Amazon

सृष्टि चक्र का रहस्य

सृष्टि चक्र का रहस्य

Om Shanti, all brothers and sisters, aaj mujhe bahut sare knowledge(gyan) ki prapti hui. Main jab se gyan marg me chal raha hu, starting me maine yeh BK Mukherjee Bhai ka srishti chakra ka video dekha tha, but utna samajh me nahi aaya tha. Aaj jab maine isse phir se dekha toh mujhe aaj bahut jyada samjh me aaya aur ander se bahut khushi bhi aayi. Shiv baba ke prati pyar bhi bahut badh gaya. Aaj pehle se bhi amritvela me mujhe shiv ke pyar ka bahut anubhuti hua hain. Yaad me pyar se aanshu tak aa gaye. Main yog me baithe baithe ro raha tha shiv baba ke pyar me. 

Main ek video ko niche share kar raha hu, aap logo jarur dekhe, aur jane sristi ke aadi, madhya aur aant ka gyan. Iss sristi ka itihaas aur bhugol ka pura gyan iss video me jan sakte hain. Aise kai rahashyamay yukt bate jo iss video me jan sakte hain.

Iss video ko jab maine pehli baar dekha tha, usse pehle mere mann me bahut sare sawal hua karte the, jaise ki:

1. Yeh Dunia aur kitne saal chalegi? Kehte hain iska vinash ho jata hain? kaise?

2. Iss dunia ka vinash kaise hoga?

3. Ham hamare karam ka phal kaise milta hain, kab milta hain?

4. Yeh srishti ki aayu kitni hain?

5. Iss dunia me, puja-path kab se shuru hua?

6. Iss dunia me sabse purana dharam kaun sa hain?

7. Iss dunia me sare dharam kab kab aaye?

8. Bhagwan ka aane ka samay kab hain?

9. Kya bhagwan hame dukh dete hain?

9. Bhagwan aakhir kaun hain? Aur unka kartavya kya hain?

10. Ham log sab kaun hain? Iss duniya me kyo aaye hain?

11. Kya ham punarjanam lete hain?

12. Kya punarjanam ki baat sabhi dharamo main hain?

13. Kahte hain marne ka baad sab swarg me jate hain, yeh swarg-narak kya chiz hota hain?

14. Sri Radhe-Krishna, Sri Shankar-parvati, Sri Lakshmi-narayana yeh sab log kaun hain, jinki puja karte hain?

15. Brahma jee, saraswati jee kaun hain? 

16. Brahma jee ke jyada mandir kyo nahi hain?

17. Shiv jee ke bahut sare naam kyo hain? Bahut sare mandir kyo hain?

18. Yeh dunia akhir kaise bani hain?

19.  Yeh Bermuda Triangle Kya hain? Aur yaha ghatnaye kyo hoti hain?

20. Yeh pushpak viman kya hota hain? Yeh kaise udte hain?

21. Bharat ko sone ki chidiya log kyo kahte hain?

22. Bhagwan kaise dikhte hain? Bhagwan kya janam lete hain?

23. Bhagwan bhagya kab banate hain?

24. 

Aise Bahut Se Sawal the, jiska jawab mujhe toh mil gaya hain. Jab se Main Brahma Kumaris me pratidin gyan leta aa raha hu, mujhe sab jawab milte hi ja rahe hain. Iss video ko dekhkar mujhe iss sristi ke itihaas aur bhugol ki jankari mili.

🌷सृष्टि चक्र का गहन रहस्य🌷PART-1🌷 ब्रह्माकुमार मुखर्जी भाई जी🌹 ज्ञान सरोवर🌹



No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.