Amazon

16 Singar Ka Matlab - 16 सिंगार का मतलब

16 Singar Ka Matlab - 16 सिंगार का मतलब

16 Singar Ka Matlab - 16 सिंगार का मतलब
16 Singar Ka Matlab - 16 सिंगार का मतलब
Om Shanti - Parmatma Pyare Bhaiyon Aur Bahno - Aaj Teej parva pure bharat me bahut hi dhum dham se manaya ja raha hain. Jisme Sabhi Bahne apne pati ki lambi umar ke liye yeh parva bade hi utsah se karte aaye hai aur aaj ke din nirjala upwas karke, 16 singar karke itni sharadhha se mana rahi hain. 

Kya Bhai ke liye koi parva hain jo apne patni ki lambi umar ke liye karte ho?

Mujhe nahi yaad aata hai ki koi parva hoga jisme bhai upwas karte ho apne patni ke liye ya bahan ke liye(Godhan, rakshabandhan, bhai-dooj etc). Maine yeh kahi padha hain ki Bharat me sabhi tyohar bahne par hi kendrit hain. Kyoki Bhagwan aate hai toh swarg ki sthapna ki kalash bahno ko dete hain. Isliye bharat me nariyon ko puja jata hain.
Bharat Mata Ki Jai 
Durga Mata Ki Jai
Saraswati Mata Ki Jai
Kali Mata Ki Jai
Lakshmi Mata Ki Jai
Ganga Mata Ki Jai etc

Jab Bhagwan aate hain to ham aatmao ka 16 singaar karte hain

Aaj teej ke din sabhi striyan apne pati ke liye 16 singar karti hain. Maine yeh padha hain ki bhagwan ham sabhi aatmao ko 16 kla sampurna banate hain geeta gyan dwara aur hame swarg ki badhsahi de dete hain. Maine upar me ek chitra share kiya hain usme 16 kalayen dikhaye hai sri krishna ke. 

Bhagwan ham sab aatmao ko Geeta gyan padhate hain aur ham aatmaye yeh gyan dharan karke 16 kla sampurna bante hain. Kyoki kahte hain swarg me sabhi aatmaye 16 kla sampurn pavitra hogi. Mujhe lagta hai ki aaj teej ka tyohar ke madhyam se bhagwan hame yeh sikh dete hain ki hame(pati-patni) 16 kla sampurn banna hai abhi aur aane wali swarg ki badsahi leni hain bhagwan se. 

Pati-patni ka risha bada hi pavitra bataya gaya hai shashtro main. Lekin mujhe lagta hai ki aaj iss ghor kalyug me yeh rishta bada hi apavitra ho chuka hai. Ghar-ghar me ladai, divorce cases, sas-bahu me ladai. Yeh sab mujhe lagta hai ki kam vikar ke karan hi ho raha hai. Geeta me bhi likha hai ki Kam Maha Shatru - kam ko jitkar hi ham aatmaye jagatjit ban sakte hain. 

Dil Se Om Shanti



No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.