Amazon

Aaj Ki Murli Revision - Vichar Sager Manthan - 14-12-2021 - Brahma Kumaris



Aaj Ki Murli Me baba kahte hain mithe bache, yeh hai sacha sacha satsang. Baki kisi ka bhi sang sab jhutha hain. Aisa baba kyo kahte hain ki yeh satsang sacha hain, Isme mujh aatma ka vichar chala ki ek param pita parmatma, gyan ke sager, satyam shivam sunderm, wo hi satya hain aur hame sacha sacha amarkatha, satyanarayan ki katha sunate hain aur hame sacha sacha apna parichay dete hain, aur satya ke marg par chalne ki raay dete hain aur sach khand me le jate hain. Baba hame sachkhand me bhej dete hai, khud sachkhand me nahi jate hain. Hame rajyabhag dekar khud chale jate hain ghar. Aur waha visharam me chale jate hain. Aadha kalp se ham bhatake hue, rawan ne hame bhatkaya hain aur rogi bana diya hain. Wo rawan hame jhoothi katha sunakar hame jhoot ki dunia me bhatka deta hain aur ham jhuthi dunia me bhatak kar dukhi, rogi, kangal ban jate hain. Isliliye kha jata hain, ek satya ka sang karna chahiye, kha toh jata hain lekin kisi ko pata nahi hain ki sach kya hain, satya kya hain, hamara satya parichay kya hain, satya baap kaun hain, sachi sachi satyanarayan katha kya hain?

Baba kahte hain ki ek baap hi sache hain, isliye unki srimat ko hi sune aur usi anusar karam kare. Baap se puche aur check kare ki jo karam karne ki soch rahe hain, wo srimat anusar hain? Isliye baba kahte hain, na bura dekhna hain, na bura sunna hain, na bura bolna hain, na bura karna hain, na bura sochna hain. Ek baap ko yaad karna hain, aur iss jhuthi dunia se sachi dunia me baap jo le jane aaye hain, ussi me jane ka purusharth karna hain. Iss dunia me sav patit hain, kisi ko nahi dekhna hain, bus apne aap ko dekhe aur baap ko dekhe. Follow father. Aur purusharth tivra kare. Kisi dusre ko dekhege toh wo patit atma aapko bhi patit bana dega. Aur aatma rupi battery down chali jayegi.

Phir baba ne kha ki iss rawan ne, iss jhuthi dunia me rawan itna bhatka deta hain ki log apne ko hi bhul jate hain, baap ko hi bhul jate hain, Aur Sabse bada jhooth baba kahte hain ki baap ko hi sarwavyapi kah diya hain Aur Holy book Geeta me Baap ke naam ke badle bache ka naam dal diya hain.

Baba kahte hain ki main sarwavyapti thodi hu, main har jagah kaise rah sakta hain, mera bhi naam hai, dhaam hain, samay hai aane ka, jaane ka. Log agyanta vash logo ne mujhe sarwavyapi kah diya hain.

Phir baba ne kha ki pawan banne me kya nishchay chahiye taki pawan ban sake. Baba kahte hain, jab nishchay ho ki yeh hamara antim janam hain, yeh dunia khatam hone wali hain. Iss mrityulok se hame pawan dunia me, swarglok me jana hain, aur yeh hamara antim janam hain. Hame pawan banna hi hain, tabhi ham pawan dunia me ja sakege. Bina pawan bane, ham kaise jayege? 

Phir baba ne hame swarg ka sakshatkar karaya.

धारणा के लिए मुख्य सार:-
1) हड्डी (जिगरी) सुख का अनुभव करने के लिए बाप जो पढ़ाते हैं, उसे बुद्धि में धारण करना है। विचार सागर मंथन करना है।

2) इस कब्रिस्तान को देखते भी नहीं देखना है। हियर नो ईविल, सी नो ईविल...। नई दुनिया के लायक बनना है।

वरदान:-
कम्बाइन्ड रूप की सेवा द्वारा आत्माओं को समीप सम्बन्ध में लाने वाले कम्बाइन्ड रूपधारी भव

सिर्फ आवाज द्वारा सेवा करने से प्रजा बनती जा रही है लेकिन आवाज से परे स्थिति में स्थित हो फिर आवाज में आओ, अव्यक्त स्थिति और फिर आवाज - ऐसे कम्बाइन्ड रूप की सेवा वारिस बनायेगी। आवाज द्वारा प्रभावित हुई आत्मायें अनेक आवाज सुनने से आवागमन में आ जाती हैं लेकिन कम्बाइन्ड रूपधारी बन कम्बाइन्ड रूप की सेवा करो तो उन पर किसी भी रूप का प्रभाव पड़ नहीं सकता।

स्लोगन:-
साधनों में बेहद के वैराग्यवृत्ति की साधना मर्ज होने न दो।

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.