Amazon

Brahmakumaris Murli Manthan 4 August 2018

Brahmakumaris Murli Manthan 4 August 2018

"मीठे बच्चे - तुम्हें मुख से कुछ भी बोलना नहीं है, सच्चे दिल से एक बाप को निरन्तर याद करना है, सच्चे दिल पर ही साहेब राज़ी है"

Aaj Baba ne kha hai ki mithe bacche, tumeh mukh se kuch nahi bolna hai, ek sacche dil se ek baap ko hi yaad karna hai. Sacche dil par saheb raji. Baba kehte hai, jaisa ashik-mashuk ka pyar saccha hota hai, pavitra rishta rahta hai. Waise hi tum ek baba par wari jao toh baba tumeh 21 janmo ka sukh de denge. Dukh ka nam nishan nahi rahega. Manav se devta ban gayege. Satyug ke raja-rani ban gayege. Sara daromdar yaad ka hi hai. Bacche bar bar baba ko bhul jate hai, phir rote rahte hai. aatma ki shakti ghat jati hai aur sharrir main rog dukh taklif aa jata hai. Isliye "MANMANABHAV", Baba ko bhulna ekdam nahi hai.

Aaj kalyug ka samay bahut hi kashtkari hai, charo taraf hahakar macha hai, ghar ghar main ladai ho rahi hai. Log ek dusre ko dukh de rahe hai. Isliye Baba ko yaad karege toh aap innsav se chut gayege. Baba ko yaad karke baba se pura varsha lena hai aur auro ko bhi yeh varsha ki kirne deni hai taki auro ko bhi yeh shanti mil sake.

Q- सबसे अच्छा मैनर (चरित्र) कौन सा है? किस देवताई मैनर्स को तुम्हें धारण करना है?

A- सदा हर्षित रहना बहुत अच्छा मैनर है। देवतायें सदा हर्षि
त रहते हैं, खिलखिलाकर हंसते नहीं। आवाज से हंसना भी एक विकार है। तुम बच्चों को याद की गुप्त खुशी रहनी चाहिए। फैमिलियरटी का संस्कार भी बहुत नुकसानकारक है। सर्विस की सफलता के लिए अनासक्त वृत्ति चाहिए। नाम-रूप की बदबू जरा भी न हो। बुद्धि बहुत स्वच्छ चाहिए। इसी धारणा से जब सर्विस करते, दूसरों को आप समान बनाते तो चेहरा हर्षित रहता है।

Baba ne kha hai, sabse aacha manner hai man hi man hi hashna. Jo gyan main mast rahega wahi aisa kar sakta hai. Jod jod se thahaka lagakar hasna bhi ek vikar hai. Isliye kabhi aisa pap nahi karna hai. Aap bacche ko gupt khusi rahni chahiye. Service karte hai toh kabhi naam rup ke badbu main nahi phasna hai nahi toh deh bhan aa gayega. Maya chat kar jayegi.

Nirantar yog main rahna hai, khana khate samay bhi pura yog main rahna hai. Baba bolte hai hamesha ashariri rahne ka abhyas karna hai. swarg ka raja banna koi khel thodi h. bahut abhyas karna pde. tab jake karmatit awashtha aayegi.

Abhyas karte rahna hai. 63 janmo se hame dehbhan main rahne ki aadhat padi hai, isliye hame baba ne kha hai ki bahut jyada abhyaas karna pade ashariri rahne ka. Geeta man bhagwan ne bhi kha hai arjun se.

D- 1- बाप को साथ रखने की युक्ति रचनी है। भोजन पर याद में रहना है। अशरीरी बनने का अभ्यास करना है। अपनी पुरानी देह से भी लॅव नहीं रखना है।-----2- बाप का पूरा रिगॉर्ड रखना है। अंहकार में नहीं आना है। नाम-रूप की बीमारी से सदा दूर रहना है। ज्ञान-योग में मस्त रहना है।

Baap ko hamesha sath main rakhna hai, apne har karam main, khate samay, sote samay, karam karte samay. Bap ko bhulna hi nahi hai, toh yaad main sahyog milegi. Baba ki yaad rahegi toh hamesha pavitra rahege mansa, wacha aur karmana se. Koi dusra kya kar raha hai nahi kar raha hai, uska koi asar aaap par ho nahi sakta. Ulta aapka aasar uss par hoga aur wo bhi pavitra banega. Isliye kabhi mujhna nahi hai aur thought hamesha pavitra rahe. Baap ka sath hamesha rahe toh koi vikaram nahi hoga. Wah Baba, waha baba ka gyan, waha yeh sansar, wah baba ke bacche.

V- विशेषता देखने का चश्मा पहन सम्बन्ध-सम्पर्क में आने वाले विश्व परिवर्तक भव

एक दो के साथ सम्बन्ध वा सम्पर्क में आते हर एक की विशेषता को देखो। विशेषता देखने की ही दृष्टि धारण करो। जैसे आजकल का फैशन और मजबूरी चश्मे की है। तो विशेषता देखने वाला चश्मा पहनो। दूसरा कुछ दिखाई ही न दे। जैसे लाल चश्मा पहन लो तो हरा भी लाल दिखाई देता है। तो विशेषता के चश्में द्वारा कीचड़ को न देख कमल को देखने से विश्व परिवर्तन के विशेष कार्य के निमित्त बन जायेंगे।

S- परचिंतन और परदर्शन की धूल से सदा दूर रहो तो बेदाग अमूल्य हीरा बन जायेंगे।

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.