toh bhul hi jate hain. Birthday manane ka tarika bhi badal gaya hain. Yeh loukik birthday jo ham har saal apne janam din par manate hain, celebrate karte hain. Pehle toh birthday par log mandir jate bhi the, aaj kal toh yeh bhi log bhulte ja rahe hain. Aur Birthday bhi aajkal ghar me nahi, apne kuch khas dosto ke sath, restaurant ya hotel me manate hain. Jaha unke parents nahi hote hain. Birthday ham kyo manate hain? Iske piche bahut bada karan hain, adhyatmik rahashya hain. Jisse hame janna chahiye. Birthday manane ki pratha kab se chalu hui hain?
Ham apne janam ki khushi kyo mana rahe hain? jarur koi bada kaam hamne kiya hain ya phir aage jakar karne wale hain. Iss dunia me janam lena, itni khusi logo ko kyo hoti hain? Itne khush hote hain ki cake katna pasand karte hain, party karte hain, dance karte hain. Aacha aacha bhojan khate hain. Aur bhi bahut log jo dhani hai, wo aur bhi jyada intjaam karte hain, iss din ko celebrate karne ke liye. Yeh loukik birthday ki hame itni khushi hain toh sochiye aloukik birthday ki kitni khushi honi chahiye. Yeh aloukik birthday hota kya hain, bahut log nahi jante hain. Isse main niche batane ja raha hu.
Aloukik Birthday
Loukik birthday, jo ham har sal apne iss loukik sharir ke janam ka din manate hain. Hame khusi hain ki hamne janam liya hain. Aur hamari khusi ka celebration sab parivar milkar manate hai. Ek baat aur kahna hain ki ladki ka janam hota hai toh utna celebration nahi karte hai, aur ladka ka janam hota hain toh dhum dham se celebration karte hain. Ladki ka birthday manana ho, toh utna party nahi karte hai, ladka ka birthday aaye toh bahut dhum dham se manaya jata hain. Aisa kyo? Aisi mansikta kaha se aayi? Aise mansikta rakhne walo ke prati kya kahna chahege? Jarur Comment kare.
Ab baat karte hain Apne Aloukik Birthday ke bare me. Yeh kya hota hain? Aap logo me kinhe pehle se pata hain ki aloukik birthday kya hota hain? Comment karke bataye.
Aloukik Birthday, aisa birth-day jis din hamara aloukik janam hua hain. Jisdin hamne apne aap ko pahchana(Self realization) aur apne parloukik pita(Supreme GOD, Supreme Father, GOD Father) ko pahchana(GOD's realization). Us din ko ham apna Aloukik Birthday celebrate karte hain. Mera Aloukik Birthday 25th December ko aata hain. Aaj ke din aaj se 6 sal pehle, main Birsa Munda Park ghumne gaya hua tha apne parivar ke sath picnic manane. Aur achanak mujhe ek Jhopdi dikhai padi, Jisme bahar me board laga tha, "Prajapita Brahma Kumaris Ishwariya Viswa Vidyalaya". Main us aashram ke ander chala gaya, waha mujhe koi nahi dikha, lekin ek kamra dikha jaha Jyotibindu, prakash sawarup ka ek photo dikha jisme light jal raha tha. Aisa lag raha tha ki uss bindu se prakash nikal raha hain aur hamare taraf aa raha hain. Uss photo ke samne ham sab baith gaye aur dhyan lagane lage.
Uske 2 saal baad maine Brahma Kumaris Ka 7 Days Rajyoga Meditation course kiya jo bilkul free hota hain har center par. Usse karne ke baad meri puri life change ho gayi. Mujhe self-realization aur GOD's realization hua jo bahut hi bhakti karne ke baad prapt hota hain. Bhakti ka phal hi gyan kha jata hain. Yaha Brahma Kumaris me roj Rajyoga ka abhyas aur Daily Geeta Gyan Sunne ka mauka milta hain jisse life me bahut hi aloukik privartan hote ja rahe hain. Life puri transform hoti ja rahi hain. Mujhe kai baar Brahma Jee aur Jyoti bindu Shiv baba ke sakshatkar(साक्षात्कार) hue hain. Yeh Rajyoga meditation, hame hamare karam indriyon par control karna sikhata hain. Aur hame narak se nikal swarg ki raah dikhata hain. Hame sadharan manushya se devi-devta bana deta hain. Iske bare me aur adhikar jankari aapko Brahma Kumaris se milegi.
Toh aise mere life me aachanak turn aa gaya aur mujhe self-realization aur GOD's realization prapt hua. Aap bhi agar iske bare me jankari chahte hai toh Brahma Kumaris ke najdiki center par jarur padhare.
Aise mere Aloukik Janam hua, Jab khud bhagwan ne mujhe chun liya aur mujhe apna bana liya. Aise maine suna hain, ki Bhagwan jab aate hain toh sadharan vridh tan ka aadhar(Brahma Jee) lekar Apne bacho ko chunte hain aur Brahmano ki rachna karte hain aur Inn Brahmano ke nimit banakar iss purani dunia(kalyug) ko nayi srishti(Swarg, Heaven, paradise) sthapan karte hain jaha ek dharam, ek rajya, ek bhasha etc sab ek ho jate hain Aur ek dharam ki sthapna karte hain jiska naam Adi Devi Devta Snatana Dharam hota hain.
Toh aise hua mere Aloukik janam. Aasha hai aap aloukik birthday ke bare me jan gaye honge. Jyada jankari ke liye Brahma Kumaris center par padhare.
Om Shanti
BK Ravi Bhai
Brahma Kumaris
(Dhanbad Center)
Note: Yeh 2 Video se aapko pata chalega ki ham kaise apne loukik chizo ko aloukik me parivartan kare.
No comments:
Post a Comment