Amazon

New Year New Me(Soul) - Jaisa Lakshya Waisa Lakshan

Happy New Year


Om Shanti
Fill your heart with happiness and share happiness. Reconnect with GOD - the Supreme Source of peace, love and happiness, and make your life a constant light for this world. 
May the year ahead be the one that uplifts each of us allowing us to inspire others.


Ha Mere mithe baba, naye saal me baap saman banna hi hain, baap ke love me loveleen, baap saman khub mitha banna hi hain. Ha mere mithe baba, pyare baba, mera baba.

My New Year - New Resolutions


I was reading an Avyakt Murli of 27 May 1974 and find my new year resolution which Baba has given me. I have to finish this by the tivra purusharth.

आवाज़ में आने और आवाज़ से परे होने में कितना अन्तर है क्या इसके सभी अनुभवी बन चुके हो? (माइक में कुछ आवाज़ क्लियर नहीं था) देखो आवाज़ अगर यथार्थ नहीं है तो अच्छा नहीं लगता है ना? यन्त्र में जरा भी खिटखिट है तो ऐसी आवाज़ पसन्द नहीं करते हो ना? ऐसे ही आपका यह यन्त्र, मुख भी माइक है। इस मुख द्वारा भी जब कभी यथार्थ व युक्ति-युक्त बोल नहीं निकलते हैं, तो उसी समय सबको क्या अनुभव होगा या उस समय आपको मालूम नहीं पड़ता है क्या? जब स्थूल यन्त्र का आवाज़ भी पसन्द नहीं करते हो, तो नेचुरल मुख द्वारा निकला हुआ बोल व आवाज़ स्वयं को भी और सर्व को भी ऐसे ही अनुभव होना चाहिए। अगर यह महसूस करो, तो इस घड़ी से क्या परिवर्तन हो जाएगा, क्या जानते हो? इस घड़ी से सदा काल के लिए व्यर्थ बोल, विस्तार करने के बोल, समय व्यर्थ करने के बोल और अपनी कमज़ोरियों द्वारा अन्य आत्माओं को संगदोष में लाने वाले बोल सब समाप्त हो जावेंगे। महान् आत्माओं के हर बोल को महावाक्य कहा जाता है।

31st Dec 2021 Avyakt Murli 31 December 2009

New year resolution

Aaj baapdada harek bache ko sneh aur baapdada ke love me loveleen swarup me dekh rahe hain. 

New year manane aaye hai lekin samay ke nayno me kya dikhai de raha hain, new year naya saal, toh nimit matra hai, lekin aap sabhi ke nayno me kya umang hain

Tin badhaiya 

Ek apne naye jeevan ki badhaiya

2 naye yug ki badhai

3 parivar aur baap se Milan ki badhai


Nayno me naw yug samne aa raha hain. Dil me umang aa raha hain. Naya yug aaya ki aaya. 

Bidai bhinde rahe, aur badhai bhi de rahe. 


Baap dada ne aap bacho ko purane swabhaw sanskar ko bidai dekar kr naye dunia me jane ki gift de rahe hain. 

Jis dunia me prapti hi prapti


Nasha hai na? Ham golden world ke adhikari ban rahe hain. Aisi gift aur koi de nahi sakte


Aap bhi gift do sabko, golden world ka sandesh do. 


Ek nayi dunia ki gift

2 aapke paas bahut khajane, guno ka khajana, shaktiyon  ka khajana, swaman ka khajana


Dukhi aashant aatmao ko

kam se kam yeh sandesh

Aab baap aaye hain, ab se avhinashi varshe ke adhikari ban jao. 


Aabhi bhi kai baap ke bache sandesh se vanchit hain. 

Aapne bhai bahno ko yeh samdesh ki gift jarur do. Koi bhi rah na jaye. 


Sewa dekh baap dada khush hai. 

Lekin baap ki yahi aasha hain ki mera koi bhi bacha sandesh se rah nahi jaye. 

Ulahna nahi de. Aapko golden world ki saugat mili. Hamko pata nahi pada


Hamara baap aaya hamko pata nahi chala. 


Naye saal me. Yahi prayatan karo, aapas me plan banao. Koi bhi kona rah nahi jaye. 

Ulahna nahi mile. Lekin khush ho jaye. 

Hamara baap aa gaya. Vanchit nahi rah jaye. 

Naye saal me kya karege. 


Aapas. Me milkar plan banao. Aapko bhi bhai bahano par vishesh raham dil. Kalyankari swarup dharan kar sabko sandesh dena hain. Kam se kam ulahna nahi dewe. 

Aaj sabhi bache naye varash manane ke umang me pahuche


Geet gate. Wah bache wah

Sabhi bacho me ek baat dekhna chahe

Baap dada jaise harek ke dil me umang lakshya ki ham baap saman banne wLe hi hain. Banege nahi. Banne wale hi hain. 

Lakshya ke sath lakshan bhi saman banne ke lakshan chahte hain. 

Lakshya bahut uncha hain. Lakshan par vishesh attention dena hai. 


Chahte toh hai lekin? Lekin nikal ja yr. 

Chalan aur chehra, lakshya lakshan chalan se dikhai de. 

Deh Abhi man me the, wo bhi natural thi. Koi abhyas nahi kiya. 

Jaise deh abhiman natural raha. Koi purusharth  nahi. Waise dehi abhimani banne ka natural ho jao. 

Waiise dehi. Abhimani banne me mehnat kyo? 

Baap dada ka mahnat karna bacho ki achi nahi lagti. 

Natural ho jaye tab kaha jata hain lakshya aur lakshan saman. Phir baap smaan banna sahaj aur natural. 

Brahma baap ko dekha. Itne bade parivar ki zimmewari hote bhi natural nature dehi abhimani ki rahi. 

Zimmewari, Brahma baba ke Aage kya hai, Brahma baap shiv baba ke madad se practical me dikhaya, karawanhaar kara rahe hain. Baap saman nayare aur pyare. 

Koi bhi duties, mansa wacha karmana, main karanhaar trust, karawanhaar malik shiv baba hain. 

Lakshya aur lakshan dono ko sman banana hain. 

Purane saal ko bidai dene ke ssth lakshya ko lakshan m e lana hain. 

Maya? Bidai de do isko bhi. Sankkalp me bhi nahi. 


Maya bhi baap dada ke paas aati hain. Main toh samajti hu, mere jane ka samay hai, koi koi bache mera awahan karte hai toh main kya karu. 

Maya ke bhinn bhinn rup ko bhi bidai dena hain. 

Baba unko padam padam guna badhai dete


Dunia ki halat bigadna shrur ho gayi hain. 


Baapdada ka mahawakya khuch samy se chal raha hain. Achanak hona hain. 


Be strong. 

10 min 24 baar home work. 

10 min ek hi smiriti me jab chahe jaise chahe. 

5 min se 7 minute

Aisa smay aayega aap logo ko khud apne liye bhi viswa ke liye kirne deni padegi. 

Jitna jyada kar sako practice karo. Abhi ka bahut samay ka purusharth. 


Sawmano ki ek. Sthithi me baitho. Swaman ki list. Use karo. 

Satyug me swaman nahi milega. Rajya bhag milega. 


Swaman ki authority. Main kaun. Kabhi kaun sa swaman aur kabhi kaun sa swaman. Check karo. 

Swaman khajana ka use karo. 


Jaha swaman hoga waha deh bhan khatam. 

Jaise swaman waise ek ek shakti, ek ek gunn. Karya me lagao. Maya ke aane ka prob sab khatam ho jayega. 

Samgam yug ka ek ek din utsav hain jab umang utsah hain.  Chaltr phirte bhi chart likhna. Check and change. 

Vyarth time bhi vyarth sankalp bhi bachana. Baap saman banne ki chahna. 


Hai Himmat? 


Kya karna hain? Maya jeet.

Gujrat gujar gayi raat.  Sada aage badho. Badho badhao.

Shiv Baba Ki Mahima - Today's Murli Manthan 27-12-2021

Aaj ki murli me geet baja "Om Namah Sivay"

Baba ne kha Shiv baba ke mahima ka geet suna, kiski mahima ho rahi hain,

ओम् शान्ति। मीठे-मीठे सिकीलधे बच्चों ने महिमा का गीत सुना। किसकी महिमा? ऊंचे ते ऊंचे भगवान की। जिसको पतित-पावन, दु:ख हर्ता सुख कर्ता भी कहते हैं। सुख देने वाले को याद किया जाता है। 



Shiv Baba ki Mahima

Aaj ki murli me geet baja, ussi par baba ne murli shuru ki aur pooche ki kiski mahima ho rahi hain. Shiv baba ki mahima hui. Baba ne kha jo sukh deta hain, ussi ko yaad kiya jata hain. Isliye sabko sukh dena hain. Baba ke mahima par yeh 2 photo upper me post kiya hain. 

Shiv baba Ki Mahima:




Shiv baba ki mahima : Shiv baba jo gyan, pavitrata, sukh, shanti, aanand, prem, shakti ke sager hain. Patit pawan, dukh harta, sukh karta, sadgati data hain. Mukti aur jeevan mukti ke data hain. Shiv baba ke bhakti me bahut sare naam pade hai jo unki mahima me bhakt bolte hain. Unke kartavyon ke anusar hi shiv baba ke bahut sare naam pade hain. 

Jaise parasnath, jo patthar ko paras banate hain. Jab shiv baba sangam yug me aate hain toh patthar buddhi ko gyan ke pavitra jal se paras buddhi banate hain. Isliye shiv baba ko parasnath kahte hain. Aise hi bahut sare naam hain shiv baba ke, aur sabka ek rahashya hain. 

Shiv baba, jo patito ko pavaan banate hain, isliye unko patit-pavan kahte hain. Wo jab aate hain toh hame hamare 84 janmo ki kahani batate hain. Wo hame rachna ke aadi-madhya-aant ka gyan dete hain. Isliye unko rachaita kahte hain. Wo sab aatmao ke pita hain. Wo hamare mata hai, pita hai, teacher, satguru, bandhu, sakha, bacha hain. 

07-11-2023(Murli) Se Shiv Baba Ki Mahima

Patit - Pawan, saviour, World Almighty authority, sarwa shaktivan, badrinath, amarnath, chaitanya beej, 


Sangam Yug Par Duniya Kaise Change Hoti Hai - Murli Manthan - 24-12-2021

Today's Murli Vichar Sager Manthan

Aaj Mithe Baba Murli me kahte hain ki, mithe bache tumhi pawan the, aur 84 janam lete lete aab patit ban chuke ho, ab baba aaye hain tumeh phir se patit se pawan banane aur swarg ki rajya bhag dene. Tum Bahut dhani the, akhut dhan tha tumhare paas, lekin ab nahi hain. Patit bane, rawan ne tumeh kangal bana diya hain. Tumhare paas itna dhan tha jo koi gin na sake. Bharat sone ki chidiyan thi. Aur Phir se Baba aaye hain Bharat ko sone ki chidiyan banane.

Aur baba kahte hain ki mithe bache iss Sangam yug me Duniya change hoti hain.

Sangam Yug Par Duniya Kaise Change Hoti Hai

Iss purani dunia ka antt aur nayi dunia ki sthapna hoti hain issi sangam yug me. Yeh sangam yug ke bare me kisi ko pata nahi hain. Isse purushottam sangamyug kha jata hain. Issi yug me bhagwan aate hain aur aakar patit aatmao ko pawan banante hain.Yeh yug gupt hoti hai. Sab issi duniya me hoti hain, lekin jinko buddhi pavitra hoti hain ussi ke buddhi me yeh gyan tahar sakta hain. Issi duniya me bhagwan aaye hain, aur bhagwan aakar apna karya gupt riti kar rahe hain, purani duniya ko nayi dunia bana rahe hain. Pavitra dunia ki sthapna kar rahe hain. Pavitrata ke bal par hi duniya change hoti hain. Pavitrata ka vibration, pavitra aatmao se vibration panch tatwo ko bhi prabhawit karte hain aur unhe bhi pavitra bana dete hain. Sare formula change ho jate hain. Aur ek nayi duniya ki sthapna hoti hain. Jaha pavitrata aur sukh shanti hi hoti hain. Jaha panch tatwa bhi satopradhan hote hain. Devi devtao ka rajya hota hain. 

Issi sangamyug me parivartan ka karya hota hain. Iss video ko jarur dekhe. Aise hoga bharat me maha parivartan.



सृष्टि चक्र का रहस्य

सृष्टि चक्र का रहस्य

Om Shanti, all brothers and sisters, aaj mujhe bahut sare knowledge(gyan) ki prapti hui. Main jab se gyan marg me chal raha hu, starting me maine yeh BK Mukherjee Bhai ka srishti chakra ka video dekha tha, but utna samajh me nahi aaya tha. Aaj jab maine isse phir se dekha toh mujhe aaj bahut jyada samjh me aaya aur ander se bahut khushi bhi aayi. Shiv baba ke prati pyar bhi bahut badh gaya. Aaj pehle se bhi amritvela me mujhe shiv ke pyar ka bahut anubhuti hua hain. Yaad me pyar se aanshu tak aa gaye. Main yog me baithe baithe ro raha tha shiv baba ke pyar me. 

Main ek video ko niche share kar raha hu, aap logo jarur dekhe, aur jane sristi ke aadi, madhya aur aant ka gyan. Iss sristi ka itihaas aur bhugol ka pura gyan iss video me jan sakte hain. Aise kai rahashyamay yukt bate jo iss video me jan sakte hain.

Iss video ko jab maine pehli baar dekha tha, usse pehle mere mann me bahut sare sawal hua karte the, jaise ki:

1. Yeh Dunia aur kitne saal chalegi? Kehte hain iska vinash ho jata hain? kaise?

2. Iss dunia ka vinash kaise hoga?

3. Ham hamare karam ka phal kaise milta hain, kab milta hain?

4. Yeh srishti ki aayu kitni hain?

5. Iss dunia me, puja-path kab se shuru hua?

6. Iss dunia me sabse purana dharam kaun sa hain?

7. Iss dunia me sare dharam kab kab aaye?

8. Bhagwan ka aane ka samay kab hain?

9. Kya bhagwan hame dukh dete hain?

9. Bhagwan aakhir kaun hain? Aur unka kartavya kya hain?

10. Ham log sab kaun hain? Iss duniya me kyo aaye hain?

11. Kya ham punarjanam lete hain?

12. Kya punarjanam ki baat sabhi dharamo main hain?

13. Kahte hain marne ka baad sab swarg me jate hain, yeh swarg-narak kya chiz hota hain?

14. Sri Radhe-Krishna, Sri Shankar-parvati, Sri Lakshmi-narayana yeh sab log kaun hain, jinki puja karte hain?

15. Brahma jee, saraswati jee kaun hain? 

16. Brahma jee ke jyada mandir kyo nahi hain?

17. Shiv jee ke bahut sare naam kyo hain? Bahut sare mandir kyo hain?

18. Yeh dunia akhir kaise bani hain?

19.  Yeh Bermuda Triangle Kya hain? Aur yaha ghatnaye kyo hoti hain?

20. Yeh pushpak viman kya hota hain? Yeh kaise udte hain?

21. Bharat ko sone ki chidiya log kyo kahte hain?

22. Bhagwan kaise dikhte hain? Bhagwan kya janam lete hain?

23. Bhagwan bhagya kab banate hain?

24. 

Aise Bahut Se Sawal the, jiska jawab mujhe toh mil gaya hain. Jab se Main Brahma Kumaris me pratidin gyan leta aa raha hu, mujhe sab jawab milte hi ja rahe hain. Iss video ko dekhkar mujhe iss sristi ke itihaas aur bhugol ki jankari mili.

🌷सृष्टि चक्र का गहन रहस्य🌷PART-1🌷 ब्रह्माकुमार मुखर्जी भाई जी🌹 ज्ञान सरोवर🌹



Aaj Ki Murli Revision - Vichar Sager Manthan - 14-12-2021 - Brahma Kumaris



Aaj Ki Murli Me baba kahte hain mithe bache, yeh hai sacha sacha satsang. Baki kisi ka bhi sang sab jhutha hain. Aisa baba kyo kahte hain ki yeh satsang sacha hain, Isme mujh aatma ka vichar chala ki ek param pita parmatma, gyan ke sager, satyam shivam sunderm, wo hi satya hain aur hame sacha sacha amarkatha, satyanarayan ki katha sunate hain aur hame sacha sacha apna parichay dete hain, aur satya ke marg par chalne ki raay dete hain aur sach khand me le jate hain. Baba hame sachkhand me bhej dete hai, khud sachkhand me nahi jate hain. Hame rajyabhag dekar khud chale jate hain ghar. Aur waha visharam me chale jate hain. Aadha kalp se ham bhatake hue, rawan ne hame bhatkaya hain aur rogi bana diya hain. Wo rawan hame jhoothi katha sunakar hame jhoot ki dunia me bhatka deta hain aur ham jhuthi dunia me bhatak kar dukhi, rogi, kangal ban jate hain. Isliliye kha jata hain, ek satya ka sang karna chahiye, kha toh jata hain lekin kisi ko pata nahi hain ki sach kya hain, satya kya hain, hamara satya parichay kya hain, satya baap kaun hain, sachi sachi satyanarayan katha kya hain?

Baba kahte hain ki ek baap hi sache hain, isliye unki srimat ko hi sune aur usi anusar karam kare. Baap se puche aur check kare ki jo karam karne ki soch rahe hain, wo srimat anusar hain? Isliye baba kahte hain, na bura dekhna hain, na bura sunna hain, na bura bolna hain, na bura karna hain, na bura sochna hain. Ek baap ko yaad karna hain, aur iss jhuthi dunia se sachi dunia me baap jo le jane aaye hain, ussi me jane ka purusharth karna hain. Iss dunia me sav patit hain, kisi ko nahi dekhna hain, bus apne aap ko dekhe aur baap ko dekhe. Follow father. Aur purusharth tivra kare. Kisi dusre ko dekhege toh wo patit atma aapko bhi patit bana dega. Aur aatma rupi battery down chali jayegi.

Phir baba ne kha ki iss rawan ne, iss jhuthi dunia me rawan itna bhatka deta hain ki log apne ko hi bhul jate hain, baap ko hi bhul jate hain, Aur Sabse bada jhooth baba kahte hain ki baap ko hi sarwavyapi kah diya hain Aur Holy book Geeta me Baap ke naam ke badle bache ka naam dal diya hain.

Baba kahte hain ki main sarwavyapti thodi hu, main har jagah kaise rah sakta hain, mera bhi naam hai, dhaam hain, samay hai aane ka, jaane ka. Log agyanta vash logo ne mujhe sarwavyapi kah diya hain.

Phir baba ne kha ki pawan banne me kya nishchay chahiye taki pawan ban sake. Baba kahte hain, jab nishchay ho ki yeh hamara antim janam hain, yeh dunia khatam hone wali hain. Iss mrityulok se hame pawan dunia me, swarglok me jana hain, aur yeh hamara antim janam hain. Hame pawan banna hi hain, tabhi ham pawan dunia me ja sakege. Bina pawan bane, ham kaise jayege? 

Phir baba ne hame swarg ka sakshatkar karaya.

धारणा के लिए मुख्य सार:-
1) हड्डी (जिगरी) सुख का अनुभव करने के लिए बाप जो पढ़ाते हैं, उसे बुद्धि में धारण करना है। विचार सागर मंथन करना है।

2) इस कब्रिस्तान को देखते भी नहीं देखना है। हियर नो ईविल, सी नो ईविल...। नई दुनिया के लायक बनना है।

वरदान:-
कम्बाइन्ड रूप की सेवा द्वारा आत्माओं को समीप सम्बन्ध में लाने वाले कम्बाइन्ड रूपधारी भव

सिर्फ आवाज द्वारा सेवा करने से प्रजा बनती जा रही है लेकिन आवाज से परे स्थिति में स्थित हो फिर आवाज में आओ, अव्यक्त स्थिति और फिर आवाज - ऐसे कम्बाइन्ड रूप की सेवा वारिस बनायेगी। आवाज द्वारा प्रभावित हुई आत्मायें अनेक आवाज सुनने से आवागमन में आ जाती हैं लेकिन कम्बाइन्ड रूपधारी बन कम्बाइन्ड रूप की सेवा करो तो उन पर किसी भी रूप का प्रभाव पड़ नहीं सकता।

स्लोगन:-
साधनों में बेहद के वैराग्यवृत्ति की साधना मर्ज होने न दो।

Loukik(लौकिक) Birthday vs Aloukik(अलौकिक) Birthday Brahma Kumaris

Loukik(लौकिक) Birthday vs Aloukik(अलौकिक) Birthday Brahma Kumaris


Loukik Birthday

Iss Birthday ke bare me toh ham sabhi jante hain aur manate hi aa rahe hain. Hamare Parents(Maa-Baap) ne hame janam diya hain. Unko bhi aaj dil se thanks kahne ka din hota hain. But log birthday manakar yeh toh bhul hi jate hain. Birthday manane ka tarika bhi badal gaya hain. Yeh loukik birthday jo ham har saal apne janam din par manate hain, celebrate karte hain. Pehle toh birthday par log mandir jate bhi the, aaj kal toh yeh bhi log bhulte ja rahe hain. Aur Birthday bhi aajkal ghar me nahi, apne kuch khas dosto ke sath, restaurant ya hotel me manate hain. Jaha unke parents nahi hote hain. Birthday ham kyo manate hain? Iske piche bahut bada karan hain, adhyatmik rahashya hain. Jisse hame janna chahiye. Birthday manane ki pratha kab se chalu hui hain?

Ham apne janam ki khushi kyo mana rahe hain? jarur koi bada kaam hamne kiya hain ya phir aage jakar karne wale hain. Iss dunia me janam lena, itni khusi logo ko kyo hoti hain? Itne khush hote hain ki cake katna pasand karte hain, party karte hain, dance karte hain. Aacha aacha bhojan khate hain. Aur bhi bahut log jo dhani hai, wo aur bhi jyada intjaam karte hain, iss din ko celebrate karne ke liye. Yeh loukik birthday ki hame itni khushi hain toh sochiye aloukik birthday ki kitni khushi honi chahiye. Yeh aloukik birthday hota kya hain, bahut log nahi jante hain. Isse main niche batane ja raha hu.

Aloukik Birthday

Loukik birthday, jo ham har sal apne iss loukik sharir ke janam ka din manate hain. Hame khusi hain ki hamne janam liya hain. Aur hamari khusi ka celebration sab parivar milkar manate hai. Ek baat aur kahna hain ki ladki ka janam hota hai toh utna celebration nahi karte hai, aur ladka ka janam hota hain toh dhum dham se celebration karte hain. Ladki ka birthday manana ho, toh utna party nahi karte hai, ladka ka birthday aaye toh bahut dhum dham se manaya jata hain. Aisa kyo? Aisi mansikta kaha se aayi? Aise mansikta rakhne walo ke prati kya kahna chahege? Jarur Comment kare.

Ab baat karte hain Apne Aloukik Birthday ke bare me. Yeh kya hota hain? Aap logo me kinhe pehle se pata hain ki aloukik birthday kya hota hain? Comment karke bataye.

Aloukik Birthday, aisa birth-day jis din hamara aloukik janam hua hain. Jisdin hamne apne aap ko pahchana(Self realization) aur apne parloukik pita(Supreme GOD, Supreme Father, GOD Father) ko pahchana(GOD's realization). Us din ko ham apna Aloukik Birthday celebrate karte hain. Mera Aloukik Birthday 25th December ko aata hain. Aaj ke din aaj se 6 sal pehle, main Birsa Munda Park ghumne gaya hua tha apne parivar ke sath picnic manane. Aur achanak mujhe ek Jhopdi dikhai padi, Jisme bahar me board laga tha, "Prajapita Brahma Kumaris Ishwariya Viswa Vidyalaya"Main us aashram ke ander chala gaya, waha mujhe koi nahi dikha, lekin ek kamra dikha jaha Jyotibindu, prakash sawarup ka ek photo dikha jisme light jal raha tha. Aisa lag raha tha ki uss bindu se prakash nikal raha hain aur hamare taraf aa raha hain. Uss photo ke samne ham sab baith gaye aur dhyan lagane lage. 






Uske 2 saal baad maine Brahma Kumaris Ka 7 Days Rajyoga Meditation course kiya jo bilkul free hota hain har center par. Usse karne ke baad meri puri life change ho gayi. Mujhe self-realization aur GOD's realization hua jo bahut hi bhakti karne ke baad prapt hota hain. Bhakti ka phal hi gyan kha jata hain. Yaha Brahma Kumaris me roj Rajyoga ka abhyas aur Daily Geeta Gyan Sunne ka mauka milta hain jisse life me bahut hi aloukik privartan hote ja rahe hain. Life puri transform hoti ja rahi hain. Mujhe kai baar Brahma Jee aur Jyoti bindu Shiv baba ke sakshatkar(साक्षात्कार) hue hain. Yeh Rajyoga meditation, hame hamare karam indriyon par control karna sikhata hain. Aur hame narak se nikal swarg ki raah dikhata hain. Hame sadharan manushya se devi-devta bana deta hain. Iske bare me aur adhikar jankari aapko Brahma Kumaris se milegi.

Toh aise mere life me aachanak turn aa gaya aur mujhe self-realization aur GOD's realization prapt hua. Aap bhi agar iske bare me jankari chahte hai toh Brahma Kumaris ke najdiki center par jarur padhare.

Aise mere Aloukik Janam hua, Jab khud bhagwan ne mujhe chun liya aur mujhe apna bana liya. Aise maine suna hain, ki Bhagwan jab aate hain toh sadharan vridh tan ka aadhar(Brahma Jee) lekar Apne bacho ko chunte hain aur Brahmano ki rachna karte hain aur Inn Brahmano ke nimit banakar iss purani dunia(kalyug) ko nayi srishti(Swarg, Heaven, paradise) sthapan karte hain jaha ek dharam, ek rajya, ek bhasha etc sab ek ho jate hain Aur ek dharam ki sthapna karte hain jiska naam Adi Devi Devta Snatana Dharam hota hain. 

Toh aise hua mere Aloukik janam. Aasha hai aap aloukik birthday ke bare me jan gaye honge. Jyada jankari ke liye Brahma Kumaris center par padhare. 

Om Shanti

BK Ravi Bhai

Brahma Kumaris

(Dhanbad Center)

Note: Yeh 2 Video se aapko pata chalega ki ham kaise apne loukik chizo ko aloukik me parivartan kare.





About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.